35.
عن اسماء بنت عمیس رضى الله تعالى عنها ان النبی صلى الله تعالى عليه وآله وسلم کان یوحی الیه و راسه فی حجر علی فلم یصل العصر حتی غربت الشمس فقل النبی صلى الله تعالى عليه وآله وسلم اصلیت یا علی قال لا فقال اللهم انه کان فی طاعتک و طاعة رسولک فاردد علیه الشمس قالت اسماء رضى الله تعالى عنه فرایتها غربت ثم رایتها طلعت بعد ما غربت
“Hazrat Asma’ Bint Umays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Hai Be Shak Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Kee Taraf Wah’iy Kee Gayi Is Haal Me Ki Mein Aap SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ka Sare Aqdas Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Goud Me Tha. Pas Hazrat Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Namaaze Asr Ada Na Farmaayi Yaha’n Tak Ki Sooraj Ghuroob Ho Gaya Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Daryaaft Farmaaya Aye Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kya Too Ne Namaaz Ada Nahin Kee? Arz Kiya Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Aye Allah Be Shak Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Teri Aur Tere Rasool Kee Itaa’at Me Tha Pas Is Par Sooraj Ko Lauta De. Hazrat Asma’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Farmaati Hain Ki Mein Ne Sooraj Ghuroob Hote Huwe Dekha Phir Mein Ne Us Ko Ghuroob Ke Baa’d Tuloo’ Hote Huwe Dekha.”
–
[Tahawi Fi Mushkil-il-Athar,04/388,
Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/62.]