Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Shikam Mubarak Par Khelte They

Fasl : 27

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Shikam Mubarak Par Khelte They

 

90              “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Bargah Me Haazir Huwa To (Dekha Ki) Hasan Aur Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Shikam Mubarak Par Khel Rahe They, To Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Kya Aap In Se Mahabbat Karte Hain? To Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mein In Se Mahabbat Kyun Na Karun Haala’n Ki Yeh Dono’n Mere Phool Hain.”

[1-Bazzar Fi Al-Musnad, 03/287, Raqam-1079,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,

3-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/307,

Haythami Ne Is Ke Ruwaat Ko Sahih Qaraar Diya Hain.

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/80, Raqam-90.]

 

 

91              “Hazrat Anas Bin Maalik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Bargahe Aqdas Me Haazir Hota Ya (Farmaya) Aksar Awqaat Haazir Hota (Aur Dekhta Ki) Hasan Wa Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Shikam Mubarak Par Lot-Pot Ho Rahe Hote Aur Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Farma Rahe Hote : Yeh Dono’n Hee To Meri Ummat Ke Phool Hain.

[1-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/49, Raqam-8167,

2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/150, Raqam-8529,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/80, 81, Raqam-91.]