Fasl-06 :
Fazilate Qiyaame Ramadaan Ka Bayan
54/172. “Hazrat Aboo Hurayrah Se Marwi Hai Ki RasoolAllah Ne Farmaya : Jis Ne Ramadaan Me Ba Haalate Iman Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Kiya To Us Ke Saabiqa Tamam Gunaah Mu’aaf Kar Di’e Jaate Ga’e.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/22, Raqm-37,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqm-759,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/201, Raqm-1602, 1603,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/408, Raqm-9277,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/336, Raqm-2203,
Darami Fi As-Sunan, 02/42, Raqm-1776,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-234, Raqm-172.]
55/173. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Halate Iman Mein Aur Sawaab Kee Niyyat Se Ramadaan Ke Roze Rakkhe To Us Ke Saabiqa Gunaah Mu’aaf Kar Di’e Jaate Hain Aur Jo Ramadaan Me Iman Kee Haalat Aur Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Karta Hai To Us Ke (Bhi) Saabiqa Gunaah Mu’aaf Kar Di’e Jaate Hain Aur Jo Laylat-ul-Qadr Me Iman Kee Haalat Aur Sawaab Kee Niyyat Se Qiyaam Kare Us Ke Guzishta Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/709, Raqm-1910, 37, 38, 1801, 1905,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqm-740,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqm-808,
Aboo Dawud As’L-Sunan, 02/49, Raqm-1371,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/156, Raqm-02, 22,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/526, Raqm-1641,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-234, 235, Raqm-173.]
56/174. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Awf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ramadaan-ul-Mubarak Ka Zikr Farmaya To Sab Mahino’n Par Use Fazilat Dee. Is Ke Baa’d Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawaab Kee Niyyat Ke Saath Ramadaan Kee Raato’n Me Qiyaam Karta Hai To Woh Gunaaho’n Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha Jab Use Us Kee Mane Janam Diya Tha.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ne Ramadaan Ke Roze Farz Ki’e Hain Aur Mein Ne Tumhaare Liye Us Ke Qiyaam (Namaaze Taraawih) Ko Sunnat Qaraar Diya Hai, Lehaaza Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawaab Kee Niyyat Ke Saath Maahe Ramadaan Ke Dino’n Me Roze Rakhta Aur Raato’n Me Qiyaam Karta Hai To Woh Gunaaho’n Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha Jab Us Kee Maa Ne Janam Diya Tha.”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/158, Raqm-2208, 2210,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/421, Raqm-1328,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-235, 236, Raqm-174.]
57/175. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaaze Taraawih Padhne Ki Raghbat Dilaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche Farmate Ki Jis Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Husoole Sawaab Kee Niyyat Se Aur Halate Iman Ke Saath Qiyaam Kiya To Us Ke Saabiqa (Pichhle Tamaam) Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Namaaze Taraawih Kee Yahi Surat Barqaraar Rahi Aur Khilafat E Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Aur Phir Khilafat E Umar Farook RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Shurooa Tak Yahi Surat Barqaraar Rahi.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqm-1905,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqm-759,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqm-808,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqm-1371,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/154, Raqm-2192,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqm-249,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musmad, 02/281, Raqm-7774,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqm-2207,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqm-141,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/258, Raqm-7719,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqm-4378,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/120, Raqm-9299,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-236, 237, Raqm-175.]
58/176. “Hazrat Imam Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Shiqa (Ya’ni Qabile I’temad) Ahle ‘Ilm Ko Yeh Kehte Hu’e Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Saabiqa Umatto’n Kee Umare’n Dikhaa’i Ga’i Ya Us Baare Me Jo Allah Ta’ala Ne Chaaha Dikhaaya To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Ummat Kee Kam Umro’n Ka Khayaal Karte Hu’e Socha Ki Kya Meri Ummat Is Qadar Aamaal Kar Sakegi Jis Qadar Doosri Ummato’n Ke Logo’n Ne Tawaalate ‘Umr Ke Ba’is Kahi (Lambi ‘Umr Kee Wajah Se Ki’e).
To Allah Ta’ala Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Shabe Qadar ‘Ata Farma Dee Jo Hazaar Mahino’n Se Bhi Afzal Hai.”
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/321, Raqm-698,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/323, Raqm-3667,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/65, Raqm-1508,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-237, Raqm-176.]
59/177. “Hazrat Ubaada Bin Saamit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hame’n Sabe Qadr Ke Baare Me Bataaye To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yeh (Raat) Maahe Ramadaan Ke Aakhri Ashre Me Ikkisawi-21, Teisawi-23, Pachchiswi-25, Sattaiswi-27, Untisawi-29 Ya Ramadaan Kee Aakhiri Raat Hoti Hai. Jo Banda Is Me Imanon Sawaab Ke Iraade Se Qiyaam Kare Us Ke Agle Pichhle (Tamaam) Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/318, 321, 324, Raqm-22765, 22793, 22815,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/71, Raqm-1284,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/65, Raqm-1507,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/175, 176,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-237, 238, Raqm-177.]
