Fasl-05 :
Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Baare Me Husne Zann Rakhne Ka Bayaan
28/410. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Faarmata Hai : Mein Apne Bande Ke Gumaan Ke Saath Hota Hoo’n Jo Woh Mere Baare Me Rakhta Hai, Aur Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n Jab Woh Mujhe Pukarta Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
_
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2725, Raqm-70663,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2067, Raqm-2675,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/596, Raqm-2388,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/445, Raqm-9748,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-391, Raqm-410.]
29/411. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai Ki Mera Banda Mere Muta’alliq Jaisa Khayaal Rakhta Hai Mein Us Ke Saath Waisa Hee Mu’aamala Karta Hoo’n. Jab Woh Mera Zikr Karta Hai Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n. Agar Woh Apne Dil Me Mera Zikr (Ya’ni Zikre Khafi) Kare To Mein Bhi (Apni Shaan Ke Laa’iq) Apne Dil Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n, Aur Agar Woh Jam’a’at Me Mera Zikr (Ya’ni Zikre Jali) Kare To Mein Us Kee Jam’a’at Se Behtar Jam’a’at (Ya’ni Firishto’n) Me Us Ka Zikr Karta Hoo’n. Agar Woh Ek Baalisht Mere Nazdeek Aa’e To Mein Do² Baazu’on Ke Barabar Us Ke Nazdeek Ho Jaata Hoo’n Aur Agar Woh Meri Taraf Chal Kar Aata Hai To Mein Us Kee Taraf Daud Kar Aata Hoo’n.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2694, Raqm-6970,
Muslim Fi As-Sahih,04/2061, 2675,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/581, Raqm-3603,
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
Ibn Majah Fi As-Sunan, 04/412, Raqm-7730,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/413, 934,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/406, Raqm-550,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-391, 392, Raqm-411.]
30/412. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai : Mein Bande Ke Saath Hota Hoo’n Jab Woh Mera Zikr Karta Hai Aur Us Ke Lab Mere Zikr Ke Liye Harkat Karte Hain.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2736,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1246, Raqm-3792,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/540, Raqm-10981, 10989,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/97, Raqm-815,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/673, Raqm-1864,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/363, Raqm-6621,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/320, Raqm-562,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/319, Raqm-1417,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/186, Raqm-4511,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/339, Raqm-956,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/253, Raqm-2289,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-392, Raqm-412.]
31/413. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai : Mein Apne Bande Ke Us Gumaan Ke Mutaabiq Hota Hoo’n Jo Woh Mere Muta’alliq Rakhta Hai Aur Mein Us Ke Saath Hota Hoo’n Jab Woh Mera Zikr Karta Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2061, Raqm-2675,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/581, Raqm-3603,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/412, Raqm-7730,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1255, Raqm-3822,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/413, Raqm-9340, 10258, 10715,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-393, Raqm-413.]
32/414. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Jab Mera Banda Ek Balisht Meri Taraf Badhta Hai To Mein Ek Haath Us Kee Taraf Badhta Hoo’n Aur Agar Woh Ek Haath Meri Taraf Badhta Hai To Mein Do² Haath Us Kee Taraf Badhta Hoo’n Aur Jab Woh Do² Haath Meri Taraf Badhta Hai To Mein Tejee Se Us Kee Taraf Badhta Hoo’n (Ya’ni Isee Raftar Se Us Par Apni Rahmat Aur Madad Wa Nusrat Ka Nuzool Farmata Hoo’n).”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2061, Raqm-2675,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/316, Raqm-8178,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/283, Raqm-14045,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-393, Raqm-414.]
33/415. “Hazrat Aboo Hurayrah Aur Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Hu’e. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Bhi Log Allah Ta’ala Ke Zikr Ke Liye Baithte Hain Unhe’n Firishtein Dhaanp Lete Hain Aur Rahmate Ilaahi Unhe’n Apni Aagosh Me Le Leti Hai Aur Un Par Sakeena (Rahmat) Naazil Hoti Hai Allah Ta’ala Un Ka Zikr Apni Baargaah Ke Hazireen Me Karta Hai.”
رواه مسلم والترمذي.
وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2074, Raqm-2700,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/459, Raqm-3378,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1245, Raqm-3791,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/92, Raqm-11893,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/136, Raqm-855,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/20, Raqm-6159,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/60, Raqm-29475,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/137, Raqm-1500,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/296, Raqm-2233,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/398, Raqm-530,
Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/262, Raqm-2328,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-394, Raqm-415.]
34/416. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Poochha Gaya Kaun Se Log Qiyaamat Ke Deen Allah Ta’ala Ke Yaha’n Darje Me Afzal Hoge? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Kasrat Se Zikr Karne Waale Mard Aur Aurte’n. Mein Ne (Ta’jjub Se) ‘Arz Kiya : Kya Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karne Waale Ghaazi Se Bhi (Afzal Honge?) Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Ha’n) Agarche Mujaahid Apni Talwar Kafiro’n Aur Mushriko’n Par Is Qadr Chalaa’e Kee Woh Toot Jaa’e Aur Khoon Aalood Ho Jaa’e Phir Bhi Allah Ta’ala Ka Zikr Karne Waale Darje Me Us Se Afzal Hain.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/458, Raqm-3376,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/75, Raqm-11738,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/419, Raqm-589,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/530, Raqm-1401,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/238, 44,
Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 02/254, Raqm-2296,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-394, 395, Raqm-416.]
35/417. “Hazrat Wathila Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Farmaya : Mein Apne Bande Ke Gumaan Ke Mutabiq Hota Hoo’n Jo Woh Mere Baare Me Rakhta Hai Lehaaza Woh Jo Chaahe Mere Baare Me Gumaan Rakh Le.”
رواه ابن حبان والدارمي وأحمد.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الأسناد.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/401, Raqm-633,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/491,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/268, Raqm-7603,
Darami Fi As-Sunan, 02/395, Raqm-2731,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/386, Raqm-1546,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/184, Raqm-717,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-395, Raqm-417.]