Hadith Number : 36
“‘Abd-ur-Rahman Bin Abi Layla Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Wasi’ Maidaan Me Dekha, Us Waqt Aap Logo’n Se Halfan Puchh Rahe They Ki Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din……. Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai……. Farmate Hu’e Suna Ho Woh Khada Ho Kar Gawaahi De. ‘Abd-ur-Rahman Ne Kaha : Is Par Baarah¹² Badri Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Khade Hu’e, Goya Mein Un Me Se Ek Kee Taraf Dekh Raha Hoo’n. Un ( Badri Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn) Ne Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Hum Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Yeh Farmate Hu’e Suna : “Kya Mein Mominon Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n, Aur Meri Biwiya’n Un Kee Maaein Nahin Hain?” Sab Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Is Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/119,
2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/257,
3-Tahawi Fi Mushkil-il-Athar, 02/308,
4-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/80, 81, Raqam-458,
5-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 14/236,
6-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/156, 157,
7-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/161)” Me Ise Ziyad Bin Abi Ziyad Se Bhi Riwayat Kiya Hai.
8-Muhibb Tabari Ne Bhi “Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah (03/128)” Me Ziyad Bin Abi Ziyad Se Kee Riwayat Naqal Kee Hai.
9-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 04/102, 103,
10-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/170,
11-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/461, 462,
12-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/105, 106,
13-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/170, Raqam-36515,
14-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/209,
Haythami Farmate Hain Ki Ise Aboo Ya’la Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.
Hisam-ud-Deen Hindi Farmate Hain Ki Is Riwayat Ko Ibn Jarir, Sa’iyd Bin Mansoor Aur Ibn Athir Jazari Ne Bhi Riwayat Kiya Hai.
Ahmad Bin Hanbal Ne Yeh Hadithe Mubarak “Al-Musnad (01/88)” Me Ziyad Bin Abi Ziyad Se Bhi Riwayat Kee Hai. Ise Haythami Ne “Majma’-uz-Zawa’id (09/106)” Me Naqal Kiya Hai Aur Us Ke Rijaal Ko Thiqah Qaraar Diya Hai.]
You must be logged in to post a comment.