Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 46

Hadith Number : 46

“Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Un Ke Paas Do² Baddu Jhagda Karte Hu’e Aa’e. Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Aye Aboo Al-Hasan! In Dono’n Ke Darmiyan Faisla Farma De’n. Pas Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Un Ke Darmiyan Faisla Kar Diya. Un Me Se Ek Ne Kaha Ki (Kya) Yahi Hamaare Darmiyan Faisla Karne Ke Li’e Rah Gaya Hai? (Is Par) Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Badhe Aur Us Ka Girebaan Pakad Kar Farmaya : Too Halaak Ho! Kya Too Jaanta Hai Ki Yeh Koun Hain? Yeh Mere Aur Har Momin Ke Mawla Hain (Aur) Jo In Ko Apna Mawla Na Maane Woh Momin Nahin.”

[1-Muhibb Tabari Ne Yeh Riwayat “Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba (Saf’h,/126)” Me Bayan Kee Hai Aur Kaha Hai Ki Use Ibn Samman Ne Apni Kitab “Al-Mawafaqah” Me Zikar Kiya Hai.

2-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/128.]