Fasl-11 :
Huzoor Nabiyye Akram ﷺ Kee Ta’zeem-o Tauqeer Ka Bayan
100/648. “Hazrat Aboo Qataada RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Namaz Ke Liye Iqaamat Kahee Jaa’e To Khade Na Hua Karo Yaha’n Tak Ki Tum Mujhe Dekh Lo (Ya’ni Mere Adabo Ta’zeem Me Khade Hua Karo).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/228, Raqm-611,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/828, Raqm-612,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/308, Raqm-867,
Muslim Fi As-Sahih, 01/422, Raqm-604, 606,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/394, Raqm-517,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/487, Raqm-592,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/148, Raqm-539,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/31, Raqm-687,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/304, Raqm-22640, 22649, 22666, 22675, 22702,
Darami Fi As-Sunan, 01/323, Raqm-1262,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/51, Raqm-1755,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/14, Raqm-1526,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 01/504, Raqm-1932,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/184, Raqm-207,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/20, Raqm-2119,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-588, Raqm-648.]
101/649. “Hazrat Anas Bin Maalik Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaabi Aur Khaadime Khaas The Farmaate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Marazul Wisaal Me Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Logo’n Ko Namaz Padhaate The Chunaanche Peer Ke Din Log Safe’n Banaaye Namaz Ada Kar Rahe The Ki Itne Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hujra-e Mubarak Ka Parda Uthaaya Aur Khade-Khade Hame’n Dekhne Lage. Us Waqt Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Chehra-e Anwar Qur’an Ke Awraaq Kee Tarah Ma’loom Hota Thaa Jam’a’at Ko Dekh Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Muskuraye Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deedare Poor Anwaar Kee Khushee Me Qareeb Thaa Ki Ham Namaz Tod De. Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Khayaal Hua Ki Shaayad Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaz Me Tashreef La Rahe Hain. Is Liye Unhone Adiyo’n Ke Bal Peechhe Hat Kar Saf Me Mil Jaana Chaaha, Lekin Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Ishaare Se Farmaya Ki Tum Log Namaz Poori Karo Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Parda Gira Diya Aur Usee Din Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Wisaal Ho Gaya.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/240, Raqm-648,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/262, Raqm-721,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/403, Raqm-1147,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1616, Raqm-4183,
Muslim Fi As-Sahih, 01/316, Raqm-419,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/07, Raqm-1831,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/517, Raqm-1624,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/163, 196, 197, 211,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/587, Raqm-587,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/372, Raqm-1488,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-589, 590, Raqm-649.]
102/650. “Hazrat Sahal Bin Saa’d Sa’eedi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Ek Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Qabeela-e Banee Amr Bin Awf Me (Kisi Mas’ale Par) Sulh Karaane Tashreef Le Ga’e Itne Me Namaz Ka Waqt Ho Gaya. Muazzin Ne Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khidmat Me Haazir Ho Kar ‘Arz Kiya Aap Namaz Padha Denge Taaki Mein Iqaamat Kahoo’n? Unhone Farmaya Haa’n. Chunaanche Hazrat Aboo Bakr Siddiq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Ko Namaz Padhaana Shuroo’ Kar Dee, Dauraane Namaz Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Bhi Tashreef Le Aa’e Aur Safo’n Ko Cheerte Hu’e Pehli Saf Me Jaa Kar Khade Ho Ga’e. Logo’n Ne (Hazrat Aboo Bakr Ko Mutawajjah Karne Ke Liye) Taaliya’n Bajaaa’in Lekin Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Namaz Me Kisi Aur Jaanib Iltefaat Nahin Farmaya Karte The Jab Taaliyo’n Kee Aawaaz Ziyaada Ho Ga’i To Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mutawajje Hu’e To Dekha Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Tashreef Le Aa’e Hain To Unhone Apni Jagah Se Peechhe Hatne Ka Iraada Kiya) Lekin Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Apni Jagah Par Khade Raho Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Dono’n Haath Uthaakar Khuda Ka Shukr Ada Kiya Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Inhe’n Imaamat Ka Hukm Diya Hai Us Ke Baa’d Hazrat Aboo Bakr Peechhe Hate Hatta Ki Safe Awwal Ke Baraabar Aa Ga’e Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aage (Badh Kar Imaamat Karaayi). Namaz Se Faarig Hone Ke Baa’d Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Aboo Bakr Jab Meine Hukm Diya Thaa To Tum Musalle Par Kyon Nahin Thahre Rahe? Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Aboo Kahaafa Ke Bete Kee Kya Majaal Ki Woh Huzoor Ke Saamne Imaamat Karaaye. Us Ke Baa’d Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Kee Taraf Mutawajje Ho Kar Farmaya : Is Kee Kya Wajah Hai Ki Meine Tumhe’n Taaliya’n Bajaate Dekha Agar Kisi Ko Namaz Me Ko’i Haadasa Pesh Aa’e To (Buland Aawaaz Se) Sub’hanAllah Kahe’n Chunaanche Jab Ko’i Sub’hanAllah Kahe To Us Kee Taraf Tawajjoh Dee Jaa’e Aur Taaliya’n Bajaana To Sirf Aurto’n Ke Liye Khaas Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/242, Rqam-652,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/402, Raqm-1143,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/403, Raqm-1146,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/407, Raqm-1160,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/414, Raqm-1177, 2544, 2547, 6768,
Muslim Fi As-Sahih, 01/316, Raqm-421,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/247, Raqm-940,
Nasa’i Fi As-Sunan, 08/243, Raqm-5413,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/77, Raqm-784,
Maalik Al-Muwatta, 01/163, Raqm-61,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-590, 591, 592, Raqm-650.]
103/651. “Hazrat Miswar Bin Makharama Aur Marwaan Se Riwayat Hai Urwah Bin Mas’ood (Jab Bargahe Risalat Me Kafiro’n Ka Vakil Ban Kar Aaya To) Sahabah Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn (Ke Ma’moolat Taazeeme Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ko Dekhta Raha Ki Jab Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Luaabe Dahan Phainkte To Ko’i Na Ko’i Sahaabi Use Apne Haath Par Le Leta Thaa Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Leta Thaa Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kisi Baat Ka Hukm Dete To Us Kee Fauran Ta’meel Kee Jaati Thi. Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wuzoo Farmaate To Log Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Iste’maal Shuda Paani Ko Haasil Karne Ke Liye Ek Doosre Par Toot Padte The (Aur Ek Doosre Par Sabqat Le Jaane Kee Koshish Karte The Har Ek Kee Koshish Hoti Thi Ki Yeh Paani Mein Haasil Karoo’n) Jab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Guftagoo Farmaate To Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Apni Aawaazo’n Ko Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saamne Past Rakhte The Aur Intihaa’i Ta’zeem Ke Baa’is Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Nazar Jam’a Kar Bhi Nahin Dekhte The Us Ke Baa’d Urwah Apne Saathiyo’n Kee Taraf Laut Gaya Aur Un Se Kehne Laga : Aye Qaum Allah Rabbul Izzat Kee Qasam Mein (Bade Bade ‘Azeemushshaan) Badshaho’n Ke Darbaaro’n Me Wafd Le Kar Gaya Hoo’n Mein Qaisaro Kisra Aur Najjaashi Jaise Badshaho’n Ke Darbaaro’n Me Haazir Huaa Hoo’n, Lekin Khuda Kee Qasam! Meine Ko’i Aisa Badshah Nahin Dekha Ki Us Ke Darbaari Us Kee Is Tarah Ta’zeem Karte Hoo’n Jaise Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ta’zeem Karte Hain. Khuda Kee Qasam! Jab Woh Thookte Hain To Un Ka Luaabe Dahan Kisi Na Kisi Shakhs Kee Hatheli Par Hee Girta Hai, Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Leta Hai. Jab Woh Ko’i Hukm Dete Hain To Fauran Un Ke Hukm Kee Ta’meel Hoti Hai, Jab Woh Wuzoo Farmaate Hain To Yoo’n Mehsoos Hone Lagta Hai Ki Log Wuzoo Ka Iste’maal Shuda Paani Haasil Karne Ke Liye Ek Doosre Ke Saath Ladne Marne Par Aamaada Ho Jaa’enge Woh Un Kee Bargah Me Apni Aawaazo’n Ko Past Rakhte Hain Aur Ta’zeeman Woh Un Kee Taraf Aankh Bhar Kar Dekh Nahin Sakte.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/974, Raqm-2581,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/329,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/216, Raqm-4826,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/09, Raqm-13,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/220,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-592, 593, Raqm-651.]
