Baab 02
Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam
Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ne Du’aaein Maangi Thi Aik Yeh Ki Baari Ta’ala Meri Dhurriyyat Se Khaatim-ul-Ambiya’ Paida Fama. Dusre Meri Dhurriyyat Ko Mansabe Imaamat Ata Kar Chunaanche Hazrat Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Shakl Me Nabi Aakhir-uz-Zama’n Tashrif Le Aaye, Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Nubuwwat Khatm Ho Jaane Ke Baa’d Ab Yeh Laazmi Taqaaza Tha Ki Huzoor Rahmate Kawnayn SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Nubuwwat Ka Faiz Ab Imaamat Wa Wilaayat Kee Shakl Me Aage Chale, Hazrat Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Dhurriyyat Me Wilaayat Bhi Aa Gayi, Huzor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Apna Sulbi Beta Na Tha. So Aab Nubuwwate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Faiz Aur Imamat-o-Wilaayate Mustafawi Ka Mazhar Tha Is Liye Zaroori Tha Ki Yeh Kisi Muqaddas Aur Muhtaram Khaandaan Se Chale. Aise Afraad Se Chale Jo Huzoor Rahmate Aalam SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Sulbi Beta To Na Ho Magar Jigar Gosha-E-Rasool, Chunaanche Is Mansabe Azeem Ke Liye Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Huzoor Kee Laadli Beti Khatoone Jannat Sayyidah Fatimat-uz-Zahra RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Par Qudrat Kee Nigaahe Intekhaab Padi.
Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Hazrat Sayyidah Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Kee Shaadi Ka Aasmaani Faisla
Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khushnoodi Raza Aur Mashiyyat Se Yeh Muqaddas Hastiya’n Rishta-E-Izdiwaaj Me Munsalik Ho Gayin. Hadithe Paak Me Hain :
عن عبد الله بن مسعود عن رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم قال ان الله امرنى ان ازوج فاطمة من على رضى الله عنهما
“Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuna Se Marwi Hai Ki Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Be Shak Allah Ta’ala Ne Mujhe Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ka Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Nikaah Karne Ka Hukm Diya.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Hadith-10305.]
Taajdaare Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Kee Shaadi Ka Faisla Aasmaano’n Par Ho Chuka Tha. Yeh Shaadi Amre Ilaahi Se Anjaam Paayi Is Liye Ki Hazrat Ali Se Wilaayate Mustafa Ke Silsile Ko Qaa’im Hona Tha Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Takmeele Du’a-E-Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Ka Zari’a Ban’na Tha Isi Maqsad Ke Liye Taajdaare Ka’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Un Kee Hazrat Fatimah Ke Zari’e Aik Aur Mazboot Paakizah Nisbat Bhi Qaa’im Huwi. Aa’indah Safhaat Me Hum Do Alag Alag Faslo’n Me In Dono’n Muqaddas Hastiyo’n Ke Faza’il-o-Manaqib Jo Sahih Riwaayaat Se Saabit Hain Aur Ahl-E-Sunnat Wa’l-Jama’at Ke Haa’n Un Kee Kitabo’n Me Darj Hain Jis Ko Bayaan Karenge Taa Ki Ma’loom Ho Jaaye Ki Mawla-E-Ka’enat Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Khatoone Jannat Sayyidah Fatimat-uz-Zahra Salamu Allah ‘Alayha Aur Un Kee Aulaade At’har Jamhoor Ahle Islam Ke Haa’n Muhtaram-o-Mukarram Au Qaabile Izzat-o-Takreem Hain Yeh Na To Kisi Khaas Firqe Ka Mashrab-o-Maslak Hai Aur Na Kisi Kee Khaas Alaamat Hai Aur Aisa Ho Bhi Kyun Yeh Khanwada-E-Nubuwwat Hai Aur Jumla Musalmano’n Ke Haa’n Me’yaare Haque Aur Markaz-o-Mehware Imaan-o-Amal Hai.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/29 Ta 31.]