(١٣) بَابٌ فِي تَلْقِيْبِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم إِيَّاهُ بِأَبِيْ تُرَابٍ وَ سَيِّدِ الْعَرَبِ
Baab-13 :
Aboo Turaab Aur Sayyid-il-‘Arab Ke Mustafawi Alqaab
124: “Hazrat Aboo Haazim Hazrat Sahl Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aboo Turaab Se Badh Kar Koi Naam Mahboob Na Tha, Jab Unhein Aboo Turaab Ke Naam Se Bulaaya Jaata To Woh Khush Hote They. Raawi Ne Un Se Kaha Hamein Woh Waaqe’a Sunaa’iye Ki Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Naam Aboo Turaab Kaise Rakkha Gaya? Unhone Kaha Aik Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Tashrif Laa’e To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ghar Me Nahin They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhaara Chachaazaad Kaha’n Hai? Arz Kiya Mere Aur Un Ke Darmiyan Kuchh Baat Ho Gayi Jis Par Woh Khafa Ho Kar Baahar Chale Ga’e Aur Ghar Par Qayloola Bhi Nahin Kiya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kisi Shakhs Se Farmaya : Jaao Talaash Karo Woh Kaha’n Hai? Us Shakhs Ne Aa Kar Khabar Dee Ki Woh Masjid Me So Rahe Hain. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Paas Tashrif Le Ga’e, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Dekha Ki Woh Lete Hu’e Hain Jab Ki Un Kee Chaadar Un Ke Pehloo Se Neeche Gir Gayi Thi Aur Un Ke Jism Par Mitti Lag Gayi Thi, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Haath Mubarak Se Woh Mitti Jhaadte Jaate Aur Farmate Jaate : Aye Aboo Turaa! Utho, Aye Aboo Turaab Utho.”
Yeh Hadith Muttafaque Alay Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/169, Al-Hadith Raqam-430,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2316, Al-Hadith Raqam-5924,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1874, Al-Hadith Raqam-2409,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/442, Al-Hadith Raqam-4137,
Hakim Fi Ma’rifat ‘Uloom Al-Hadith, 01/211,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/111, 112, Al-Hadith Raqam-124.]
125: “Hazrat Aboo Hazim Bayan Karte Hain Ki Aik Shakhs Ne Hazrat Sahl Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Us Waqt Ke Haakime Madinah Kee Shikaayat Kee Ki Woh Bar Sare Mimbar Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bura Bhala Kehta Hai. Hazrat Sahl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Poochha : Woh Kya Kehta Hai? Us Shakhs Ne Jawaab Diya Ki Woh Un Ko Aboo Turaab Kehta Hai. Is Par Hazrat Sahl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hans Diye Aur Farmaya, Khuda Kee Qasam! Un Ka Yeh Naam To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Rakkha Tha Aur Khud Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Bhi Koi Naam Is Se Badh Kar Mahboob Na Tha. Mein Ne Hazrat Sahl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Is Silsile Kee Poori Hadith Sun Ne Kee Khaahish Kee, Mein Ne Arz Kiya : Aye Aboo Abbas! Waaqe’a Kya Tha? Unhone Farmaya : Aik Roz Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Ghar Tashreef Le Ga’e Aur Phir Masjid Me Aa Kar Let Ga’e, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Poochha : Tumhaara Chachaazaad Kaha’n Hai? Unhone Arz Kiya : Masjid Me Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Waha’n Un Ke Paas Tashrif Le Ga’e Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Dekha Ki Chaadar Un Ke Pehloo Se Sarak Gayi Thi Aur Un Ke Jism Par Dhool Lag Gayi Thi. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Pusht Se Dhool Jhaadte Jaate Aur Farmate Jaate Utho, Aye Aboo Turaab! Utho, Aye Aboo Turaab.”
Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1358, Al-Hadith Raqam-3500,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/368, Al-Hadith Raqam-6925,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/167, Al-Hadith Raqam-5879,
Ru’yani Fi Al-Musnad, 02/188, Al-Hadith Raqam-1015,
Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/150, Al-Hadith Raqam-183,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/296, Al-Hadith Raqam-852,
Mubarakfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jami’ At-Tirmidhi, 10/144,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/112, 113, Al-Hadith Raqam-125.]
126: “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tamaam Aulaade Aadam Ka Sardaar Hoo’n Aur Ali Arab Ke Sardaar Hain.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Kaha Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnaad Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/133, Al-Hadith Raqam-4625,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/127, Al-Hadith Raqam-1468,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/116,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/114, Al-Hadith Raqam-126.]
127: “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Paas Sardaare Arab Ko Bulaao. Mein Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Kya Aap Arab Ke Sardaar Nahin? Farmaya : Mein Tamam Aulaade Aadam Ka Sardaar Hoo’n Aur Ali Arab Ke Sardaar Hain.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwaayat Kiya Hai.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/134, Al-Hadith Raqam-4626,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/131,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/63,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/114, Al-Hadith Raqam-127.]
128: “Imam Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Paas Arab Ke Sardaar Ko Bulaao. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Arz Kiya, Kya Aap Arab Ke Sardaar Nahin? Farmaya : Mein Tamam Aulaade Aadam Ka Sardaar Hoo’n Aur Ali Arab Ke Sardaar Hain Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kisi Ke Zari’e Ansaar Ko Bula Bheja Jab Woh Aa Ga’e To Farmaya : Aye Girohe Ansaar! Mein Tumhein Woh Amr Na Bataau’n Ki Agar Use Mazbooti Se Thaam Lo To To Mere Baa’d Kabhi Gumraah Na Howoge. Logo’n Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Zaroor Irshaad Farmaa’iye. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Ali Hai Tum Meri Mahabbat Kee Bina Par Is Se Mahabbat Karo Aur Meri Izzat-o-Takreem Kee Bina Par Is Kee Izzat Karo, Jo Mein Ne Tum Se Kaha Us Ka Hukm Mujhe Allah Ta’ala Kee Taraf Se Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ne Diya Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/88, Al-Hadith Raqam-2749,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/132,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/63,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/114, 115, Al-Hadith Raqam-128.]
129: “Hazrat Aboo Tufayl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashreef Laae To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Matti Par So Rahe They. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Sab Naamo’n Me Se Aboo Turaab Ka Ziyaada Haque Daar Hai Too Aboo Turaab Hai.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/237, Al-Hadith Raqam-775,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/101,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/115, 116, Al-Hadith Raqam-129.]
130: “Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aboo Turaab Kee Kuniyat Se Nawaaza. Pas Yeh Kuniyat Unhein Sab Kunyaton Se Ziyaada Mahboob Thi.”
Is Hadith Ko Imam Bazzar Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Bazzar Fi Al-Musnad, 04/248, Al-Hadith Raqam-1417,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/101,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/116, Al-Hadith Raqam-130.]