104/652. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya (Tum Me Se) Ko’i Aisa Hai Jo Saabit Bin Qais Kee Khabar La Kar De. Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ Mein Aap Ko Un Kee Khabar La Kar Doonga So Woh Ga’e To Unhe’n Dekha Ki Woh Apne Ghar Me Sar Jhukaaye Baithe Hain, Poochha Kya Haal Hai? Unhone Jawab Diya Bura Haal Hai, Kyon Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Aawaaz Se Apni Aawaaz Oonchee Kar Baitha Thaa. Lehaaza Mere Tamaam ‘Amal Zaaya’ Ho Chuke Aur Dozakhiyo’n Me Mera Shumaar Ho Gaya. Us Aadami Ne Aa Kar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Un Kee Tamaam Soorate Haal ‘Arz Kee. Hazrat Moosa Bin Anas Farmaate Hain Ki Woh Aadami Bohat Badi Bashaarat Le Kar Dobaara Gaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Un Ke Paas Jaao Aur Kaho Ki Tum Jahannami Nahin Balki Jannatiyo’n Me Se Ho.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1322, Raqm-3417,
Bukhari Fi As-Sahih, 04/1833, Raqm-4565,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-593, 594, Raqm-652.]
105/653. “Hazrat Saa’ib Bin Yazeed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Masjid Me Khada Thaa Ki Kisi Ne Mujhe Kankari Maari. Meine Nazar Utha Kar Dekha To Woh Hazrat ‘Umar Bin Khattaab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu The Unhone Farmaya Ki Jaao Aur Un Dono’n Aadmiyo’n Ko Mere Paas Le Aao. Mein Dono’n Ko Le Aaya. Aap Ne Farmaya : Tum Kaun Log Ho, Ya Tum Kis Ilaake Se Ho? Dono’n Ne ‘Arz Kiya (Hum) Ahle Taa’if (Me) Se Hain, Farmaya : Agar Tum Is Shahar (Madinah Munawwara) Ke Rehne Waale Hote To Mein Tumhe’n Saja Deta Ki Tum Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Masjid Me Aawaaz Buland Karte Ho.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/179, Raqm-458,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/447, Raqm-4143,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03, Raqm-294,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-594, 595, Raqm-653.]
106/654. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Meine Dekha Hajjaam Aap Ke Sare Mubarak Ke Baal Kaat Raha Thaa Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Geerd Ghoom Rahe The Aur Un Me Se Har Ek Kee Yeh Koshish Thi Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Ko’i Ek Moo-e Mubarak Bhi Zameen Par Girne Na Paaye Balki Un Me Se Kisi Na Kisi Ke Haath Me Aa Jaa’e.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/1812, Raqqm-2325,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/133, 137, Raqm-12423,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/380, Rqam-1273,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-595, Raqm-654.]
