Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-10 : ﴾Jaame’ Manaqib Ka Bayaan﴿

Awliya’ Aur Saaleheen Rahmatullahi Ta’ala Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

Fasl-05 :

Awliya’ Aur Saaleheen Rahmatullahi Ta’ala Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Ka Bayan

66/728.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Allah Ta’ala Kisi Bande Se Mahabbat Karta Hai To Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Ko Aawaaz Deta Hai Ki Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Mahabbat Rakhta Hai, Lehaaza Tum Bhi Us Se Mahabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Us Se Mahabbat Karta Hain. Phir Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Aasmaani Makhlooq Me Nida Dete Hai Ki Allah Ta’ala Fula’n Bande Se Mahabbat Karta Hai. Lehaaza Tum Bhi Us Se Mahabbat Karo.  Pas Aasmaan Waale Bhi Us Se Mahabbat Karne Lagte Hai. Phir Zameen Waalo’n (Ke Dilo’n) Me Us Kee Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1175, Raqm-3037,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2246, Raqm-5693,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2721, Raqm-7047,

Muslim Fi As-Sahih, 04/2030, Raqm-2637,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/953, Raqm-1710,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-644, Raqm-728.]

67/729.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Farmata Hai : Jo Mere Kisi Wali Se Dushmani Rakkhe Me Us Se E’laane Jang Karta Hoo’n Aur Mera Banda Aisee Kisi Cheez Ke Zari’e Mera Qurb Nahin Paata Jo Mujhe Fara’iz Se Ziyaada Mehboob Ho Aur Mera Banda Nafli Ibadat Ke Zari’e Baraabar Mera Qurb Haasil Karta Rehta Hai. Yaha’n Tak Ki Mein Us Se Mahabbat Karne Lagta Hoo’n Aur Jab Mein Us Se Mahabbat Karta Hoo’n To Mein Us Ka Kaan Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Sunta Hai Aur Us Kee Aankh Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Dekhta Hai Aur Us Ka Haath Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Pakadta Hai Aur Us Ka Paanw Ban Jaata Hoo’n Jis Se Woh Chalta Hai. Agar Woh Mujh Se Sawaal Karta Hai To Mein Use Zaroor ‘Ata Karta Hoo’n Aur Agar Woh Meri Panaah Maangta Hai To Mein Zaroor Use Panaah Deta Hoo’n.  Mein Ne Jo Kaam Karna Hota Hai Us Me Kabhi Is Tarah Mutardid  Nahin Hota Jaise Banda-e Momin Ke Jaan Lene Me Hota Hoo’n, Use Mowt Pasand Nahin Aur Mujhe Us Kee Takleef Pasand Nahin.”

رواه البخاري.

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2384, Raqm-6137,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/58, Raqm-347,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 10/219, Baab(60),Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/269, Raqm-696,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-644, 645, Raqm-729.]

68/730.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ke Kuchh Aise Barguzeeda Bande Hain Jo Na Ambiya Kiram Hain Na Shohada, Qiyaamat Ke Din Ambiya Kiram ‘Alayhim-us-Salam Aur Shohada Unhe’n Allah Ta’ala Kee Taraf Se ‘Ata Karda Maqaam Dekh Kar Un Par Rashk Karenge. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Hame’n Un Ke Baare Me Bataaye Ki Woh Kaun Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Aise Log Hain Jin Kee Ek Doosre Se Mahabbat Sirf Allah Ta’ala Kee Khaatir Hoti Hai Na Ke Rishtedaari Aur Maali Len-Den Kee Wajah Se. Allah Ta’ala Kee Qasam!  Un Ke Chehre Noor Honge Aur Woh Noor (Ke Mimbaro’n) Par Honge, Unhe’n Ko’i Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Honge Unhe’n Ko’i Gham Nahin Hoga, Jab Log Ghamzada Honge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i, ˝Khabardaar Awliya’ Allah Par Na Ko’i Khauf Hai Na Woh Ranjeeda-o Ghamgeen Honge.[Yunus, 10 : 62]”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/288, Raqm-3527,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Raqm-11236,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/486, Raqm-8998,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-645, 646, Raqm-730.]

69/731.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ke Kuchh Bande Aise Hain Jo Ambiya Nahin Lekin Ambiya-e Kiram Aur Shohada Bhi Us  Par Rashk Karenge. ‘Arz Kiya Gaya : (Ya RasoolAllah ﷺ) Woh Kaun Log Hain? (Hame’n Un Kee Sifaat Bata’e’n) Taaki Hum Bhi Un Se Mahabbat Kare’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Aise Bande Hain Jo Aapas Me Baghair Kisi Qaraabatdari Aur Waasta Ke Mahz Allah Ta’ala Kee Khaatir Mahabbat Karte Hain Un Ke Chehre Poor Noor Honge Aur Woh Noor Ke Mimbaro’n Par Jalwa Afroz Honge. Unhe’n Ko’i Khauf Nahin Hoga, Jab Log Khauf Zada Honge Aur Unhe’n Ko’i Gham Na Hoga Jab Log Ghamzada Honge. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaa’i, “Khabardaar Be Shak Awliya Allah Par Na Ko’i Khauf Hai Aur Na Woh Ranjeeda-o Ghamgeen Honge.[Yunus, 10 : 62]”

[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/332, Raqm-573,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/495, Raqm-6110,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/485, Raqm-8997, 8999,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/12, Raqm-4580,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-646, 647, Raqm-731.]

