Fasl-02 :
Haqiqate Iman Ka Bayan
10/10. “Imam Abd-us-Salam Bin Saaleh Abis-Salt Al Harawi Imam Ali Bin Moosa Arriza Se Woh Apne Waalid (Imam Moosa Raza) Se Woh Imam Ja’far Bin Muhammad Se Woh Apne Waaalid (Imam Muhammad Al Baaqar) Se Woh Imam Ali Bin Husayn Se Woh Apne Waalid (Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu) Se Woh (Apne Waalid) Hazrat ‘Ali Bin Aboo Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Iman Dil Se Pehchaan’ne, Zubaan Se Iqaraar Karne Aur Arkaan Par Amal Karne Ka Naam Hai. (Imam Ibn Majah Ke Shaikh) Imam Aboo Salt Harawi Farmate Hain Ki Agar Yeh Sanad (عَنْ عَلِيِّ بْنِ مُوْسَى الرِّضَا، عَنْ أَبِيْهِ، عَنْ جَعْفَرِ بْنِ مُحَمَّدٍ، عَنْ أَبِيْهِ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ الْ حُسَيْنِ، عَنْ أَبِيْهِ ، عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋنهما) Kisi Paagal Par Padh Kar Dam Kar Dee Jaa’e To Woh Thik Ho Jaa’e.”
رواه ابن ماجه والطبراني والبيهقي.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/25, Raqm-65,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/226, Raqm-2654,
08/262, Raqm-8580,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/47, Raqm-16,
Maruzi Ta’zeem Qadr-us-Salah, 02/742,
Suyooti Fi Sharh Sunan Ibn Majah, 01/08, Raqm-65,
Ibn Qayyim Hasiyah Ala Sunan Abi Dawud, 02/294,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-98, Raqm-10.]
11/11. “Hazrat Haaris Bin Malik Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Ek Martaba Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Paas Se Guzre To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Inhe’n Farmaya : Aye Haaris! Too Ne Kaise Sub’h Kee? Unhone ‘Arz Kiya : Mein Ne Sachche Momin Kee Tarah (Ya’ni Haqeeqate Iman Ke Saath) Sub’h Kee, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Yaqeena Har Ek Shay Kee Ko’i Na Ko’i Haqeeqat Hoti Hai, So Tumhare Iman Kee Haqeeqat Kya Hai? ‘Arz Kiya (Ya Rasool Allah ﷺ!) Mera Nafs Dunya Se Beraghbat Ho Gaya Hai Aur Isee Wajeh Se Apni Raato’n Me Bedaar Aur Din Me (Deedare Ilahi Kee Talab Me) Pyasa Rehta Hoo’n Aur Haalat Yeh Hai Goya Mein Apne Rabb Ke Arsh Ko Saamne Zaahir Dekh Raha Hoo’n Aur Ahle Jannat Ko Ek Doosre Se Milte Hu’e Dekh Raha Hoo’n Aur Dozakhiyo’n Ko Takleef Se Chillate Dekh Raha Hoo’n. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Haaris! Too Ne (Haqeeqate Iman Ko) Pehchan Liya. Ab (Is Se) Chimat Ja. Yeh Kalima Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Teen³ Baar Farmaya.”
رواه الطبراني والبيهقي وابن أبي شيبة.
“Aur Yahi Riwayat Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se In Alfaaz Ke Izaafe Ke Saath Marwi Hai : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Ne Haqeeqat Ko Paa Liya, Pas Is Haalat Ko Qaa’em Rakhna, Too Woh Momin Hai Jis Ke Dil Ko Allah Ta’ala Ne Noor Se Bhar Diya Hai.”(1)
رواه البيهقي وابن أبي شيبة.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/266, Raqm-3367,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/362, Raqm-10590, 10591,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/170, Raqm-30423,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/165, Raqm-445,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/57,
وقال : رواه البزار،
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/36.]
(1)
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/170, Raqm-30425,
Haythami Shu’ab-ul-Iman, 07/363, Raqm-10592,
Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/355, Raqm-973,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/106, Raqm-314,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/57,
وقال الهيثمى : رواه البزار.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-98, 99, 100, Raqm-11]
12/12. “Hazrat Amr Bin Jamooh RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Banda Us Waqt Tak Iman Kee Haqeeqat Ko Nahin Paa Sakta Jab Tak Ki Woh Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Naraz Aur Allah Ta’ala Ke Liye Hee (Kisi Se) Raazi Na Ho (Ya’ni Us Kee Raza Ka Markaz Wa Mahwar Faqat Khushnoodi-e Zaate Ilahi Ho Jaa’e) Aur Jab Is Ne Yeh Kaam Kar Liya To Us Ne Iman Kee Haqeeqat Ko Paa Liya, Aur Be Shak Mere Ahbaab Aur Awliya Woh Log Hain Ki Mera Zikr Karne Se Woh Yaad Aa Jaate Hain Aur Un Ka Zikr Karne Se Mein Yaad Aa Jaata Hoo’n. (Mere Zikr Se Un Kee Yaad Aa Jaati Hai Aur Un Ke Zikr Se Meri Yaad Aa Jaati Hai Ya’ni Mera Zikr Un Ka Zikr Hai Aur Un Ka Zikr Mera Zikr Hai).”
رواه أحمد والطبراني واللفظ له.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/430, Raqm-15634,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/203, Raqm-651,
Ibn Abi Dunya Kitab-ul-Awliya’, 01/15, Raqm-19,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/152, Raqm-7789,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/14, Raqm-4589,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/365,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/58,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-100, Raqm-12.]
13/13. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kisi Bande Ka Iman Us Waqt Tal Duroost Nahin Hota Jab Tak Us Ka Dil Duroost Na Ho Aur Dil Us Waqt Tak Duroost Nahin Hota Jab Tak Us Kee Zubaan Duroost Na Ho Jaa’e, Aur Ko’i Bhi Shakhs Us Waqt Tak Jannat Me Daakhil Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Us Ka Padausi Us Kee Aziyyat Se Mehfooz Naa Ho Jaa’e.”
رواه أحمد والبيهقي.
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/198, Raqm-13071,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/41, Raqm-08,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/62, Raqm-887,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/240, Raqm-3860,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/75,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/59,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/148,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-101, Raqm-13.]
14/14. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Teen³ Cheeze’n Akhlaaq Iman Me se Hain : Jab Kisi Ko Gussa Aa’e To Woh Gussa Use (Amal) Baatil Me Na Daal De, Aur Jab Ko’i Khush Ho To Woh Khushi Us Ke Haqq Se Nikaal Na De, Aur Woh Shakhs Jo Kudarat Rakhta Hai Magar Phir Bhi Woh Cheez Nahin Leta Jo Us Kee Nahin Hai.”
رواه الطبراني.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/114, Raqm-164,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/87, Raqm-2466,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/59,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/148,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-101, Raqm- 14.]