Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Fazeelate Durood-o-Salaam Ahaadith Kee Raushni Me

Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Sharif Padhne Kee Fazeelat-o-Ahammiyyat Ke Baare Me Kathrat Ke Saath Ahaadith Maujood Hain Jin Me Se Chand Darje Dhayl Hain :

  1. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

إذا صليتم علي فأحسنوا الصلوة فإنكم لا تدرون لعل ذلك يعرض علي.

          “Jab Tum Mujh Par Durood Bhejo To Nihaayat Khub-Soorat Andaaz Se Bhejo Kyoo’n Ki Tum Nain Jaante Ki Tumhaara Durood Mujhe Pesh Kiya Jaata Hai.”

[Hindī, Kanz Al-‘Umāl, 01/497, Raqam-2193.]

 

  1. Huzoor ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne Farmaya :

إذا قال ذالك فتحت له أبواب الرحمة.

          “Jab Woh Mujh Par Durood Padhta Hai To Us Ke Li’e Rahmat Ke Darwaaze Khol Dee’e Jaate Hain.”

[Bayhaqī, Al-Sunan Al-Kubrá, 01/44, Raqam-196.]

 

  1. Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

إذا كان يوم الجمعة واليلة الجمعة فأكثروا الصلوة علي.

          “Jab Jumu’a Kee Raat Aur Jumu’a Ka Din Aa’e To Mujh Par Kathrat Se Durood Padha Karo.”

[Musnad Al-Shāfī’ī, 01/70.]

 

  1. Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Padhna Badi Sa’aadat Aur Barakaat Ka Baa’ith Hai. Durood Padhne Waale Jahaa’n Kahi’n Se Bhi Padhe’n Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaahe Aqdas Me Pahonch Jaata Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

فإن سلوتكم تبلغني حيث ما كنتم.

          “Pas Tum Jahaa’n Kahi’n Bhi Hote Ho Tumhaara Durood Mujhe Pahonch Jaata Hai.”

[Sunan Abī Dāwūd, 02/219, Kitāb Al-Manāqib Bāb Ziyārat Al-Qubūr, Raqam-2041.]

Ghaur Kare’n Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya : Tumhaara Durood Khud Mujh Tak Pahonchta Hai, Yeh Nahin Farmaaya Ki Pahonchaaya Jaata Hai. Muraad Yeh Hai Ki Aaqa ‘Alayh-is-Salatu Wa’s-Salam Ne Farma Rahe Hain Ki Saara Hafta Durood Firishto’n Ke Zari’e Pahonchaaya Jaata Hai Magar Jumu’a Ke Din Aur Raat Jahaa’n Kahi’n Bhi Tum Padhte Ho Tumhaara Durood Mein Khud Wusool Karta Hoo’n Aur Khud Sunta Hoo’n.

 

  1. Hazrat Aboo Talhah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwaayat Karte Hain :

دخلت على النبي صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم فوجدته مسرورا فقلت : يا رسول الله! ما أدري ، متى ريأيتك أحسن بشرا وأطيب نفسا من اليوم؟ قال : وما يمنعنى وجيريل خرج من عند الساعة فبشرني عن لكل عبد صلى على صلاة يكتب له بها عشر حسنات ويمحى عنه عشر سيئات، ويرفع له عشر درجات، وتعرض على كما قال لها، ويرد عليه بمثل مادعا.

          “Aik Roz Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Haazir Huwa To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Bohat Khush They, Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Mein Ne Aaj Se Badh Kar Ziyaada Khush Aur Masroor Aap Ko Kabhi Nahin Paaya. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya : Aaj Jibra’il Ameen (‘Alayh-is-Salam) Aa’e They Abhi Nikal Kar Mere Paas Se Ga’e Hain Aur Mujhe Unhone Khabar Dee Hai Ki Ummat Me Se Jo Shakhs Mujh Par Aik Baar Durood Bhejta Hai. Allah Ta’ala Us Kee Das Nekiya’n Likh Leta Hai, Us Ke Das Gunaah Mu’aaf Kar Deta Hai, Aur Jis Tarah Us Bande Ne Durood Bheja Tha Allah Ta’ala Unhi Alfaaz Se Us Par Durood Bhejta Hai.”