107/655. “Hazrat Ibn Shimaasa Mahri Bayan Karte Hain Ki Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Marzul Maut Me Mubtala The, Ham Un Kee Iyaadat Ke Liye Ga’e. Hazrat Amr Bin Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kaafi Der Tak Rote Rahe, Phir Farmaane Lage Mujhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ziyaada Ko’i Shakhs Mahboob Na Thaa Na Meri Nazar Me Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Badh Kar Ko’i Buzurg Thaa Na Hee Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Jalaalat Ke Peshe Nazar Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Jee Bhar Ke Dekh Saka Aur Agar Mujhe Kaha Jaa’e Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Huliya Bayan Karo To Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Huliya Bayan Nahin Kar Sakta Kyon Ki Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Kabhi Aankh Bhar Kar Nahin Dekh Saka.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/112, Raqm-121,
Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/420, Raqa-270,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/70, Raqm-200,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/259,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/157, Raq-418,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 02/167,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-595, 596, Raqm-655.]
108/656. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Abee Layla RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrate ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Mujh Se Guftagoo Farma’i Aur Ek Waaqe’a Bayan Karte Hu’e Farmaya : Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Qareeb Hu’e Aur Hamne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daste Aqdas Ko Bosa Diya.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/356, Raqm-5223,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/101, Raqm-13362,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/476, Raqm-8965,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-596, Raqm-656.]
109/657. “Hazrat Zaara’a RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Ki Wafd ‘Abd-il-Qays Me Shaamil The Bayan Karte Hain Ki Jab Ham Madinah Munawwara Haazir Hu’e To Tezi Se Apni Sawaariyo’n Se Utar Kar Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daste Aqdas Aur Qadam Mubarak Choomne Lage.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/357, Raqm-5225,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad/339, Raqm-975,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/275, Raqm-5313,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/141, Raqm-7729,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/02,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/241,
Maqri Fi Taqbil-ul-Yad, 01/80, Raqm-20,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-596, 597, Raqm-657.]
110/658. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Ham Ek Ghazwe Me The Ki Log Buri Tarah Bikhar Kar Mahaaj Se Peechhe Hat Ga’e To Hamne Kaha Ki Ab Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Kya Munh Dikha’enge. Hum Log (Jung Se) Bhaag Ga’e. Us Par Aayat Naazil Hu’i : ˝Un Ke Ilaawah Ke Jo Jungi Chaal Ke Taur Par Rookh Badal De.˝[Al-Anfal, 08:16] Hum Ne Kaha : Ab Madinah Munawwara Nahin Jaa’enge Taaki Hame’n Ko’i Na Dekhe. Phir Socha Ki Madinah Me Chaale Jaa’e’n. Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Sub’h Kee Namaz Ke Liye Baahar Tashreef Laa’e. Hamne ‘Arz Kiya : Hum Bhagode Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin, Balki Tum Palat Kar Hamla Karne Waale Ho. Pas Hum Qareeb Hu’e Aur Hamne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Daste Aqdas Choom Liya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Har Musalman Kee Panahgah Hoo’n. ”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/46, Rqam-2647,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/70, Raqm-5384,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/541, Raqm-33686,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad /338, Raqm-972,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/295, Raqm-786,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-597, Raqm-658.]
111/659. “Hazrat Moosa Bin Uqba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Taweel Waaqe’a Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Uthman Bin ‘Affaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko (Sulhe Hudaibiya Ke Mauqe Par) Kafiro’n Kee Taraf (Safeer Bana Kar) Rawaana Kiya. (Muzaaqaraat Ke Baa’d) Unhone Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Tawaafe Kaa’ba Kee Daawat Dee. To Unhone Fauran Inkaar Kar Diya Aur Farmaya : Mein Us Waqt Tak Tawaaf Nahin Karoonga Jab Tak Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tawaaf Nahin Kar Lete Aur Phir (Bina Tawaaf Ki’e) Palat Kar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Aa Ga’e.”
–
[Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/221,
Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/369,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-598, Raqm-659.]
