Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-12 : ﴾Ummate Muhammadiyah Ka Izz-o Sharaf﴿

Is Ummat Me A’imma-e Mujaddideen Ke Bheje Jaane Ka Bayan

Fasl-05 :

Is Ummat Me A’imma-e Mujaddideen Ke Bheje Jaane Ka Bayan

41/841.    “Hzarat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us (Ilm) Me Se Jo Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Sikha Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Is Ummat Ke Liye Har Sadee Ke Aakhir Me Kisi Ayse Shakhs (Ya Ashakhaas) Ko Payda Farma’ega Jo Is (Ummat) Ke Liye Is Ke Deen Kee Tajdeed Karega.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/109, Raqm-4291,

Hakeem Al-Mustadrak , 04/567, 568, Raqm-8592, 8593,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/223, Raqm-6527,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/148, Raqm-532,

Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 03/742, Raqm-364,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/388, 341,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/61,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-742, Raqm-841.]

42/842.    “Hazrat Mu’az Bin Jabal RadiuyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Ma’mooli Sa Dikhaawa Bhi Shirk Hai Aur Bando’n Me Se Mahboob Tareen Bande Allah Ta’ala Ke Nazdeek Muttaqi Aur Khashiyyate Ilahi Rakhne Waale Woh Log Hain Jo Maujood Na Ho To Talaash Na Ki’e Jaa’e Aur Maujood Ho To Pahchaane Na Jaa’e’n, Wahi Log Hidayat Ke Imaam Aur Ilm Ke Chiraagh Hain.”

رواه الحاكم والتبراني.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Hakim Fi Al-Mustadrak,03/303, Raqm-5182,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/36, Raqm-53,

Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/252, Raqm-1298,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/112,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-742, 743, Raqm-842.]

43/843.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Us Waqt Meri Sunnat Ko Mazbooti Se Thaama Jab Meri Ummat Fasaad Me Mubtala Ho Chuki Hogi To Us Ke Liye Sau-100 Shaheedo’n Ke Baraabar Sawaab Hai.”

[Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 08/200,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/118, Raqm-207,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/198, Raqm-6608,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/41, Raqm-65,

Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/364,

Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/270,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-743, Raqm-843.]

44/844.    “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Daurane Husoole Ilm Agar Kisi Shakhs Ko Maut Aa Jaa’e Aur Woh Is Liye Ilm Haasil Kar Raha Ho Ki Us Ke Zareeye Se Islam Ko Zinda Karega To Us Ke Aur Ambiya-e Kiram Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darje Ka Farq Hoga.”

[Darami Fi As-Sunan, 01/112, Raqm-354,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/174, Raqm-9454,

Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/61,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 01/123,

Ibn Abd-il-Barr Fi Jaame’ Bayan Al-‘Ilmi Wa Fadlih, 01/46,

Zubaydi Fi It’haf Al-Sadah Al-Muttaqin, 01/100,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/53, Raqm-110,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-743, 744, Raqm-844.]

45/845.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu  Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  (Jaan Lo!) Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga.  Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya :  To Ya RasoolAllah ﷺ! Koun Hoga? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Mere) Khulafa’ Honge Aur Phir Un Ke Khulafa’a Honge . So Jise Tum Seedhe Raaste Par Paao Us Ke Saath Bay’at (Ahade Wafa) Nibhaao, Aur Jo Seedhi Raah Par Na Rahe’n Unhe’n Un Ka Haqq De Do Aur Apna Haqq Allah Ta’ala Se Maango.”

[Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/257, Raqm-223,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-744, Raqm-845.]

46/846.    “Hazrat Kaseer Bin ‘Abd Allah Muzni Ba-Wasta Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Be Shak Deen (Ya Farmaya : Islam) Kee Ibtada Ajnabiyyat Se Hu’i (Ya’ni Deen Kee Ibttiba Karne Waale Ma’ashre Me Ajnabi Lagte They Ya Us Ka Doosara Mafhoom Yeh Hai Ki Deen Ke Phailne Kee Ibtida Safar Aur Hijrat Se Hu’i) Aur (Ek Zamana Phir Aisa Ayega Ki) Ye Deen (Mu’ashre Me) Dobaara Ajnabi Lagega. Jis Tarah Kee Shuru’ Me Lagta Tha.  Aur (Deen Phailaane Kee Khaatir) Alag Thalag Hone Waale (Ghuraba Ya’ni Ajnabi Logo’n) Ke Liye Khushkhabri Hai. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ!  Ghuraba’ (Ajnabi) Kaun Hain?  Farmaya : Woh Log Jo Meri Sunnato’n Ko Zinda Karte Aur Allah Ke Bando’n Ko In Kee Ta’leem Dete Hain.”

[Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/138, Raqm-1052, 1053,

Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/117, Raqm-205,

Suyooti Fi Miftah-ul-Jannah Fi Al-Ihtijaj Bi-‘i-Sunnah, 01/67,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-744, 745, Raqm-846.]

47/847.    “Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :  Jis Ne Ilm Haasil Kiya Taa Ki Us Se Islam Ko Zinda Kar Sake To Us Ke Aur Ambiya-e Kiram Ke Darmiyan Siwaaye Ek Darje Ke Koi Farq Nahin Hoga.”

[Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Jaame’ Bayan Al-‘Ilmi Wa Fadlih, 01/46,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-745, Raqm-847.]

48/848.    “Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teen³ Martaba Ye Farmaya :  Mere Khulafa’ Par Allah Ta’ala Kee Rahmat Ho. Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Arz Kiya :  Ya RasoolAllah ﷺ!  Aap Ke Khulafa’ Kaun Log Hain? Aap Ne Farmaya :  Woh (Log) Jo Meri Sunnato’n Ko Zinda Karte Hain Aur (Doosare) Logo’n Ko Bhi In Kee Ta’leem Dete Hain (Mere Khulafa’ Hain).”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 51/61,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi Jaame’ Bayan Al-‘Ilmi Wa Fadlih, 01/46,

Hindi Fi Kanz-ul-Ummal, 10/229, Raqm-29209,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safh-745, 746, Raqm-848.]

49/849.    “Hazrat Aboo Sa’iyd Faryaabi Riwayat Karte Hain Ki Imam Ahmad Bin Hanbal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Allah Ta’ala Har Sadee Ke Aakhir Par Logo’n Ke Liye Ek Aysi Shakhsiyat Ko Bhejata Hai Jo Logo’n Ko Sunnat Kee Ta’leem Deti Hai Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Mansub Jhoot Kee Nafi Karti Hai.”

[Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 24/365, Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 09/25,

Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/62,

Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 11/261,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-746, Raqm-849.]