Isi Tarah Jange Uhad Me Jab Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chacha Hazrat Hamzah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Shaheed Ho Gaye Aur Un Ka Qatil Wahshi, Jo Ghair Muslim Tha, Woh Fat’h Makkah Ke Baa’d Islaam Le Aaya, Aur Kalimah Padh Kar Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sharafe Sahabiyyat Se Bahrah War Ho Gaya, Islaam Kehta Hai Ki Islaam Laane Se Pehle Kee Jitni Khataaein Ho’n, Jitne Gunaah Ho’n, Jitni Bhi Laghzishein Ho’n Woh Saari Kee Saari Mu’aaf Kar Dee Jaati Hain Lekin Chun Ki Yeh Wahshi Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chacha Ka Qaatil Tha, Aur Us Ne Bedardi Ke Saath Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Chacha Ko Qatl Kiya Tha, Musalman Ho Gaya Us Kee Khataaein Bargahe Mustafawi Kee Taraf Se Mu’aaf Kar Dee Gayi, Us Kee Laghzisho’n Par Qalam Afw Pher Diya Gaya, Haalate Kufr Ke Saare Mazalim Tauba Ke Paani Se Dho Diye Gaye, Lekin Is Ke Baawajood Us Wahshi Se Farmaate, Ki Teri Saari Khataaein Mu’aaf Ho Chuki Hain, Aur Too Sahaabi Ban Gaya Hai, Lekin Too Mere Saamne Aane Se Gurez Kiya Kar, Mere Saamne Se Na Guzra Kar, Ke Jab Too Meri Nigaaho’n Ke Saamne Aata Hai To Mujhe Apne Pyaare Chacha Kee Shahadat Ka Manzar Yaad Aa Jaata Hai, Woh Dukh Dard Ke Zakhm Hare Ho Jaate Hain Is Liye Mere Saamne Kam Aaya Kar.
Un Ke Dukh Ko Dukh Jaana Un Ke Dard Me Shareek Huwe Aur Un Kee Aziyyat Par Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Bhi Takleef Huwi Aur Taweel Waqt Guzar Jaane Ke Baawajood Jab Kabhi Woh Khayaal Aa Jaata To Dukh Dard Phir Taazah Ho Jaata. So! Huzoore Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Narm Dili Aur Aap Ke Qalbe Anwar Ke Gosha-E-Rahmat Ko Jaan Lene Ke Baa’d Ab Jab Hum Nawasa-E-Rasool Kee Us Be Dardi Ke Saath Shaheed Hone Ke Waaqi’e Ko Chashme Tasawwur Me Apne Saamne Laate Hain To Ma’an Yeh Khayaal Aata Hai Ki Woh Rasool Jo Haalate Kufr Me Apne Chacha Abbas Ke Karaahne Kee Takleef Gawaara Na Kar Sake, Woh Rasool Jo Apne Chacha Hamzah Ke Be Dardi Kee Haalat Me Shahadat Ke Dard Naak Manzar Ko Kabhi Na Bhula Sake, Us Rasoole Paak SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Takleef Aur Aziyyat Ka Aalam Kya Ho Gaya Jab Diyaare Ghair Me Be Basi Aur Be Kasi Ke Aalam Me, Imam Aali Maqaam, Jigar Gosha-E-Rasool Jinhein Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apne Kandho’n Ka Sawaar Banaaya, Jinhein Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Goud Me Khelaaya Tha, Jin Ko Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Zubaane Aqdas Choosaa’i Thi Aur Jin Ko Apne Dil Ka Tukda Qaraar Diya Tha Aur Kabhi Bhi Apni Aankho’n Se Juda Na Hone Diya Tha, Aap Kee Roohe Paak Ko Karbala Ke Tapte Huwe Sahra Me Dhaaye Gaye, Zulm-o-Sitam Se Kitna Sadmah Pahuncha Hoga?
Aur Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sadmah Aur Aziyyat Pahunchaana Koi Ma’mooli Jurm Nahin Jo Shakhs Yeh Harkat Karta Hai Khuda Ta’ala Us Ke Liye Dunya Wa Aakhirat Me Dardnaak ‘Azaab Aur Zillat Ko Muqaddar Kar Deta Hai. To Phir Kya Aalam Hoga Un Badbakhto’n Ke Anjaam Ka, Un Kee Aaqibat Aur Aakhirat Ka Jinhone Nawasa-E-Rasool Ko Aziyyat Pahunchaayi, Khanwada-E-Rasool Kee Tauheen Kee, Aur Regzaare Karbala Me Unhein Dhab’h Kiya. Un Ke Jismo’n Par Ghode Daudaaye, Un Ke Saro’n Ko Un Ke Mubarak Jismo’n Se Juda Kiya Andazah Keejiye Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Roohe Anwar Par Gumbade Khadra’ Ke Andar Kiya Qiyaamat Beeti Hogi?
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-51_52.]