Aaj 18 Dhu-‘l-Hijjah Hai, Jis Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hijjat-ul-Wada’ Se Madinah Tayyibah Waapasi Ke Dauraan Ghadire Khum Ke Maqaam Par Qayam Farmaya Aur Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Hujoom Me Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Utha Kar E’laan Farmaya :
مَنْ کُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ.
“Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”
Yeh E’lane Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Tha, Jis Ka Itlaaq Qayamat Tak Jumlah Ahle Iman Par Hota Hai Aur Jis Se Yeh Amr Qat’i Tour Par Thaabit Hata Hai Ki Jo Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Munkar Hai Woh Wilayate Mohammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Munakr Hai. Is Aajiz Ne Mahsoos Kiya Ki Is Masla Par Ba’z Log Bewajah Jahaalat Mutaraddid Rahte Hain Aur Ba’z Log Bewjahe Inaad Wa Ta’assub. So Yeh Taraddud Aur Inkaare Ummat Me Tafarriqah Wa Intishaar Me Izaafa Ka Ba’ith Ban Raha Hai. In Halaat Mein Ne Zaroori Samjha Ki Mas’ala-e-Wilayat Wa Imamat Par Do² Risaale Taalif Karoo’n : Ek Ba-Unwan “السيف الجلى على منكر وﻻية على ” KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim ” Aur Doosra Ba-Unwan “القول المعتبر فى الإمام المنتظر” . Pehle Risaale Ke Zariye Fat’he Wilayat Hazrat Imama ‘Ali ‘Alayh-is-Salam Ke Maqaam Ko Waazeh Karu Aur Doosre Ke Zariye Khatime Wilayat Hazrat Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Bayan Karu Taa Ki Jumla Shub’haat Ka Ijaala Ho Aur Yeh Haqiqat Khawaas Wa Awaam Sab Tak Pahunch Sake Ki Wilayate ’Ali ‘Alayh-is-Salam Aur Wliayate Mehdi ‘Alayh-is-Salam Ahle Sunnat Wa Jama’at Kee Mu’tabar Kutube Hadith Me Riwayate Mutwatirah Se Saabit Hai. Mein Ne Pehle Risalae Me Hadithe Nabawi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ikyawan-51 Riwayat Poori Tehqiq Wa Takhrij Ke Saath Darj Kee Hain. Is Adad Kee Waj’h Yeh Hai Ki Mein Ne Imasaal Apni Umr Ke 51 Baras Mukammal Ki’e Hain, Is Li’e Husoole Barkat Aur Iktisaab Khair Ke Li’e Aajizaan Taur Par Adadi Nisbat Ka Wasila Ikhtiyar Kiya Hai Taa Ki Bargahe ’Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Me Is Haqir Ka Nazaraana Sharafe Qubooliyyat Paa Sake. (Aameen)
Ab Is Muqaddamah Me Yeh Nuktah Waazeh Karna Chaahta Hoo’n Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zate Muqaddasa Se Teen³ Tarah Kee Wirashatein Jaari Hu’i :
۞ Khilafate Batini Kee Roohani Wirashat
۞ Khilafate Zahiri Kee Siyaasi Wirashat
۞ Khilafate Deeni Kee Umoomi Wirashat
۞ Khilafate Batini Kee Roohani Wirashat Ahle Bayte At’har Ke Nufoose Tayyibah Ko Ata Hu’i.
۞Khilafate Zahiri Kee Siyaasi Wirashat Khulfa-e-Rashideen Kee Zawaat Muqaddasa Ko Ata Hu’i.
۞ Khilafate Deeni Kee Umoomi Wirashat Baqiyyah Sahaba Wa Taba’in Ko Ata Hu’i.
Khilafate Baatini Niyaabate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Na Sirf Deene Islam Ke Roohani Kamalaat Aur Baatini Fuyoozaat Kee Hifazat Hu’i Balki Is Ummat Me Wilayat Wa Qutbiyyat Aur Muslihiyyat Wa Mujaddidiyyat Ke Chasme Phoote Aur Ummat Isi Waasite Se Roohaniyyate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Faizyaab Hu’i. Khilafate Zaahiri Niyaabate Muhaamadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Galbae Deene Haque Aur Nafaaze Islam Kee Amali Surat Wujood Me Aayi Aur Deene Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Tamakkun Aur Zameeni Iqtidaar Ka Silsila Qaayam Huwa. Isi Waasite Se Tarikhe Islam Me Mukhtalif Riyasatein Aur Saltanatein Qaayam Hu’e Aur Shari’ate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Nizame Aalam Ke Taur Par Dunya Me Amalan Muta’arif Hu’i.
