Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Gosha-E-Durood-o-Salaam Ke Saakineen Ke Li’e Aadaab-o-Hidaayaat

1 : Gosha-E-Durood Me Shirkat Kar Ne waale Ahbaab Ko 10 Din Ke Li’e Markaz Bulaaya Jaata Hai, Jin Kee Ta’daad 18 Se 21 Afraad Par Mushtamil Hoti Hai.

 

2 : Din Raat Ke 24 Ghanto’n Me Aath Aath Ghanto’n Kee Teen Nishishte’n Hoti Hain Aur Har Nishisht Ke Li’e Kam Az Kam Chhe Afraad Aath Ghante Tasalsul Se Durood-o-Salaam Padhte Rehte Hain. Isi Tarah Har Aath Ghante Ba’d Nishisht Tabdeel Hoti Hai Aur Agle Chhe Afraad Gosha-E-Durood Me Baithte Hain.

 

3 : Durood-o-Salaam Padhne Waale Ahbaab Ke Li’e Zaroori Hai Ki Woh Roze Se Ho’n Aur Un Ke Li’e Sahri-o-Iftaari Ka Intezaam-o-Inseraam Gosha-o-Durood Kee Intezaamiyyah Ke Zimma Hai.

 

4 : Gosha-o-Durood Me Baithne Waale Tamaam Ahbaab Ke Li’e Laazim Hai Ki Woh Ghusl Kare’n, Safed Rang Ka Saf Suthra Libaas Pehne’n, Khushboo Lagaa’ein Aur Hama Waqt Baa Wuzoo Rahein.

 

5 : Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zaat Se Hubbi Aur Ishqi Ta’alluq Ke Mazbooti Ke Li’e Durood-o-Salaam Padhne Se Qabl Do Rak’at Namaaze Nafl Ada Karein Aur Baargaahe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Haaziri Ka Tasawwur Kare’n.

 

6 : Gosha-o-Durood Me Shirkat Karne Waale Afraad Ke Li’e Zaroori Hai Ki Woh Hama Waqt Apne Zaahir-o-Baatin Aur Maahaul Ke Paakeezgi Wa Tahaarat Ka Ehtemaam Kare’n.

 

7 : Durood-o-Salaam Padhte Waqt Yeh Tasawwur Kare’n Ki Aap Makeene Gumbade Khazra SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Me Haazir Hain.

 

8 : Gosha-o-Durood Me Shirkat Kar Ne Waale Ahbaab Ke Li’e Laazim Hai Ki Woh Kisi Qism Kee Dunyaawi Guftagu Na Kare’n, Balki Har Waqt Madani Khayaalaat Me Gum Reh Kar Jalwa-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Talaash Kare’n.

 

9 : Gosha-o-Durood Me Shirkat Karne Waale Ahbaab Ke Li’e Khub-Soorat Arabi Libaas Tayyaar Karaa’e Ga’e Hain Jin Ko Zaibe Tan Kar Ke Duroode Paak Padha Jaata Hai.

Note : Gosha-o-Durood Me Shirkat Kar Ne Waale Ahbaab Ko Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Kee Taraf Se Khusoosi Sanad “Shirkate Gosha-o-Durood” Bhi Pesh Kee Jaati Hai.

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/39_40.]