Posted in Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Gosha-E-Durood Ka Ta’aaruf

Mundareja-E-Baala Qur’an-o-Hadith Ke Dalaa’il Aur Durood-o-Salaam Ke Fuyooz-o-Barakaat Kee Bina’ Par Baari Ta’ala Aur Tamaam Malaa’ika Kee Sunnat Par Amal Karte Hu’e Faroghe Ishqe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Rabte Risaalate Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Me Isteqaamat-o-Mudaawamat Aur Uswa-E-Hasanah Par Amal Ke Farogh Ke Li’e Shaykh-ul-Islam Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Kee Hasbe Hidaayat Tehreeke Minhaj-ul-Qur’an Ke Markaz Par Gosha-E-Durood Ka Qiyaam Amal Me Laaya Gaya Hai. Jis Ke Zari’e Aalamgeer Sat’h Par Qurbate Risaalate Ma’aab SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Nisbate Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mustehkam Kar Ke Baargaahe Iyzdi Se Barakaat Ka Husool Mumkin Banaaya Ja Raha Hai. Baa Qaa’ida Imaarat Kee Ta’meer Ke Li’e Markazi EE Ke Sabza Zaar Me Nihaayat Khub-Soorat Imaarat Kee Ta’meer Ka Silsila Shuroo’ Ho Chuka Hai. Takmeele Imaarat Se Qabl Yakum December 2005 Se, Markazi Secretariate Me Waaqe’ Huzoor Shaykh-ul-Islam Ke Daftar Me Hama Waqt Durood-o-Salaam Pahdne Ka Silsila Shuroo’ Kiya Gaya Hai. Yaad Rahe ki Is Gosha-E-Durood Me Padhe Ga’e Durood-o-Salaam Aur Dunya Bhar Se Mausool Hone Waale Durood-o-Salaam Ko Har Maah Kee Pehli Jume’raat Ko Maahaana Majlis Khatm-us-Salaat ‘Ala-‘n-Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aur Roohaani Ijtemaa’ Me Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Baargaah Me Pesh Kiya Jaata Hai. Jis Me Tilaawat-o-Na’t Khaani Ke Saath Saath Huzoor Shaykh-ul-Islam Ka Khusoosi Khitaab Hota Hai. Aur Majlis Ke Ikhtetaam Par Khusoosi Du’aa Bhi Hoti Hai.
Bihamdihi Ta’ala Tehrike Minhaj-ul-Qur’an Ka Khameer Ishqe Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Tayyaar Kiya Gaya Hai. Aur Is Tehreek Ka Markaz Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Mehmaan Khaana Hai. Lehaaza Is Mustafawi Mehmaan Khaane Me Aane Waale Mu’azzaz Mehmaano’n Ke Li’e Gosha-E-Durood Qaa’im Kiay Gaya Hai, Jahaa’n Huzoor Shyakh-ul-Islam Professor Doctor Muhammad Tahir-ul-Qadri Madda Zillooh-ul-‘Aali Kee Zere Sarparasti Durood-o-Salaam Padhne Ka Silsila Bila Naagha 24 Ghante Jaari-o-Saari Rehta Hai Aur Shab-o-Roz Ke In Pur Kaif Lamhaat Me Ko’i Aik Lamha Bhi Aisa Nahin Hota Jab Is Mutafawi Qaafila Se Waabasta Aashiqaane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Is Ibaadat Se Khaali Ho’n. Yeh Intehaa’i Imaan Afroz Aur Rooh Parwar Lamhaat Hote Hain, Jab Watane Azeez Aur Beroone Mulk Basne Waale Ghulaamanaane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ijtemaa’iy Taur Par Qarya Qarya, Nagar Nagar Durood-o-Salaam Kee Mahaafil Saja Kar Apne Imaan Kee Taajagi Aur Farhat Ka Saamaan Paida Karte Hain.
Du’aa Hai Ki Allah Ta’ala Apne Habib SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sadqe Is Amale Khayr Kee Waj’h Se Hamein Apni Baargaah Kee Barakaate Katheer Ata Farmaa’e Aur Hamein Sahih Ma’no’n Me Yeh Ibaadat Kar Ne Kee Taufique Ata Farmaa’e, Taa Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se, Hamaara Qalbi Wa Hubbi Ta’alluq Mazboot Se Mazboot Tar Ho Jaa’e! Aameen”

[Durood-o-Salam Aur Azamate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/37_38.]