112/660. “Hazrat Asma Binte Umaysh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Wahyi Naazil Ho Rahi Thi Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Sare Aqdas Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Goad Me Thaa. Woh Asr Kee Namaz Nahin Padh Sake Yaha’n Tak Sooraj Ghuroob Ho Gaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Du’aa Kee ‘Aye Allah ‘Ali Teri Aur Tere Rasool Kee Ita’at Me Thaa Us Par Sooraj Waapas Lauta De’ Hazrat Asma Farmati Hai : Meine Use Ghuroob Hote Hu’e Bhi Dekha Aur Yeh Bhi Dekha Ki Woh Ghuroob Hone Ke Baa’d Dobaara Tuloo’ Huaa.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/147, Raqm-390,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/297,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 06/83,
Qadi ‘Iyad Fi Ash-Shifa, 01/400,
Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/137,
Halabi Fi As-Sirat-ul-Halabiyyah, 02/103,
Qurtubi Fi Al-Jaame’ Li-Ahkam Al-Qur’an (Tafsir Al-Qurtubi), 15/197,
رواه الطبراني بأسانيد، ورجال أحدهما رجال الصحيح غير إبراهيم بن حسن،
وهو ثقة، ابن حبان، ورواه الطحاوى في مشكل الآثار( ٩/2، ٣٨٨/٤، ٣٨٩)
وللحديث طرق أخرى عن أسماء، وعن أبي هريرة، وعليّ ابن أبي طالب، وأبي سعيد الخدري رضي الله تعالى عنه-
وقد جمع طرقه أبو الحسن الفضلي، وعبيد الله الحسكا المتو فى سنة( ٤٧٠ه) في ( مسألة في تصحيح حديث ردّ الشمس)،
والسيوطي في ( كشف اللبس عن حديث الشمس)-
وقال السيوطي فى الخصائص الكبرى( ١٣٧/٢):
أخرجه ابن منده، و ابن شاهين، و الطبرانى بأسانيد بعضها على شرط الصحيح –
وقال الشيباني في حدائق الأنوار( ١٩٣/١):
أخرجه الطحاوي في مشكل الحديث_الآثار_بإسنادين صحيحين-
وقال الإمام النووي فى شرح مسلم( ٥٢/١٢):
ذكر القاضى رضي الله تعالى عنه : أن نبينا صلى الله تعالى عليه وسلم حبست له الشمس مرّتين….. ذكر ذلك ألطحاوي وقال :رواته ثقات –
وحسّنه الحافظ أبوزدعة العراقى في تكملة الكتاب والده “طرح التثريب “( ٢٧٤/٧)_
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-598, 599, Raqm-660.]
113/661. “Hazrat Qais Bin Makhrama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam ‘Aamulfeel Me Paida Hu’e. Hazrat ‘Uthman Bin ‘Affaan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bani Yaamar Bin Lais Ke Bhaa’i Qubaas Bin Ashaim Se Poochha Aap Bade Hain Ya Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Bade Hain? Unhone Kaha : RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujh Se Bade Hai Aur Meri To (Sirf) Wilaadat Pehle Hai.”
رواه الترمذي والحاكم.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/589, Raqm-3619,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/724, Raqm-6624,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/37, Raqm-75,
Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/307, Raqm-566, 927,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-599, 600, Raqm-661.]
114/662. “Hazrat Mughirah Bin Abi Razeen RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Abbas Bin ‘Abd-il-Muttalib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Poochha Gaya : Kaun Bada Hai, Aap Ya Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam? To Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mujh Se Bade Hai Aur Meri To Sirf Paida’is Aap Se Pehle Huwee Hai.”
رواه الحاكم وابن أبي شيبة : ورجال الصحيح.
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/362, Raqm-5398,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/296, Raqm-26256,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/18, Raqm-33921,
Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/269, Raqm-350,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/270,
وقال : رواه الطبرانى ورجاله رجال الصحيح –
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-600, Raqm-662.]