Khilafate Umoomi Niyaabate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Woh Sar-Chasma Hai Jis Se Ummat Me Taalimate Islam Ka Farog Aur Aamale Saleha Ka Tahaqquq Wujood Me Aaya. Is Waasite Se Afrade Ummat Me Na Sirf Ilm Wa Taqwa Kee Hifazat Hu’i Balki Akhlaaqe Islami Kee Umoomi Tarweej Wa Shaa’at Jaari Rahi Goya:
Pahli Qism : Khilafate Wilayat Qaraar Paa’i
Doosri Qism : Khilafate Saltanat Qaraar Paa’i
Teesri Qism : Khilafate Hidayat Qaraar Paa’i
Is Taqseeme Wirasate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mazmoon Ko Shah Wali-Allah Muhaddith Dihlawi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Ne In Alfaz Ke Sath Bayan Farmaya Hai:
پس وراث آنحضرت هم بسه قسم منقسم اند فوراثه الذين أخذوا الحکمة والعصمة والقطبية الباطينة، هم أهل بيته و خاصته و وراثه الذين أخذوا الحفظ و التلقين و القطبية الظاهرة الإرشادية، هم أصحابه الکبار کالخلفاء الأربعة و سائر العشرة، و وراثه الذين أخذوا العنايات الجزئية و التقوي و العلم، هم أصحابه الذين لحقوا بإحسان کأنس و أبي هريرة و غيرهم من المتأخرين، فهذه ثلاثة مراتب متفرعة من کمال خاتم الرسل صلی الله عليه وآله وسلم.
“Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Wirasat Ke Hamilin Teen Tarah Kee Hain : Ek Woh Jinhone Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hikmat Wa Ismat Aur Qutbiyyate Baatini Ka Faiz Haasil Kiya, Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ahle Bayt Aur Khawaas Hain.
Doosra Tabqa Woh Hai Jinhone Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hifz Wa Talqeen Aur Rushd-o-Hidayat Se Muttasaf Qutbiyyat-e-Zaahiri Ka Faiz Haasil Kiya, Woh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kibaar Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Jaise Khulfa Aur Ashrah Mubashharah Hain.
Teesra Tabqa Woh Hai Jinhone Infaraadi Inaayaat Aur Ilm Wa Taqwa Ka Faiz Haasil Kiya, Yeh Woh As’hab Hain Jo Ihsaan Ke Wasf Se Muttasaf Ho Ga’e, Jaise Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Hazrat Aboo Hurarirah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Un Ke Ilawah Deegar Muta’akkhirin. Yeh Teeno’n Madarij Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Kamaal Khatime Risalat Se Jaari Hu’e.”
–
[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 02/08.]
Waajeh Rahe Ki Yeh Taqsim Galba-e-Haal Aur Khusoosi Imtiyaj Kee Nishandehi Ke Li’e Hai, Warna Har Say Aqsam Me Se Ko’i Bhi Doosri Qism Ke Khawaas Wa Kamaalaat Se Kulliyatan Khali Nahin Hain, Un Me Se Har Ek Ko Doosri Qism Ke Ko’i Na Ko’i Nisbat Ya Ishtiraaq Haasil Hai :
۞ Saltanat Me Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khalifa Bila-Fasl Ya’ni Barahe Raast Naa’ib Hu’e.
۞ Wilaaayat Me Sayyidina ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khalifa Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.
۞ Hidayat Me Jumla Sahaba-e-Kiram RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khulafa’ Bila-Fasl Ya’ni Baraahe Raast Naa’ib Hu’e.
Is Ka Matlab Yeh Huwa Ki Khatme Naubuwwat Ke Ba’d Faizane Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Daayimi Tasalsul Ke Li’e Musataqil Mutaali’ Qaayam Ho Ga’e :
۞Ek Matla’ Siyaasi Wirasat Ke Li’e
۞ Doosra Matla’ Roohani Wirasat Ke Li’e
۞Teesra Matla’ Ilmi Wa Amali Wirasat Ke Li’e
۞ Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Siyasi Wirasat, Khlfaate Raashidah Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.
