Fasl-02 :
Buri Bid’at Se Bachte Rehne Ka Bayan
11/860. “Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Ek Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Hamare Is Deen Me Koi Aisi Na’i Baat Paida Kare Jo Is Me Na Ho To Woh Radd Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/959, Raqm-2550,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1343, Raqm-1718,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 05/12, Raqm-4606,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/07, Raqm-14,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-757, Raqm-860.]
12/861. “Bukhari Aur Muslim Kee Ek Riwayat Me Hai : Jo Koi Aisa Kaam Kare Jis Ke Muta’alliq Hamara Hukm Na Ho To Woh Mardood Hai.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/753,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2675,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1343, Raqm-1718,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 04/171, Raqm-6408,
Daraqutni Fi As-Sunan, 04/227, Raqm-80, 82,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/180, Raqm-25511,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-757, Raqm-861.]
13/862. “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Khutba Dete To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Chashmane Muqaddas Surkh Ho Jaati, Aawaaz Buland Hoti Aur Jalaal Ziyaada Ho Jaata Aur Yoo’n Lagta Jaise Aap Kisi Aise Lashkar Se Dara Rahe Ho Jo Sub’ho Shaam Me Hamla Karne Waala Ho. Aur Farmate : Mein Aur Qiyaamat In Do² Ungliyo۔n Kee Tareh Saath-Saath Bheje Ga’e Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Anguste Shahaadat Aur Darmiyani Ungli Ko Milaate Aur Hamdo Sana Ke Baa’d Farmate Yaad Rakho Behtareen Baat Allah Ta’ala Kee Kitaab Hai Aur Behtareen Seerat Muhammad Mustafa ﷺ Kee Seerat Hai Aur Bad Tareen Kaam Ibaadat Ke Naye Tareeqe (Nikaalna) Hain Aur Ibaadat Ka Har Naya Tareeka Hai Phir Farmate : Har Momin Kee Jaan Par Tasarruf Ka Sab Se Ziyaada Haqq Daar Mein Hoo’n. Jis Shakhs Ne Maal Chhoda Woh Is Ke Waarison Ka Hai Aur Jis Ne Qarz Ya Ahlo Ayaal Ko Chhoda Woh Mere Zimme Hain.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 02/592, Raqm-867,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/188, Raqm-1578,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/550, Raqm-1786,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/17, Raqm-45,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/310, Raqm-14373,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/186, Raqm-10,
Darami Fi As-Sunan, 01/80, Raqm-206,
Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/159,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/160, Raqm-9418,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/100, Raqm-8531,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 03/206, Raqm-5544,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/85, 90, Raqm-2111, 2119,
Ibn Jarood Fi Kitab Al-Muntaqa, 01/83, Raqm-297,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/44, Raqm-78,
Amthal-ul-Hadith, 01/22, Raqm-08,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-758, 759, Raqm-862.]
14/863. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Roz Khutba Dete Hu’e Farmaya : Aye Logo’n! Tum Baroze Hashr Allah Ta’ala Bargah Me Yoo’n Haazir Ki’e Jaa’oge Ki Barahna Pa, Nange Jism Aur Baghair Khatna Ke Hoge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Padhi : “Jis Tarah Hum Ne (Kaa’enaat Ko) Pehli Baar Paida Kiya Tha Hum (Us Ke Khatm Ho Jaane Ke Baa’d) Isi Amale Takhleeq Ko Dohraayenge. Yeh Waada Poora Karna Hum Ne Laazim Kar Liya Hai. Hum (Iaada) Zaroor Karne Waale Hain. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Saari Makhlooq Me Sab Se Pehle Jinhe’n Libaas Pehnaaya Jaa’ega Woh Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Hain. Khabardaar Ho Jaao Ki Phir Meri Ummat Ke Kuchh Logo’n Ko Laaya Jaa’ega Firishte Unhe’n Jahannum Kee Taraf Ha’nkenge. Mein Arz Karoo’nga : Aye Rabb! Yeh To Mere Saathi Hain. Farmaya Jaa’ega! Aap Ko Ma’loom Nahin Ki Aap Ke Baa’d Yeh Kya Gul Khilaate Rahe. Pas Mein Bhi Wohi Kahunga Jo Allah Ta’ala Ke Ek Nek Bande Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Ne Kaha : ˝Aur Mein In (Ke Aqa’ido Aamaal) Par (Us Waqt Tak) Khabardaar Raha Jab Tak Mein Un Logo’n Me Maujood Raha. Phir Jab Tum Me Mujhe Utha Liya To Too Hee (Un Ke Haalaat) Par Nigehbaan Tha˝. Pas Kaha Jaa’ega Jaise Hee Aap In Se Juda Hu’e They Yeh Usee Waqt Murtad Ho Ga’e They.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1691, Raqm-4349,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1766, Raqm-4463,
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2391, Raqm-6161,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2194, Raqm-2860,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/117, Raqm-2087,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/235, Raqm-2096,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-759, 760, Raqm-863.]
15/864. Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Bid’ati Ka Roza, Namaz, Hajj, Umrah, Jihaad Aur Koi Farzo Nafl (‘Ibadat Qubool Nahin Farmata, Woh Islam Me Se Yoo’n Khaarij Ho Jaata Hai Jaise Aate Se Baal Khaarij Ho Jaata Hai.
Aur Imam Ibn Majah Aur Imam Ibn Abi ‘Asim Ne ˝Kitab-us-Sunnah˝ Me Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Riwayat Bayan Kee. Un Ke Alfaaz Yeh Hai : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Kisi Bid’ati Ke Amal Ko Qubool Karne Se Inkaar Kar Diya Hai Jab Tak Ki Woh Bid’at Na Chhod De.
Aur Ek Riwayat Me Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Be Shak Allah Ta’ala Kisi Bid’ati Kee Tawba Qubool Nahin Farmata Jab Tak Ki Woh Us (Irtikaabe Bid’at) Se Baa’z Nahin Aa Jaata.”
رواه ابن عاصم والطبراني بإسناد حسن والبيهقي.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/19, Raqm-49, 50,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/21, 22,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/281, Raqm-4202,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/449, Raqm-7238,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/59, Raqm-9456,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/377, Raqm-397,
Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,06/72, Raqm-2054, 2055,
إسناده حسن ،
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/143, Raqm-2732,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/45, Raqm-87,
وقال : إسناده حسن،
Ibn Hibba Fi Tabaqat Al-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/609,
Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 26/374,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 09/381,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/189,
وقال : ورجاله موثقون،
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/200,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 18/199,
Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/11, Raqm-19,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-760, 761, Raqm-864.]