Nawi’n Fasl
Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Bhi Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Iqteda’ Me Namaaz Ada Farmaa’enge
١. عن ابي هريرة رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : کيف انتم اذا نزل ابن مريم فيکم و امامکم منکم.
01. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Tum Logo’n Ka Us Waqt (Khushi Se) Kya Haal Hoga Jab Tum Me Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam (Aasmaan Se) Utarenge Aur Tumhaara Imaam Tum Hee Me Se Hoga.(01)
Tashrih: Matlab Yeh Hai Ki Isa ‘Alayh-is-Salam Nuzool Ke Waqt Jama’at Ke Saath Namaaz Ada Karenge Aur Imam Khud Isa ‘Alayh-is-Salam Nahin Honge, Balki Ummat Ka Ek Fard Ya’ni Khalida Mahdi Honge Chunanche Hafiz Ibn Hajar Ba-Hawala Manaqib Al-Shafi’i Az Imam Aboo Al-Husayn Aaburi Likhte Hain Ki Is Baare Me Ahaadithe Mutawaatir Hain Ki Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Ek Namaaz Khalifa Mahdi Kee Iqteda’ Me Ada Karenge. (02)
–
[(01) Bukhari, Al-Sahih, 03 : 1272, Raqm : 3265,
Muslim, Al-Sahih, 01 : 136, Raqm : 155,
Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 213, Raqm : 6802,
(02) Ibn Hajar Asqalani, Fat’h Al-Bari, 06 : 493,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 52.]
٢. عن جابر بن عبداﷲ الانصاري رضي الله عنه قال سمعت رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يقول لا تزال طائفة من امتي يقاتلون علي الحق ظاهرين الي يوم القيمة قال و ينزل عيسي ابن مريم عليه السلام فيقول اميرهم تعال صل لنا فيقول لا، ان بعضکم علي بعض امراء تکرمة اﷲ هذه الامة.
02. Hazrat Jabir Bin Abd Allah Ansari RadiyAllahu ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Meri Ummat Me Se Ek Jama’at Qiyaame Haqq Ke Liye Kaamyaab Jang Qiyamat Tak Karti Rahegi Hazrat Jaabir RadiyAllahu ‘Anhu Kehte Hain In Mubarak Kalimaat Ke Ba’d Aap SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: “Aakhir Me (Hazrat) Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Aasmaan Se Utrenge To Musalmano’n Ka Ameer, Un Se Arz Karega Tashrif Laa’iye Hame’n Namaz Padhaa’iye Is Ke Jawaab Me Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Farma’enge: (Is Waqt) Mein Imamat Nahin Karunga. Tumhaara Baaz, Baaz Par Ameer Hai (Ya’ni Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Us Waqt Imamat Se Inkar Farma Denge Is Fazeelat-o Buzurgi Kee Bina Par Jo Allah Ta’ala Ne Is Ummat Ko Ata’ Kee Hai).
–
[Muslim, Al-Sahih, 01 : 137, Raqm : 156,
Ibn Hibban, Al-Sahih, 15 : 231, Raqm : 6819,
Ibn Mandah, Al-Iman, 01 : 517, Raqm : 418
Ibn Jarood, Al-Muntaqa, 01 : 257, Raqm : 1031,
Bayhaqi, Al-Sunan Al-Kubra, 09 : 180,
Aboo ‘Awanah, Al-Musnad, 01 : 99, Raqm : 317,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 52_53.]
٣. عن جابر رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يخرج الدجال في خفة من الدين و ذکر الدجال ثم قال ثم ينزل عيسي ابن مريم عليه السلام فينادي من السحر فيقول يا ايها الناس ما يمنعکم ان تخرجوا الي هذا الکذاب الخبيث فيقولون هذا رجل جني فينطلقون فاذا هم بعيسي ابن مريم عليه السلام فتقام الصلوة فيقال له تقدم يا روح اﷲ فيقول ليتقدم امامکم فليصل بکم فاذا صلوا صلوة الصبح خرجوا اليه قال فحين يراه الکذاب ينماث کما ينماث الملح في الماء.