60/178. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mimbar Par Tashreef Farma Hu’e To Teen³ Baar Aameen, Aameen, Aameen Farmya. ‘Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Mimbar Par Jalwa Afroz Hu’e To Aap Ne Aameen, Aameen, Aameen Farmaya (Is Kee Kya Wajah Hai?). Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Mere Paas Haazir Hu’e Aur Kehne Lage : Jis Shakhs Ne Maahe Ramadaan Paaya Aur Us Kee Maghfirat Na Ho Saki To Woh Aag Me Gaya, Use Allah Ta’ala Apni Rahmat Se Door Kar De. (Aye Habibe Khuda!) Aap Aameen Kahein. Us Par Mein Ne Aameen Kaha Aur Jis Shakhs Ne Maa Baap Dono’n Ko Paaya Ya Un Me Se Kisi Ek Ko Paaya Aur Un Ke Saath Neki Na Kee Aur Mar Gaya To Woh Aag Me Gaya. Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Durr Kar De : (Aye Habibe Khuda!) Aap Aameen Kahein . To Mein Ne Aameen Kaha Aur Woh Shakhs Jis Ke Paas Aap Ka Zikr Kiya Gaya Aur Us Ne Aaap Par Durood Na Padha Aur Usi Haalat Me Mar Gaya To Woh Bhi Aag Me Gaya. Allah Ta’ala Use Apni Rahmat Se Doorr Kar De (Aye Habibe Khuda!) Aap Aameen Kahein To Mein Ne Aameen Kaha.”
–
[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/192, Raqm-1888,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 03/188, Raqm-907,
Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/225, Raqm-646,
Bazzar Fi Al-Musnad, 04/240, Raqm-1405,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/247, Raqm-3790,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 10/328, Raqm-5922,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/304, Raqm-8287,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/17, Raqm-8994,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/243, Raqm-2022,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/57, Raqm-1481,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-238, 239, Raqm-178.]
61/179. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya : Jab Maahe Ramadaan Shurooa Ho Jaata To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apna Kamar Band Kas Lete Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Apne Bistar Par Tashrif Nahin Laate They Yaha’n Tak Ki Ramadaan Guzar Jaata.”
–
[Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/342, Raqm-2216,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/66, Raqm-24422,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/310, Raqqm-3624,
Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/143, Raqm-211,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-239, Raqm-179.]
62/180. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya Ki Jab Maahe Ramadaan Shurooa Hota To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Rang Mubarak Tabdeel Ho Jaata Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namazo’n Kee (Mazid) Kasarat Kar Dete Aur Allah Ta’ala Se Aajizi Wa Gidgida Kar Du’aa Kar Te Aur Is Maah Me Nihaayat Mohtaat Rehte.”
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/310, Raqm-3625,
Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/143, Raqm-212,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-240, Raqm-180.]
63/181. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Bayan Kee Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Ramadaan-ul-Mubarak Me Raat Ke Pehle, Tisre Pahar Ke Baa’d Ya Aakhiri Tisre Pahar Ke Baa’d Ek Nida Kar Ne Waala Nida Karta Hai : Hai Ko’i Sawaal Karne Waala Ki Woh Sawaal Kare To Use ‘Ata Kiya Jaa’e? Kya Hai Ko’i Maghfirat Ka Talabgaar Ki Woh Maghfirat Talab Kare To Use Bakhsh Diya Jaa’e? Kya Hai Ko’i Towba Karne Waala Ki Woh Towba Kare To Allah Ta’ala Us Kee Towbah Qubool Kare.”
–
[Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/311, Raqm-3628,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-240, Raqm-181.]
64/182. “Hazrat Ubada Bin Samit RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Din Farmaya Jab Ki Ramadaan-ul-Mubarak Shurooa Ho Chuka Tha : Tumhare Paas Barkato’n Waala Mahina Aa Gaya Hai Is Mahine Me Allah Ta’ala Tumhe’n Apni Rahmat Se Dhaanp Leta Hai. Rahmat Naazil Farmata Hai, Gunaaho’n Ko Mitaata Hai Aur Duaae Qubool Farmata Hai. Is Mahine Me Allah Ta’ala Tumhare Dilo’n Par Nazar Farmata Hai Aur Tumhari Wajah Se Apne Firishto’n Ke Saaamne Fakhr Farmaata Hai. Lehaaza Tum Apne Qalb Wa Baatin Se Allah Ta’ala Kee Bargah Me Neki Pesh Karo Kyun Ki Badbakht Hai Woh Shakhs Jo Is Maah Me Bhi Allah Ta’ala Kee Rahmat Se Mehroom Raha.”
رواه الطبراني ورواته ثقات كما قال المنذري والهيثمي.
–
[Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/60, Raqm-1490,
وقال : رواه الطبراني ورواته ثقات،
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/142,
وقال : رواه التبراني في الكبير.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-240, 241, Raqm-182.]
65/183. “Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maahe Ramadaan Me Allah Ta’ala Ka Zikr Kar Ne Waala Bakhsh Diya Jaata Hai Aur Is Maah Me Allah Ta’ala Se Maangne Waale Ko Naa Muraad Nahin Kiya Jaata.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/195, Raqm-6170,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/226, Raqm-7341,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/311, Raqm-3627,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/242, Raqm-3141,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/64, Raqm-1501,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/64,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-241, Raqm-183.]