[Muṣannaf ‘Abd Al-Razzāq, 02/214, Raqam-3113.]

 

  1. Aur Aik Doosri Hadith Jise Imaam Aboo Dawud Rahimahullahu Ta’ala Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Rahimahullahu Ta’ala Ne Riwaayat Kiya Hai, Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

ما من أحد يسلم علي إلا رد الله علي روحي حتى أرد عليه السلام.

          “Jab Ko’i Shakhs Mujh Par Salaam Bhejta Hai To Allah Tabaarak Wa-Ta’ala Mujhe Meri Rooh Lauta Deta Hai Phir Mein Us Salaam Bhejne Waale Shakhs Ke Salaam Ka Jawaab Deta Hoo’n.”

[Sunan Abī Dāwūd, 02/218, Kitāb Al-Manāsik, Bāb Ziyārat Al-Qubūr, Raqam-2041.]

 

  1. Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwaayat Karte Hain Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

من صلى على صلاة واحدة صلى الله عليه عشر صلوات وحطت عنه عشر خطيئات ورفعت له عشر درجات.

          “Jo Shakhs Mujh Par Aik Martaba Durood Bhejta Hai To Allah Ta’ala Us Par Das Rahmatein Naazil Farmaata Hai, Us Ke Das Gunaah Mu’aaf Ki’e Jaate Hain, Aur Us Ke Li’e Das Darajaat Buland Ki’e Jate Hain.”

[Nasā’ī, Al-Sunan, Kitāb Al-Sahw, Bāb Al-Faḍl Fī Al-Ṣalāt ‘Alá Al-Nabī SallAllāhu Ta’ālá ‘Alayhi Wa- Ᾱlihi Wa-Sallam, 04/50.]

 

  1. Hazrat Ibn Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

اولى الناس بي يوم القيامة أكثرهم على صلاة.

          “Qiyaamat Ke Roz Logo’n Me Se Mere Sab Se Ziyaada Qareeb Woh Shakhs Hoga Jo (Is Dunya Me) Un Sab Se Ziyaada Durood Bhejta Hoga.”

[Tirmidhi, Al-Jāmi’ Al-Kabīr, Abwāb Al-Witr, Bāb Mā Jā’ Fī Faḍl Al-Ṣalāt ‘Alá Al-Nabī Sallá Allāhu Ta’ālá ‘Alayhi Wa- Ᾱlihi Wa-Sallam, 01/495, Raqam-484.]

 

  1. Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Riwaayat Hai, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaaya :

رغم أنف رجل ذكرت عنده فلم يصل على.

          “Woh Shakhs Zaleel Huwa Jis Ke Saamne Mera Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Mujh Par Durood Nahin Bheja.”

[Tirmidhi, Al-Jāmi’, Abwāb Al-Da’awāt, Bāb Qawl Rasūl Allāh Sallá Allāhu Ta’ālá ‘Alayhi Wa- Ᾱlihi Wa-Sallam : Raghima Anfa Rajul, 05/550, Raqam-3545.]

 

  1. Hazrat Sayyidina Ali Al-Murtada KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaaya :

كل دعاء محجوب حتى يصلي على محمد و آل محمد (صلى الله تعالى عليه وآله وسلم)

          “Har Du’aa Us Waqt Tak Parda-E-Hijaab Me Rehti Hai Jab Tak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ahle Bayt Par Durood Na Bheja Jaa’e.”

[Ṭabarānī, Al-Mu’jam Al-Awsaṭ. 01/220, Raqam-725.]

Madhkoora Baala Dalaa’il Se Ba-Khoobi Waazeh Huwa Ki Kisi Tarah Durood Sharif Ummatiyo’n Ke Li’e Bakhshish-o-Ma’refat, Qubooliyyate Du’aa, Bulandi’e Darajaat Aur Qurbe Ilaahi Wa Qurbe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Baa’ith Banta Hai. Is Silsile Me Chand Imaan Afroz Waaqe’aat Darje Dhayl Hain.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/27_31.]