(رواه الحاکم في المستدرک و قال هذا حديث صحيح الاسناد ولم يخرجاه وقال الشيخ الذهبي في تلخيصه هو علي شرط مسلم)
03. Hazrat Jabir RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya Deen Ke Kamzor Ho Jaane Kee Haalat Me Dajjaal Niklega Aur Dajjaal Se Muta’alliq Tafsilaat Bayaan Karne Ke Ba’d Farmaaya Ba’d Azaa’n Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam (Aasmaan Se) Utrenge Aur Ba-Waqte Sahar (Ya’ni Sub’he Saadiq Se Pehle) Aawaaz Denge Ki Ae Musalmano’n! Tumhe’n Us Khoote Khabis (Dajjaal) Se Muqaabala Kar Ne Me Kya Cheez Maane’ Hai? To Log Kahenge Ki Yeh Ko’i Jinnaati Makhlooq Hai. Phir Aage Badh Kar Dekhenge To Unhe’n Isa ‘Alayh-is-Salam Nazar Aa’enge. Phir Namaze Fajr Ke Li’e Iqaamat Hogi To Un Ka Amir Kahega Ae Roohullah! Imaamat Ke Waaste Aage Tashrif Laa’e Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Farmaa’enge “Tumhaara Imam Hee Tumhe’n Namaaz Padhaa’e” (Aur Us Waqt Ke Imam Sayyidina Mahdi Honge). Jab Log Namaz Se Faarigh Ho Jaa’enge To (Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Kee Qiyaadat Me) Dajjaal Se Muqaabala Ke Li’e Niklenge. Dajjaal Jab Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Ko Dekhega To (Khauf Ke Maare) Namak Ke Pighalne Kee Tarh Pighalne Lagega.
–
[Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 44, Raqm : 14997,
Haythami, Majma’ Al-Zawa’id, 07 : 444,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 53_54.]
٤. عن ابي امامة الباهلي رضي الله عنه مرفوعا فقالت ام شريک بنت ابي العکر يا رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم فاين العرب يومئذ؟ قال هم يومئذ قليل و جلهم ببيت المقدس وامامهم رجل صالح قد تقدم يصلي بهم الصبح اذ نزل عليهم ابن مريم الصبح فرجع ذلک الامام ينکص يمشي القهقري ليتقدم عيسي ابن مريم يصلي بالناس فيضع عيسي يده بين کتفيه ثم يقول له تقدم فصل فانها لک اقيمت فيصلي بهم امامهم.
اسناده قوي و اما في الحديث و امامهم رجل صالح فالمراد به المهدي کما جاء التصريح به
04. Hazrat Aboo Umamah RadiyAllahu ‘Anhu RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ek Taweel Hadith Riwayat Karte Hain Jis Me Hai Ki Ek Sahabiyyah Ummu Sharik Bint Abi Akr RadiyAllahu ‘Anha Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam! Arab Us Waqt Kaha’n Honge. (Matlab Yeh Hai Ki Ahle Arab Deen Kee Himaayat Me Muqabale Ke Liye Kyoo’n Saamne Nahin Aa’enge) To RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Arab Us Waqt Kam Honge Aur Un Me Bhi Aksar Bayt-il-Maqdis (Ya’ni Shaam) Me Honge Aur Un Ka Imam-o Ameer Ek Rajul Saaleh (Mahdi) Hoga. Jis Waqt Un Ka Imam Namaze Fajr Ke Liye Aage Badhega Achaanak (Hazrat) Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Usi Waqt (Aasmaan Se) Utarenge. Imam Pichhe Hatega Taa Ki (Hazrat) Isa ‘Alayh-is-Salam Namaz Padhaa’e’n. Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Imam Ke Kandho’n Ke Darmiyaan Haath Rakkh Kar Farmaa’enge Aage Badho Aur Namaaz Padhaa’o Kyoo’n Ki Tumhaare Hee Liye Iqaamat Kahi Ga’i Hai To Un Ke Imam (Mahdi) Logo’n Ko Namaz Padhaa’enge.
