Fasl-04 :
Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Liye Mahabbat Karne Ke Thawab Ka Bayan
22/404. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Qiyaamat Ke Din Farma’ega : Meri Azmat Kee Khaatir Ek Dusre Mahabbat Karne Waale Aaj Kaha Hain? Mein Unhe’n Apne Saa’e Me Jagah Doo’n, Kyoo’n Ki Aaj Mere Saa’e Ke Ilaawah Aur Ko’i Saaya Nahin Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1988, Raqm-2566,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/237, Raqm-723, 8336, 8818, 10790, 10923,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/334, Raqm-574,
Darami Fi As-Sunan, 02/403, Raqm-2757,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/232,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-387, Raqm-404.]
23/405. “Hazrat Aboo Huraira RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Shakhs Apne Bhaai Se Milne Ke Liye Ek Dusri Basti Me Gaya, Allah Ta’ala Ne Us Ke Raaste Me Ek Fariste Ko Bhej Diya, Jab Us Shakhs Ka Us Firishte Ke Paas Se Guzar Hu’a To Firishte Ne Poochha : Kaha Jaane Ka Irada Hai? Us Shakhs Ne Kaha : Is Basti Me Mera Ek (Deeni) Bhaai Hai Us Se Milne Ka Iraada Hai. Firishte Ne Poochha : Kya Tumhara Us Par Ko’i Ahsaan Hai Jis Kee Takmil Maqsood Hai? Us Ne Kaha : Is Ke Siwa Aur Ko’i Baat Nahin Ki Mujhe Us Se Sirf Allah Ta’ala Ke Liye Mahabbat Hai, Tab Us Firishte Ne Kaha Ki Mein Tumhare Paas Allah Ta’ala Ka Yeh Paigham Laaya Hoo’n Ki Jis Tarh Tum Us Shakhs Se Mahz Allah Ta’ala Ke Liye Mahabbat Karte Ho To Allah Ta’ala Bhi Tum Se Mahabbat Karta Hai.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1988, Raqm-6567,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/331, 337, Raqm-572, 576,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/408, Raqm-9280, 9959, 10608,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/211, Raqm-254,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/488,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/247, Raqm-710,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/10, Raqm-4573,
Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 07/454,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 03/400, Raqm-1527, 5751, 6827,7376,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-387, 388, Raqm-405.]
24/406. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Us Shakhs Ke Baare Me Aap Ka Kya Irshad Hai Jo Kisi Qaum Se Mahabbat Rakhta Hai Lekin Un Se Mila Nahin Hai? Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Qiyaamat Ke Roz) Aadami Usi Ke Saath Hoga Jis Se Mahabbat Rakhta Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2283, Raqm-5817, 5818,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2034, Raqm-2640,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/596, Raqm-2387,
وقال أبوعيسى : هذا حديث صحيح ،
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/344, Raqm-1178,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/239, 395, 398, 405,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/100, Raqm-5166,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/316, Raqm-557,
Bazzar Fi Al-Musnad, 08/32, Raqm-3014,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/42, Raqm-3563,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/387, Raqm-497,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/15, Raqm-4597,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 08/36, Raqm-29,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-388, 389, Raqm-406.]
25/407. “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Nazdeek) Aamaal Me Sab Se Afzal Amal (Aur Ahmad Kee Riwayat Me Hai Ki Sab Se Pyara Amal Aur Bazzar Kee Riwayat Me Hai Ki Sab Se Afzal ‘Ilm) Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Liye Mahabbat Rakhna Aur Allah ‘Azza Wa Jalla Hee Ke Liye Dushmani Rakhna Hai.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/198, Raqm-4599,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/146, Raqm-21341,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/461, Raqm-4076,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/14, Raqm-4593,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/355, Raqm-1429,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-389, Raqm-407.]
26/408. “Hazrat Mu’az Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai Ki Allah Ta’ala Ne Farmaya : Meri Khaatir Mahabbat Karne Waalo’n, Meri Khaatir (Mere) Mahaafil Sajaane Waalo’n, Meri Khaatir Ek Doosre Se Milne Waalo’n Aur Meri Khaatir Kharch Karne Waalo’n Ke Liye Meri Mahabbat Waajib Ho Ga’i Hai.”
رواه مالك بإسناده الصحيح وابن حبان.
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 02/953, Raqm-171,
وإسناده صحيح ،
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/335, Raqm-575,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/186, Raqm-7314,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/233,
وصححه، ووافقه الذهبي، وقال ابن عبد البر : إسناده صحيح.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-389, 390, Raqm-408.]
27/409. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Do Bande Allah Ta’ala Ke Liye Ek Dusre Se Mahabbat Kare Aur Ek Mashriq Me Ho Aur Dusra Maghrib Me (Bhi) Ho To Allah Ta’ala Qiyaamat Ke Roz Unhe’n Zaroor Mila Dega Aur Farma’ega : Yeh Hai Woh (Shakhs) Jis Se Too Meri Khaatir Mahabbat Kiya Karta Tha.”
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/492, Raqm-9022,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-390, Raqm-409.]