Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Aziyyat Se Sadmah

                   Hazrat Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sage Chacha They Chun Ki Jange Badr Me, Musalmano’n Ke Khilaaf Jang Me Shareek They Aur Ahle Makkah Kee Taraf Se Ladne Ke Liye Aaye They. Is Liye Ahle Makkah Kee Shikast Aur Musalmano’n Kee Numaaya Fat’h Ke Baa’d Jangi Qaidi Kee Haishiyyat Se Madinah Tayyibah Laaye Gaye Aur Doosre Qaidiyo’n Kee Tarah Unhein Bhi Rassiyo’n Se Jakad Diya Gaya. Woh Rassiyo’n Kee Aziyyat Se Saari Raat Karaahte Rahe, Naaz Wa Na’m Me Pale Huwe They, Naamwar Insaan They, Is Liye Qaid-o-Band Kee Su’oobatein Un Ke Liye Intihaayi Aziyyat Ka Sabab Ban Gayi’n, Sub’h Ka Waqt Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjid Me Tashrif Laaye Aur Farmaya :

Chacha Abbas Kee Takleef Aur Aziyyat Ke Khayaal Hamein Raat Bhar Neend Nahin Aayi, Jab Woh Karaahte They To Hamein Behad Sadmah Pahunchta Tha.

 

Sochne Kee Baat Yeh Hai Ki Us Waqt Hazrat Abbas Kaafir They, Abhi Tak Unhone Islam Kee Raushni Se Kaashaana-E-Dil Ko Munawwar Nahin Kiya Tha, Kufr Kee Taa’id Wa Himayat Me Islam Ke Khilaf Jang Karne Ke Liye Aaye They, Phir Jangi Qaidi Kee Haisiyyat Se Giriftaar Huwe Is Ke Baawajood Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Un Kee Aziyyat Ke Khayaal Se Takleef Mahsoos Farmaayi Aur Saari Raat Aankho’n Me Kaat Dee, Sirf Is Liye Ki Woh Nasabi Lihaaz Se Rishtedaar, Sage Chacha, Aur Apne Khandan Ke Aadami They. Sahaba-E-Kiram Se Farmaya : Munaasib Samjho To Fidyah Le Kar Unhein Aazaad Kar Do.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-50_51.]