۞ Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Roohani Wirasat, Wilayat Wa Imamat Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.
۞ Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ilmi Wa Amali Wirasat, Hidayat Wa Diyanat Ke Naam Se Mawsoom Hu’i.
Lehaaza Siyasi Wirasat Ke Farde Awwal Hazrat Aboo Bakr Siddiqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hu’e, Roohani Wirasat Ke Farde Awwal Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hu’e Aur Ilmi Wa Amali Wirasat Ke Awwalin Haamilin Jumla Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Hu’e. So Yeh Sab Waarisin Wa Haamilin Apne-Apne Daayare Me Bila Fasl Khulafa’ Hu’e, Ek Ka Doosre Ke Saath Ko’i Tazadiya Ta’aruz Nahin Hai.
Doosri Aham Baat Yeh Hai Ki Un Munasib Kee Haqiqat Bhi Ek Doosre Se Kai Umoor Me Mukhtalif Hain :
- Khilafate Zaahiri Deene Islam Ka Siyasi Mansab Hai.
Khilafate Baatini Khaalisatan Roohani Mansab Hai. - Khilafate Zaahiri Intekhaabi Wa Shooraa’i Amr Hai.
Khilafate Baatini Mahaz Wa’hbi Wa Ijtebaa’i Amr Hai. - Khalifa-e-Zaahiri Ka Taqarrur Awaam Ke Chunaaw Se Amal Me Aata Hai.
Khalifa-e-Baatini Ka Taqarrur Khuda Ke Chunaaw Se Amal Me Aata Hai. - Khalifa-e-Zaahiri Muntakhab Hota Hai.
Khalifa-e-Baatini Muntajab Hota Hai. - Yahi Waj’h Hai Ki Pehle Khalifa-e-Raaashid Sayyidina Siddiqe Akbar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka iIntikhab Hazrate ’Umar Farooqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Tajweez Aur Raaye Aam Kee Aksriati Taa’id Se Amal Me Aaya, Magar Pehle Imaame Wilayat Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Intikhab Me Kisi Kee Tajweez Matloob Hu’i Ma Kisi Kee Taa’id.
- Khilafat Me ‘Jamhooriyyat’ Matloob Thi, Is Li’e Huzzor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Ka E’laan Nahin Farmaya. Wilayat Me ‘Maamoriyyat’ Maqsood Thi, Is Li’e Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Waadi-e-Ghadire Khum Ke Maqam Par Is Ka E’laan Farmaya.
- Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ummat Ke Li’e Khalifa Ka IntIkhaab Awaam Kee Marzi Par Chhod Diya, Magar Wali Ka Intikhab Allah Kee Marzi Se Khud Farmaya.
- Khilafat Zameeni Nizam Ke Sanwaarne Ke Li’e Qaa’im Hoti Hai.
Wilayat Use Aasmaani Nizam Ke Husn Se Nikhaarne Ke Li’e Qaa’im Hoti Hai. - Khilafat Afraad Ko Aadil Banati Hai.
Wilayat Afraad Ko Kaamil Banaati Hai. - Khilafat Ka Daa’iarah Farsh Tak Hai.
Wilayat Ka Daa’irah Arsh Tak Hai - Khilafat Takht Nasheeni Ke Baghair Mu’assir Nahin Hoti.
Wilayat Takht Wa Saltanat Ke Baghair Bhi Mu’assir Hai. - Ghaaliban Yahi Waj’h Hai Ki Khilafat Ummat Ke Supurd Hu’i.
Wilayat Itrat Ke Supurd Hu’i.
Lehaaza Khilafat Se Mafar Hai Na Wilayat Se, Kyun Ki Hazrat Sayyidina Aboo Bakr Siddiqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Khjilafat Bila-Fasl Ijma’-e-Sahaba Se Mun’aqid Hu’i Aur Tarikh Kee Shahdate Qat’iy Se Saabit Hu’i Aur Hazrat Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Wilayat Bila-Fasl Khud Farmaane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mun’aqid Hu’i Aur Ahadithe Mutawaatirah Kee Shahadate Qat’iy Se Saabit Hu’i. Khilafat Ka Suboot Ijma’-e-Sahaba Hain Aur Wilayat Ka Suboot Farmaane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam. Jo Khilafat Ka Inkar Karta Hai Woh Taarikh Aur Ijtima’ Ka Inkaar Karta Hai Aur Jo Imamat Aur Wilayat Ka Inkar Karta Hai Woh E’laane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Inkaar Karta Hai. Zaroorat Is Amr Kee Hai Ki Dono’n institutions Kee Haqiqat Ko Samajh Kar Un Me Tatbeeq Paida Kee Jaae Naa Ki Tafreeq.
