Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Ehsaan Ka Bayaan

Fasl-07 :

Ehsaan Ka Bayaan

44/44.       “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Roz Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir They . Achanak Ek Shakhs Hamaari Mahfil Me Aaya, Us Ke Kapde Nihayat Safed, Baal Gahre Syaah They. Us Par Safar Ke Kuchh Asraat Numaya’n Na They Aur Hum Me Se Ko’i Use Pahchaanta Bhi Nahin Tha. Aakhirkaar Woh Shakhs Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Aap  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ghutne Se Ghutne Mila Kar Baith Gaya Aur Us Ne Dono’n Haath Apni Raano’n Par Rakh Liye Aur ‘Arz Kiya : Ya Mustafa ﷺ! Mujhe Bataaye : Islam Kya Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Islam Yeh Hai Ki Too Is Baat Kee Gawaahi De Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin, Aur Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Allah Ke Rasool Hain Aur Too Namaz Kaayam Kare, Zakaat Ada Kare, Ramzan-ul-Mubarak Ke Roze Rakkhe Aur Istita’at Rakhne Par Baitullah Ka Hajj Kare. Us Ne ‘Arz Kiya : Aap Ne Sach Farmaya. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Hame’n Ta’ajjub Hua Ki Khud Hee Sawal Karta Hai Aur Khud Hee Tasdeeq Bhi Karta Hai. Us Ke Baa’d Us Ne ‘Arz Kiya : Mujhe Iman Ke Baare Me Bataaye? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Iman Yeh Hai Ki Allah Ta’ala Par, Firishto’n Par, Us Kee Kitaabo’n Par, Us Ke Rasoolo’n Par Aur Qiyaamat Ke Din Par Iman Laa’e Aur Achchhi Buri Taqdeer Par Iman Rakkhe. Woh Bola : Aap Ne Sach Farmaya. Phir Us Ne ‘Arz Kiya : Mujhe Ehsaan Ke Baare Me Bataaye, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ehsaan Yeh Hai Ki Too Allah ‘Azza Wa Jalla Kee Ibaadat Is Tarah Kare Goya Too Use Dekh Raha Hai Aur Agar Too Use Na Dekh Sake To Yeh Jaan Le Ki Yaqeenan Woh Tujhe Dekh Raha Hai. Us Ne ‘Arz Kiya : Achchha Ab Mujhe Qiyaamat Qaa’em Hone Ke (Waqt Ke) Baare Me Bataaye, Aap  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Se Sawal Kiya Gaya Hai Woh Is Mas’ale Par Saa’il Se Ziyaada ‘Ilm Nahin Rakhta (Ya’ni Jo Kuchh Mujhe Maaloom Woh Tumhe’n Bhi Maaloom Hai Aur Doosre Haazireen Ke Liye Use Zaahir Karna Mufeed Nahin Hai.) Us Shakhs Ne ‘Arz Kiya : Achchha Phir Qiyaamat Kee Alaamat Hee Bata De. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Alaamaate Qiyaamat Yeh Hai Ki Naukaraani Apne Maalika Ko Janm Degi (Ya’ni Beti Apni Maa Ke Saath Naukaraniyo’n Waala Sulook Karegi) Aur Barahna Paanw Aur Nange Badan Waale Muflis Charwaahe Oonche Oonche Mahallaat Par Fakhr Karenge. Phir Woh Shakhs Chala Gaya. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Kuchh Der Thehra Raha, Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Umar! Jaante Ho Yeh Sawal Karne Waala Koun Tha? Mein Ne ‘Arz Kiya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Behtar Jaante Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh Jibra’il ‘Alayh-is-Salam They Jo Tumhe’n Tumhara Deen Sikhaane Aa’e They.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/27, Raqm-50,

Bukhari Fi As-Sahih, 04/1793, Raqm-4499,

Muslim Fi As-Sahih, 01/36, Raqm-08, 09,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/06, Raqm-2601,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/222, Raqm-4695,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/97, Raqm-4990,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/24, Raqm-63,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/15, Raqm-367,

Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 04/127, Raqm-2504,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/389, Raqm-168,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-124, 125,  126, Raqm-44.]

45/45.       “Hazrat Aboo Dhar (Ghaffari) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mujhe Mere Habib SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Mein Khashiyyate Ilahi Me Aisa Ho Jaoo’n Goya Mein Use Dekh Raha Hoo’n, Pas Agar Mein Use Nahin Dekh Sakta To Woh To Yaqeenan Mujhe Dekh Hee Raha Hai.”

رواه أبونعيم.

[Aboo Nu’aym Fi Kitab-ul-Arba’iyn ‘Ala Madh’hab Al-Mutahaqqiqin Min As-Sufiyyah, Yalihi Al-Juz’ Al-Khamis Min Kitab Al-Du’a’ Wa Al-Da’iyn, 01/39, Raqm-12,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/126,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-126, Raqm-45.]

46/46.       “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ehsaan Yeh Hai Ki Too Allah Ta’ala Ke Liye Is Tarah Amal Kar Goya Too Use Dekh Raha Hai, Phir Agar Too Use Nahin Dekh Sakta To Yaqeenan Woh Tujhe Dekh Raha Hai.”

رواه الربيع.

[Ibn Rabi’ Fi Al-Musnad, 01/42, Raqm-56,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/36,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-126, Raqm-46.]

47/47.       “Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Aye Allah Ke Bande!) Is Tarah Ho Ja Goya Allah Ta’ala Ko Dekh Raha Hai,  Agar Tum Use Nahin Dekh Rahe To Woh To Yaqeenan Tumhe’n Dekh Raha Hai.”

رواه أبونعيم والديلمي.

[Aboo Nu’aym Fi Kitab-ul-Arba’iyn ‘Ala Madh’hab Al-Mutahaqqiqin Min As-Sufiyyah, Yalihi Al-Juz’ Al-Khamis Min Kitab Al-Du’a’ Wa Al-Da’iyn, 01/40, Raqm-13,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 08/202,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/274, Raqm-4843,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/36,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-127, Raqm-47.]

48/48.       “Hazrat Shaddad Bin Aws RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Har Kaam Me Ehsaan Farz Kiya Hai. Jab Tum Qatl Karo To Achchhi Tarah Se Qatl Karo Aur Jab Tum Zibah Karo To Achchhi Tarah Se Zibah Karo Aur Zibah Karne Waale Ko Chaahiye Ki Chhoori Ko Achchhi Tarah Tez Kare Aur Apne Zibah Hone Waale Jaanwar Ko Aaraam De.”

 رواه مسلم والترمذي.

[Muslim Fi As-Sahih, 03/1548, Raqm-1955,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/23, Raqm-1409,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/100, Raqm-2815,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/227, Raqm-4405,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/229, Raqm-4411,

Nasa’i Fi As-Sunan, 07/229, Raqm-4412, 4414,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1058, Raqm-3170,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/123,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 13/119, Raqm-5883,

Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/214, Raqm-839,

Darami Fi As-Sunan, 02/112, Raqm-1970,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-127, Raqm-48.]