6.
عن علی رضى الله تعالى عنه قال قال رسول اﷲ صلی الله عليه وآله وسلم لفاطمة ان الله يغضب لغضبک و يرضي لرضاک
“Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Unhone Kaha Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Mukhaatib Ho Kar Farmaya (Aye Beti) Allah Teri Naaraazi Ko Dekh Kar Naaraaz Hota Hai Aur Teri Khushi Ko Dekh Kar Khush Hota Hai.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/154.]
Kaa’inaat Ke Aaqa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Irshaade Giraami Hai Ki Aye Fatimah! Allah Teri Khushi Ko Dekh Kar Khush Ho Jaata Hai Aur Teri Naaraazi Ko Dekh Kar Naaraaz Ho Jaata Hai, Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Khush Hoti Hai To Khuda Khush Hota Hai, Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Naaraaz Hoti Hai To Khuda Bhi Us Taraf Se Cherah Pher Leta Hai.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/74.]