Posted in 1 Pehla Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Markaze Khilafat Kee Koofah Me Muntaqili

                   Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Apne Daur Me Takhte Khilfat Madinah Tayyibah Se Muntaqil Kar Ke Koofah Me Qaa’im Kar Liya Tha. Is Kee Wajah Yeh Thi Ki Hazrat Amir Mu’awiyah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Daar-ul-Hukoomat Dimashq Tha Jo Ki Madinah Se Bahut Dur Aur Lambi Masaafat Par Tha. Is Qadar Dur Rah Kar Poori Khilafat Ke Intizam Wa Insiraam Me Dushwaari Hoti Thi Chunanche Is Dushwaari Aur Us Ilaaqe Me Bapa Hone Waali Musalsal Baghaawato’n Par Qaabu Paane Ke Peshe Nazar Aap Ne Daar-ul-Hukoomat Koofah Muntakhab Farmaya, Dar Hala’n Ki Hijaaz Aur Harmayn Ke Ilaaqe Par Amn They. Jab Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne  Apni Khilafat Ka Markaz Koofah Qaraar Diya To Woh Jo Khud Ko Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim (Hazrat Mawla Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Giroh) Kehlaane Waale They, Itraafe Aalam Se Simat-Simat Kar Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Qurb Ke Khayaal Se Koofah Me Jama’ Hone Lage Aur Kasrat Ke Saath Unhone Koofah Me Sakoonat Aur Riha’ish Ikhtiyaar Kee. Is Tarah Koofah Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Markaz Ban Gaya.

[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-11_12.]