Jaan Lena Chaahiye Ki Jis Tarah Khilafate Zaahiri, Khulafa-e-Rashideen Se Shuru’ Hu’i Aur Is Ka Faiz Hasbe Haal Ummat Ke Saaleh Hukkaam Aur Aadil Umara’ Ko Muntaqil Hota Chala Gaya, Usi Tarah Khilafate Baatini Bhi Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Shuru’ Hu’i Aur Is Ka Faiz Hasbe Haal A’imma-e-At’hare Ahle Bayt Aur Ummat Ke Awliya’-e-Kaamilin Ko Muntaqil Hota Chala Gaya. Huzoor Faatih Wa Khaatim SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne….. “من كنت مولاه فهذا علي مولاه” (Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Yeh ‘Ali Mawla Hai)…. Aur…. “علي وليكم من بعدي” (Mere Ba’d Tumhara Wali ‘Ali Hai)…. Ke E’laane Aam Ke Zariye Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Ummat Me Wilayat Ka Faatihe Awwal Qaraar De Diya.
Baabe Wilayat Me Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi Rahmatullahi Ta’ala Alayh Ke Alfaz Mulaahiza Ho’n :
1 و فاتحِ اوّل ازین اُمت مرحومہ حضرت علی مرتضی است کرم اﷲ تعالیٰ وجھہ۔
“Is Ummate Marhooma Me (Faatihe Awwal) Wilayat Ka Darwaza Sab Se Pehle Kholne Waale Fard Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.”
–
[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01/103.]
2۔ و سرِ حضرت امیر کرم اﷲ وجھہ در اولادِ کرام ایشان رضی اللہ عنہم سرایت کرد۔
“Hazrat Amir KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Raaze Wilayat Aap Kee Aulaade Kiram RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Saraayat Kar Gaya.”
–
[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01/103.]
3چنانکہ کسی از اولیاء امت نیست الا بخاندانِ حضرتتضیٰ رضی اللہ عنہ مرتبط است بوجہی از وجوہ۔
“Chunanche Awliya’-e-Ummat Me Se Ek Bhi Aisa Nahin Jo Kisi Na KisiTauur Par Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Khaandaani Imamat Se (Iqtisaabe Wilayat Ke Li’e) Wabasta Na Ho”
–
[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Al-Tafhimat-ul-Ilahiyyah, 01/104.]
4۔ و از اُمتِ آنحضرت صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اوّل کسیکہ فاتحِ بابِ جذب شدہ است، و دراں جا قدم نہادہ است حضرت امیر المؤمنین علی کرم اﷲ وجھہ، و لہٰذا سلاسلِ طُرُق بداں جانب راجع میشوند۔
“Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ummat Me Pehla Fard Jo Wilaayat Ke (Sab Se A’ala Wa Aqwa Tareeq) Baabe Jazb Ka Faatih Bana Aur Jis Ne Is Maqame Bulandi Par (Pehla) Qadam Rakkha Woh Amir-ul-Mu’minin Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Zaate Girami Hai, Isi Waj’h Se Roohaniyyat Wa Wilayat Ke Mukhtalif Tareeqo’n Ke Salasil Aap Hee Kee Taraf Rujoo’ Karte Hain”
–
[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Hama’at, Saf’h-60.]
- Yahi Waj’h Hai Ki Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi Likhte Hain :
“Ab Ummat Me Jise Bhi Bargaahe Risalat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Faize Wilayat Nasib Hota Hai Woh Ya To Nisbate ’Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Nasib Hota Hai Ya Nisbate Ghaus-ul-A’azam Jeelani RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se, Is Ke Baghair Ko’i Bhi Shakhs Martaba-e-Wilayat Par Faa’iz Nahin Ho Sakta.”
Wazeh Rahe Ki Nisbate Ghawth-ul-‘Azam Jilani RadiyAllahu ‘Anhu Bhi Nisbate ‘Aliyy-ul-Murtaza Hee Ka Ek Baab Aur Isi Sham’a Kee Ek Kiran Hai.
