Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 19

19.                  “Hazrat Fatimah Bint Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Apni Daadi Jaan Sayyida’e Ka’inat Fatimah Al-Kubra سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Riwaayat Karti Hain, Unhone Farmaya: Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjid Me Daakhil Hote Waqt Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaat-o Salaam Padhte Aur Us Ke Baa’d Yeh Du’aa Maangte: Aye Rabb! Mere Liye Mere (Ya’ni Ummat Ke) Gunaah Bakhsh De Aur Mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De, Aur Baahar Tashreef Laate Waqt Bhi Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaat-o Salaam Padhte Aur Phir Yoo’n Du’aa Maangte: Aye Mere Rabb! Mere Liye Meri(Ummat Ke) Gunaah Bakhsh De Aur Mere Liye Apne Fadl Ke Darwaaze Khol De.”

                   Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Ahmad Aur Abd-ur-Razzaq Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Tirmidhi Ne Farmaya: Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Hadith Hasan Hai.

                   “Aur Ek Riwaayat Me Hai Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farmaate: Allah Ke Naam Se Shuroo’ Karta Hoo’n Aur Allah Ta’ala Ke Rasool Par Bhi Salaam Ho……Us Ke Baa’d Usi Tarah Hadith Bayaan Kee.

          Ise Imam Ibn Majah Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

                   “Ek Aur Riwayat Me Sayyidah Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Farmaati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Masjid Me Daakhil Hote To Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaam Bhejte……Aur Isi Tarah Masjid Se Nikalte Waqt Bhi Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaam Bhejte…….Us Ke Baa’d Saabiqa Hadith Kee Du’aa Bayaan Kee.”

          Ise Imam Ahmad, Aboo Ya’la Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai.

                   “Aur Ek Riwaayat Main Hai Ki Sayyida’e Ka’inat RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Bayaan Farmaya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Yoo’n Farmaate: Aye Allah Ke Nabi! Aap Par Salaamati Ho. Aur Allah Ta’ala Kee Rahmaten Aur Barkaten Ho’n.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Ya’la Ne “Al-Mu’jam” Me Riwaayat Kiya Hai.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 02/127, Raqm-314,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/253, Raqm-771,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqm-3412,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/96, Raqm-29764,

Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 01/425, Raqm-1664,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/282, 283, Raqm-26459, 26462,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/121, 199, Raqm-6754, 6822,

Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/54, Raqm-24,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/424, Raqm-1044,

Tabarani Fi Ad-Du‘a’, 01/150, Raqm-423, 426,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/40_42, Raqm-19.]