70/732.    “Hazrat Asma Binte Yajeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Suna Ki Kya Mein Tumhe’n Tum Me Se Sab Se Behtar Logo’n Ke Baare Me Khabar Na Doo’n, Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Kyun Nahin? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Behtar Log Woh Hain Jab Unhe’n Dekha Jaa’e To Allah Yaad Aa Jaa’e.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1379, Raqm-4119,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/459, Raqm-27640,

Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad/119, Raqm-323,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/167, Raqm-423,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-647, Raqm-732.]

71/733.    “Hazrat ‘Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Awliya Allah Ke Baare Me Poochha Gaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Woh Log (Awliya’ Allah Hain) Jinhe’n Dekhne Se Allah ‘Azza Wa Jalla Yaad Aa Jaa’e.”

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/362, Raqm-11235,

Ibn Mubarak Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/72, Raqm-217,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah,10/108, Raqm-105,

Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool ﷺ , 02/39,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/78,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-647, Raqm-733.]

72/734.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeenan Baa’z log Allah Ta’ala Ke Zikr Kee Kunjiya’n Hote Hain, Unhe’n Dekh Kar Allah Ta’ala Yaad Aa Jaata Hai.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/205, Raqm-10476,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/455, Raqm-499,

Ibn Abi Ad-Dunya’ Fi Kitab-ul-Awliya’/17, Raqm-26,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/78, وصححه.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-648, Raqm-734.]

73/735.    “Hazrat ‘Amr Bin Hamiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Banda Us Waqt Tak Iman Kee Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ki Woh Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Naaraaz Aur Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Kee Raza Ka Markazo Mehwar Faqat Zaate Ilahi Ho) Aur Jab Us Ne Yeh Kaam Kar Liya To Us Ne Iman Kee Haqeeqat Ko Paa Liya Aur Be Shak Mere Ahbaab Aur Awliya’ Woh Log Hai Ki Mere Zikr Se Un Kee Yaad Aa Jaati Hai Aur Un Ke Zikr Se Meri Yaad Aa Jaati Hai (Ya’ni Mera Zikr Un Ka Zikr Hai Aur Un Ka Zikr Mera Zikr Hai).”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/203, Raqm-651,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/430, Raqm-15634,

Ibn Abi Dunya Kitab-ul-Awliya/15, Raqm-19,

Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/365,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/152, Raqm-7789,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/14, Raqm-4589,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/58,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-648, 649, Raqm-735.]

 74/736.   “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Mu’aadh Bin Jabal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Be Shak Ma’mooli Dikhaawa Bhi Shirk Hai Aur Jis Ne Awliya’ Allah Se Dushmani Kee To Us Ne Allah Ta’ala Se E’laane Jung Kiya Be Shak Allah Ta’ala Un Nek Muttaqi Logo’n Ko Mehboob Rakhta Hai Jo Chhupe Rehte Hain. Agar Woh Gaayab Ho Jaa’e’n To Unhe’n Talaash Nahin Kiya Jaata, Agar Woh Maujood Ho’n To  Unhe’n (Kisi Bhi Majlis Me Ya Kaam Ke Liye) Bulaaya Nahin Jaata Aur Na Hee Unhe’n Pehchaana Jaata Hai. Un Ke Dil Hidayat Ke Charaag Hain, Aise Log Har Tarah Kee Aazma’ish Aur Taareek Fitane Se (Bakhairo ‘Aafiyat) Nikal Jaate Hain.”

رواه ابن ماجه والحاكم والطبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1320, Raqm-3989,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/44, Raqm-04,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/364, Raqm-7933,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/122, Raqm-892,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/548, Raqm-9049,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/34, Raqm-49,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-649, Raqm-736.]

75/737.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hamaare Behtareen Humnasheen Kaun Log Hain? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aisa Humnasheen Jis Ka Dekhna Tumhe’n Allah Ta’ala Kee Yaad Dilaaye Aur Jis Kee Guftagoo Tumhaare ‘Ilm Me Izaafa Kare Aur Jis Ka ‘Amal Tumhe’n Aakhirat Kee Yaad Dilaaye.”

[Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/326, Raqm-2437,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/213, Raqm-631,

Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/46,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/121, Raqm-355,

Ibn Abi Dunya Kitab-ul-Awliya/17, Raqm-25,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/63, Raqm-163,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 09/28, 37, Raqm-24764, 24820,

Husayni Al-Bayan Wat-Ta’rif, 02/39, Raqm-994,

Zarqani Fi Sharh, 04/553,

Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/467,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-649, 650, Raqm-737.]