–
[Ibn Majah, Al-Sunan, 02 : 1361, Raqm : 4077,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 54_55.]
٥. عن عثمان بن ابي العاص رضي الله عنه مرفوعا و ينزل عيسي ابن مريم عليه السلام عند صلوة الفجر فيقول له الناس ياروح اﷲ تقدم فصل بنا فيقول انکم معاشر امة محمد امراء بعضکم علي بعض فتقدم انت فصل بنا فيتقدم الامير فيصلي بهم.
05. Hazrat Uthman Bin Aboo Al-Aas RadiyAllahu ‘Anhu Marfoo’an Riwaayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya “(Hazrat) Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Asl-Salam Namaaze Fajr Ke Waqt (Aasmaan Se) Utrenge To Log Un Se Arz Karenge. Ae Roohullah Aage Tashrif Laa’iye, Aur Hame’n Namaz Padha’iye, To Isa ‘Alayh-is-Salam Farma’enge “Tum Ummate Muhammadiyyah Ke Log Ho. Is Ummat Ka Ba’z Ba’z Par Amir Hai Pas Aap Hee Aage Badhe’n Aur Hame’n Namaaz Padhaa’e’n” To Musalmano’n Ka Amir Aage Badhefa Aur Namaaz Padhaa’ega.
–
[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 524, Raqm : 8473,
Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 09 : 60, Raqm : 8392,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 55_56.]
٦. عن عبد اﷲ بن عمرو رضي الله عنه قال المهدي الذي ينزل عليه عيسي ابن مريم و يصلي خلفه عيسي
06. Hazrat Abd Allah Bin Amr RadiyAllahu ‘Anhu Kehte Hain Ki Hazrat Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Imam Mahdi Ke Ba’d Naazil Honge Aur Un Ke Pichhe (Ek) Namaaz Ada Farma’enge.
–
[Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 373, Raqm : 1103,
Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 78,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 56.]
.٧. عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم منا الذي يصلي عيسي ابن مريم خلفه
07. Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Isi Ummat Me Se Ek Shakhs Hoga Jis Ke Pichhe sa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Namaaz Ada Farmaa’enge.
–
[Muhammad Bin Abi Bakr Al-Dimashqi, Al-Manar Al-Munif, 01 : 147, Raqm : 337,
Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 56.]
٨. عن حذيفة رضی الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم يلتفت المهدي و قد نزل عيسي ابن مريم کانما يقطر من شعره الماء فيقول المهدي تقدم صل بالناس فيقول عيسي عليه السلام انما اقيمت الصلوة لک فيصلی خلف رجل من ولدي.
08. Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salatu Wa-Al-Salam Utar Chuke Honge Un Ke Dekh Kar Yoo’n Ma’loom Hoga Goya Un Ke Baalo’n Se Paani Tapak Raha Hai Us Waqt Imam Mahdi Un Kee Taraf Mukhaatib Ho Kar Arz Karenge: Tashrif Laa’iye Aur Logo’n Ko Namaaz Padha Diji’e. Woh Farma’enge Is Namaaz Kee Iqaamat To Aap Ke Li’e Ho Chuki Hai Is Li’e Namaaz To Aap Hee Padhaa’enge Chunanche Woh (Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam) Yeh Namaaz Meri Aulaad Me Se Ek Shakhs Ke Pichhe Ada Farma’enge.
–
[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 03 : 81,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 56_57.]
.٩. عن ابن سيرين قال المهدي من هذه الامة و هو الذي يؤم عيسي ابن مريم عليهما السلام
09. Ibn Sirin Se Riwayat Hai Ki (Imam) Mahdi Isi Ummat Me Se Honge Aur Isa Ibn Maryam ‘Alayhima Al-Salam Kee Imamat Sar-Anjaam Denge.
–
[Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 07 : 513, Raqm : 37649,
Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 373, Raqm : 1107,
Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 57.]