–
[Shah Wali Allah Muhaddith Dihlawi, Hama’at, Saf’h-62.]
- Is Nuqte Ko Shah Ismail Dehlwi Ne Bhi Ba-Saraahat Yu’n Likha Hai :“Hazrat ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Li’e Shaykhayn Par Bhi Ek Guna Fazilat Saabit Hai Aur Woh Fazilat Aap Ke Farmabardaaro’n Ka Ziyadah Hona Aur Maqamaate Wilayat Balki Qutbiyyat Aur Ghauthiyyat Aur Abdaaliyyat Aur Inhi Jaise Baaqi Khidmaat “Aap Ke Zamane Se Le Kar Dunya Ke Khatam Hone Tak” Aap Hee Kee Wasaatat Se Hona Hai Aur Badshaho’n Kiee Badshahat Aur Amiro’n Kee Imarat Me Aap Ko Woh Dakhl Hai Jo Aalame Malakoot Kee Sair Karne Waalo’n Par Makhfi Nahin. …….. Ahle Wilayat Ke Aksar Silsile Bhi Janabe Murtaza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hee Kee Taraf Mansoob Hain, Pas Qiyamat Ke Din Bahot Farmabardaro’n Kee Waj’h Se Jin Me Aksar Badi-Badi Shaano’n Waale Aur Umdah Martabe Waale Honge, Hazrate Murtaza RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Lashkar Is Rounaq Aur Buzurgi Se Dikhaayi Dega Ki Us Maqm Ka Tamasha Dekhne Waalo’n Ke Li’e Amr Nihayat Hai Ta’jjub Ka Baa’is Hoga”
–
[Shah Isma’il Dehlwi, Sirati Mustaqim, 67.]
Yeh Faize Wilayat Ki Ummate Muhaamadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Jis Ke Mamba Wa Sar-Chasma-e-Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Muqarrar Hu’e Us Me Sayyida-e-Ka’inat Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ Salamu Allah ‘Alayha Aur Hazrat Hasnain Karimayn ‘Alayhim-us-Salam Bhi Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Shariq Ki’e Ga’e Hain, Aur Phir Un Kee Wasaatat Se Yeh Silsila-e-Wilayate Kubra Aur Ghauthiyyate Uzma Un Barah-12 A’imma-e-Ahle Bayt Me Tarteeb Se Chalaya Gaya Jin Ke Aakhri Fard Sayyidina Imaam Muhammad Mahdi ‘Alayh-is-Salam Hain. Jis Tarah Sayyidina Mawla ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ummate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Faatihe Wilayat Ke Darje Par Faa’iz Hu’e, Usi Tarah Sayyidina Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ummate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Khaatime Wilayat Ke Darje Par Faa’iz Honge.
- Is Mawzoo’ Par Hazrat Mujaddide Alfe Thani Shaykh Ahmad Sarhandi Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Kee Tahqiq Mulahiza Farmaein :
و راہی است کہ بقربِ ولایت تعلق دارد : اقطاب و اوتاد و بدلا و نجباء و عامۂ اولیاء اﷲ، بہمین راہ واصل اندراہ سلوک عبارت ازین راہ است بلکہ جذبۂ متعارفہ، نیز داخل ہمین است و توسط و حیلولت درین راہ کائن است و پیشوای، و اصلان این راہ و سرگروہ اینھا و منبع فیض این بزرگواران : حضرت علی مرتضی است کرم اﷲ تعالے وجھہ الکریم، و این منصب عظیم الشان بایشان تعلق دارد درینمقام گوئیا ہر دو قدم مبارک آنسرور علیہ و علی آلہ الصلوۃ و السلام برفرق مبارک اوست کرم اﷲ تعالی وجھہ حضرت فاطمہ و حضرات حسنین رضی اللہ عنہم درینمقام با ایشان شریکند، انکارم کہ حضرت امیر قبل از نشاء ہ عنصرے نیز ملاذ این مقام بودہ اند، چنانچہ بعد از نشاءہ عنصرے و ہرکرا فیض و ہدایت ازین راہ میر سید بتوسط ایشان میر سید چہ ایشان نزد ن۔ قطہ منتھائے این راہ و مرکز این مقام بایشان تعلق دارد، و چون دورہ حضرت امیر تمام شُد این منصب عظیم القدر بحضرات حسنین ترتیبا مفوض و مسلم گشت، و بعد از ایشان بہریکے از ائمہ اثنا عشر علے الترتیب و التفصیل قرار گرفت و در اعصاراین بزرگواران و ہمچنیں بعد از ارتحال ایشان ہر کرا فیض و ہدایت میرسید بتوسط این بزرگواران بودہ و بحیلولۃ ایشانان ہرچند اقطاب و نجبای وقت بودہ باشند و ملاذ وملجاء ہمہ ایشان بودہ اند چہ اطراف را غیر از لحوق بمرکز چارہ نیست۔
“Aur Ek Raah Woh Hai Jo Qurbe Wilayat Se Ta’alluq Rakhti Hai :
Aqtaab Wa Awtaad Aur Badala Aur Nujaba’ Aur Aam Awliya’ Allah Isi Raah Se Waasil Hain, Aur Raahe Sulooq Isi Raah Se Ibaarat Hai, Balki Muta’arif Jazba Bhi Isi Me Daakhil Hai, Aur Is Raah Me To Sat Saabit Hai Aur Is Raah Ke Waasileen Ke Peshwa Aur Un Ke Sardar Aur Un Ke Buzurgo’n Ke Mamba’-e-Faiz Hazrat ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain, Aur Yeh Azim-us-Shan Mansab Un Se Ta’alluq Rakhta Hai. Is Raah Me Goya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Dono’n Qadame Mubarak Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mubarak Sar Par Hain Aur Hazrat Fatiamh Salamu Allah ‘Alayha Aur Hazrat Hasnain Karimayn ‘Alayhim-us-Salam Is Maqam Me Un Ke Saath Shariq Hain. Mein Yeh Samjhta Hoo’n Ki Hazrat Amir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apni Jasadi Payda’ish Se Pehle Bhi Is Maqam Ke Malja Wa Mamba They, Jaisa Ki Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jasadi Payda’ish Ke Ba’d Hain Aur Jise Bhi Faiz Wa Hidayat Is Raah Se Pahunchi Un Ke Zariye Se Pahunchi, Kyun Ki Woh Is Raah Ke Aakhri Nuqta Ke Nazdeek Hain Aur Is Maqam Ka Markaz Un Se Ta’alluq Rakhta Hai, Aur Jab Hazrat Amir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Daur khatm Huwa To Yeh Azeem-ul-Qadr Mansab Tarteebwaar Hazrat Hasnain Karimayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ko Supurd Huwa Aur Un Ke Ba’d Wohi Mansab A’imma-e-Ithna ‘Ashrah Me Se Har Ek Ko Tarteebwaar Aur Tafsil Se Tafweez Huwa, Aur Un Buzurgo’n Ke Zamane Me Aur Isi Tarah Un Ke Intiqaal Ke Ba’d Jis Kisi Ko Bhi Faiz-o-Hidayat Pahunchi Hai Unhi Buzurgo’n Ke Zariye Pahunchi Hai, Agarche Aqtaab Wa Nujba’-e-Waqt Hee Kyun Na Ho’n Aur Sab Ke Malja Wa Maawa Yahi Buzurg Hain Kyun Ki Atraaf Ko Apne Markaz Ke Saath Ilhaaq Ki’e Baghair Chaarah Nahin Hai.”
–
[Imam Rabbani Mujaddide Alfe Thani, Maktoobat, 03/251, 252, Maktoob Number : 123.]
Hazrat Mujaddide Alfe Thani Rahmatullahi Ta’ala ‘Alayh Farmaate Hain Ki Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Bhi Kaare Wilayat Me Hazrat ‘Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saath Shariq Honge.
–
[Imam Rabbani Mujaddide Alfe Thani, Maktoobat, 03/251, 252, Maktoob Number : 123.]
