Arsh Aur Farsh Har Jagah Khatone Jannat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Sare Aqdas Par Ihtiraam Aur Taqaddus Kee Chaadar Hai. Ahle Mahshar Se Kaha Jaayega Ki Apni Nigaahein Jhukaao Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Beti Fatimah Tashrif Laa Rahi Hain.
5.
عن علي عليه السلام قال سمعت النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يقول اذا کان يوم القيامة ناد منادٍ من وراء الحجاب يا اهل الجمع غضوا ابصارکم عن فاطمة بنت محمد صلى الله تعالى عليه وآله وسلم حتي تمر.
“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmate Huwe Suna Ki Jab Qiyaamat Ka Din Hoga To (Achaanak) Pardo’n Ke Pichhe Se Koi Munaadi I’laan Karega Aye Ahle Mahshar ! Apni Nigaahein Jhukaa Lo Fatimah Bint Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se (Woh Aa Rahi Hain) Hatta Ki Woh Guzar Jaaengi.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/153.]
Chashme Tasawwur! Zara Maidaane Hashr Me Chal, Makhlooqe Khuda Bargahe Khudawandi Me Haazir Hai. Nafsa Nafsi Ka Aalam Hai, Sooraj Sawa Neze Par Aag Barsa Raha Hai. Achaanak Pardo’n Ke Pichhe Se Aawaaz Aati Hai, Munaadi Dene Waala Munaadi De Raha Hai, Ahle Mahshar Se Mukhaatib Hai Ki Apni Nigaaho’n Ko Jhuka Lo, Sar Taapa Paikar Niyaaz Ban Jaao. Ki Fatimah Bint Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aa Rahi Hain Jab Tak Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Guzar Na Jaaein Qiyamat Ke Din Kisi Ko Apni Nigaah Uthaane Kee Ijaazat Na Hogi, Roze Mahshar Yeh Izzat, Yeh Ihtiraam Yeh Taqaddus Kisi Aur Ke Hisse Me Nahin Aayegi, Yeh Maqaam Kisi Aur Ko Ata Na Hoga Sirf Aur Sirf Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Laadli Beti Is Sulook Kee Sazaawaar Thehrengi.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/73_74.]