Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿

Khaane-Peene Ke Aadab Ka Bayan

Fasl-03 :

Khaane-Peene Ke Aadab Ka Bayan

32/966.    “Hazrat ‘Umar Bin Aboo Salma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ladakpan Me RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zere Kafaalat Tha (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Khaana Khaate Waqt) Mera Haath Pyaale Me Har Taraf Chalta Rehta Tha. (Ek Martaba Jab Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Darstarkhaan Par Baitha Tha) To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Barkhurdaar!  Bismillah Padho, Daayein Haath Se Khaao Aur Apne Saamne Se Khaaya Karo. Us Ke Baa’d Mein Usi Tariqe Se Khaata Hoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2056, Raqm-5061, 5063,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1599, Raqm-2022,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1087, Raqm-3267,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/175, Raqm-6759,

Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, 01/259, Raqm-274,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/26,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/277, Raqm-4389,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-828, Raqm-966.]

33/967.    “Hazrat Huzayfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Resham Aur Deebaaj Ke Kapade Na Pahno, Sone Chaandi Ke Bartanon Me Na Piyon Aur Na Hee Sone Chaandi Ke Pleton Me Khaao Kyoo’n Ki Yeh Un (Kuffar) Ke Liye Dunya Me Hain Aur Hamare Liye Aakhirat Me Hain.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2069, Raqm-5110, 5309, 5310,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2194, Raqm-5493, 5499,

Muslim Fi As-Sahih, 03/1638, Raqm-2067, 2069,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 12/155, Raqm-5339,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/149, Raqm-6631,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/390, Raqm-23362,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-828, 829, Raqm-967.]

34/968.    “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Khaana Khaa Kar Yeh Kalimaat Kahe  : (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ ٱلَّذِى أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيِهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَﻻَ قُوَّةٍ) “Tamam Taarifein Allah Ta’ala Ke Liye Hain, Jis Ne Mujhe Yeh Khaana Khilaaya Aur Kisi Harkat Wa Quwwat Ke Baghair Mujhe Ata Farmaya,”  Us Shakhs Ke Guzishta Gunaah Mu’aaf Kar Di’e Jaate Hain.”

 رواه الترمذي وأحمد والحاكم.

وقال أبوعيسى: هذا حديث حسن صحيح.

وقال الحاكم : هاذا حديث صحيح الإسناد.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/508, Raqm-3458,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/439,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/213, Raqm-7409,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/150, Raqm-241,

Tabarani FiAl-Mu’jam-ul-Kabir, 20/181, Raqm-389,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 03/62, Raqm-1488,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-829, Raqm-968.]

35/969.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Oont Kee Tarah Ek Hee Saans Me (Paani) Mat Piyo, Balki Do² Ya Teen³ Martaba (Saans Le Kar) Piyo Aur Paani Peene Se Qabl  (بِسْمِ اللهِ) Padho Aur Faraagat Par  (ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ) Kaha Karo.”

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/302, Raqm-1885,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/166, Raqm-11378,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/116, Raqm-6015,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-829, 830, Raqm-969.]

36/970.    “Hazrat Miqdaam Bin Ma’di Karib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Insan Ne Pet Se Ziyaada Bura Bartan Nahin Bhara. Insan Ke Liye Chand Luqme Khaana Kaafi Hai Jo Us Ke Peeth Ko Sidha Rakh Sake, Agar Ziyaada Khaana Zaroori Ho To (Pet Ke Teen³ Hisse Kare) Ek Tihaa’i Khaane Ke Liye, Ek Paani Ke Liye Aur Ek Tihaa’i Saans Lene Ke Liye Rakkhe.”

 رواه الترمذي وابن ماجه.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/590, Raqm-2380,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1111, Raqm-3349,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/177, Raqm-6768,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/132,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/367, Raqm-7139, 7145,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/449, Raqm-674,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-830, Raqm-970.]

37/971.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Na To Khaane Aur Paani Me Phoonk Maarte They Aur Na Bartan Me Saans Lete They.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1094, Raqm-3288,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/309, Raqm-2818, 3366,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/107, Raqm-24180,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-830, 831, Raqm-971.]

38/972.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Hee Marwi Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaane Aur Pine Kee Cheezo’n Me Phoonk Maarne Se Mana Farmaya Karte They. Aur Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Khaane Me Phoonk Maarna Us Kee Barkat Ko Khatam Kar Deta Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1094, Raqm-3288,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/309, Raqm-2818, 3366,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/107, Raqm-24180,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-831, Raqm-972.]

39/973.    “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mil Kar Khaay Karo Alag-Alag Na Khaao Kyoo’n Ki Barkat Mil Kar (Aur Ikatthey) Khaane Se Haasil Hoti Hai.”

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1093, Raqm-3387,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/97, Raqm-3228,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-831, Raqm-973.]