Khulasae Kalam Yeh Huwa Ki Maqame Ghadire Khum Par Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mazmoon Par Mushtamil E’laane Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Is Haqiqat Ko Abad Al-Aabaad Tak Ke Li’e Saabit Wa Zaahir Kar Diya Ki Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Dar Haqiqat Wilayate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hee Hai. Bi’thate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ba’d Nubuwwat Wa Risalat Ka Baab Hamesha-Hamesha Ke Li’e Band Kar Diya Gaya, Lehaaza Ta-Qiyamat Faize Nubuwwate Muhaamadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Ijara’ Wa Tasalsul Ke Li’e Baari Ta’ala Ne Ummat Me Naye Darwaaze Aur Raaste Khol Di’e Jin Me Kuchh Ko Martaba-e-Zaahir Se Nawaza Gaya Aur Kuchh Ko Martaba-e-Baatin Se. Martaba-e-Baatin Ka Haamil Raasta ‘Wilayat’ Qarar Paaya, Aur Ummate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Wilayate Uzma Ke Haamil Sab Se Pehle Imame Bar-Haque Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Muqarrar Hu’e. Phir Wilayat Ka Silsila Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ki Ahle Bayt Aur Aale At’har Me A’imma-e-Ithna ‘Ashr(Barah Imamo’n) Me Jaari Kiya Gaya. Har-Chand In Ke Ilawah Bhi Hazaarha Nufoose Qudsiya Har Zamane Me Martaba-e-Wilayat Se Baharyaab Hote Rahe, Qutbiyyat Wa Ghauthsiyyat Ke A’ala Wa Arfa’ Maqamaat Par Faa’iz Hote Rahe, Ahle Jaha’n Ko Anwaare Wilayat Se Munawwar Karte Rahe Aur Karodo’n Insano’n Ko Har Sadi Me Zulmat Wa Dalaalat Se Nikaal Kar Noore Baatin Se Humkinaar Karte Rahe, Magar Un Sab Ka Faiz Sayyidina ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Baargahe Wilayat Se Bil-Waasita Ya Bila-WaasIta Maakhooz Wa Mustafaad Tha. Wilayate ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Ko’i Bhi Be-Niyaz Aur Aazad Na Tha. Yahi Silsila Qiyamat Tak Jaari Rahega Taa’nKi Ummate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Aakhri Imame Bar-Haque Aur Markaze Wilayat Ka Zahoor Hoga. Yeh Sayyidina Imam Muhammad Mahdi ‘Alayh-is-Salam Honge Jo Barhawe’n Imam Bhi Honge Aur Aakhri Khalifa Bhi. Un Kee Zaate Aqdas Me Zaahir Wa Baatin Ke Dono’n Raaste Jo Pehle Juda They Mujtama’ Kar Di’e Jaaenge. Yeh Haamile Wilayat Bhi Honge Aur Waarise Khilafat Bhi, Wilayat Aur Khilafat Ke Dono’n Martabe Un Par Khatam Kar Di’e Jaaenge. So Jo Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Ka Munkir Hoga Woh Deen Kee Zaahiri Wa Baatini Dono’n Khilafato’n Ka Munkir Hoga.
Yeh Mazhariyyate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Intiha Hogi, Is Li’e Un Ka Naam Bhi ‘Muhammad’ Hoga Aur Un Ka ‘Khalq’ Bhi Muhammadi (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Hoga, Taa Ki Dunya Ko Ma’lum Ho Jaa’e Ki Yeh ‘Imam’ Faizane Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Zaahir Wa Baatin Dono’n Wirasato’n Ka Ameen Hai. Is Li’e Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
“Jo Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Takzeeb Karega Woh Kafir Ho Jaaega.”
Us Waqt Rooe Zameen Ke Tamaam Awliya’ Ka Marja’ Aap ‘Alayh-is-Salam Honge Aur Ummate Muhammadi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Imam Hone Ke Baa’is Sayyidina Isa ‘Alayh-is-Salam Bhi Aap ‘Alayh-is-Salam Kee Iqtida’ Me Namaz Ada Farmaenge Aur Isi Tarah Ahle Jaha’n Me Aap ‘Alayh-is-Salam Kee Imamat Ka E’laan Farmaenge.
So Hum Sab Ko Jaan Lena Chahiye Ki Hazrat Mawla ‘Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Mahdi Alal Ard Wa’s-Sama’ ‘Alayh-is-Salam..…Baap Aur Beta Dono’n…..Allah Ke Wali Aur RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wasi Hain. Inhein Taslim Karna Har Sahibe Iman Par Waajib Hai.
Baari Ta’ala Hamein In Azeem Mamba’-e-Wilayat Se Iktisaabe Faiz Kee Taufique Marhamat Farmaein. (Aameen Bijaahi Sayyid-il-Mursaleen SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)
Yake Az Gulamane Ahle Bayt
﴾Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri ﴿
18 Dhu-‘l-Hijjah, 1422 Hijri
–
[Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali RadiyAllahu ‘Anhu,/05_16.]