(٢) بَابٌ فِي إِخْتِصَاصِ زِوَاجِهِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ بِسَيِّدَةِ نِسَاءِ أَهْلِ الْجَنَّةِ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا
Baab-02
Sayyida-E-Kaa’enaat Fatimat-uz-Zahra’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Shaadi Ka E’zaaz Paane Waale
12: “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujhe Hukm Diya Hai Ki Mein Fatimah Nikah Ali Se Karoo’n.”
Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/156, Al-Hadith Raqam-10305,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/204,
Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 02/215,
Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 01/174,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/17, Al-Hadith Raqam-12.]
13: “Hazrat Sa’iyd Bin Musayyab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Ummi Ayman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwaayat Karte Hain Unhone Kaha Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Apni Saahibzaadi Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Shaadi Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Kee Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Unhein Hukm Diya Ki Woh Fatimah Ke Paas Jaaein Yaha’n Tak Ki Woh Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Aa Ga’e (Yeh Hukm Is Liye Farmaaya Gaya Ki Yahoodiyo’n Kee Mukhaalefat Ho Kyoo’n Ki Yahoodiyo’n Kee Yeh Aadat Thi Ki Woh Shauhar Kee Apni Biwi Se Pehli Mulaaqaat Karaane Me Taakheer Karte They). Pas Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tashrif Laae Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Darwaaze Par Khade Ho Ga’e Aur Salaam Kiya Aur Andar Aane Kee Ijaazat Talab Farmaa’i Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ijaazat Dee Gayi, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Yaha’n Mera Bhaai Hai? To Ummi Ayman Ne Arz Kiya Ya RasoolAllah! Mere Maa’n Baap Aap Par Qurbaan Ho’n. Aap Ka Bhaai Kaun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mera Bhai Ali Bin Abi Talib Hai Phir Unhone Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Woh Ke Bhaai Kaise Ho Sakte Hain? Hala’n Ki Aap Ne Apni Saahibzaadi Ka Nikaah Un Ke Saath Kiya Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ummi Ayman! Woh Isi Tarah Hai. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Paani Ka Aik Bartan Mangwaaya Aur Us Me Apne Haath Mubaarak Dho’e Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Saamne Baith Ga’e Aur Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Us Paani Me Se Kuchh Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Seena Par Aur Kuchh Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Kandho’n Ke Darmiyaan Chhidka. Phir Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Bulaaya Pas Aap Ne Apne Kapdo’n Me Lipti Hu’i Aa’in, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Woh Paani Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Par Bhi Chhidka Phir Farmaya : Khuda Kee Qasam! Aye Fatimah! Mein Ne Tumhaari Shaadi Apne Khaandaan Me Se Behtareen Shakhs Ke Saath Kar Dee Hai Aur Tumhaare Haque Me Koi Taqseer Nahin Kee. Hazrat Ummi Ayman Farmaati Hain Ki Mujhe Hazrat Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Jahez Kee Zimma Daari Saunpi Gayi Pas Jo Cheezein Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Jahez Me Tayyaar Kee Gayi’n Un Me Aik Chamde Ka Takya Tha Jo Khajoor Kee Chaal Se Bhara Huwa Tha Aur Aik Bichhona Tha Jo Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Ghar Bichhaaya Gaya.”
Ise Ibn Sa’d Ne “At-Tabqat-il-Kubra” Riwaayat Kiya Hai.
–
[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 08/24,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/17_19, Al-Hadith Raqam-13.]
14: “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Masjid Me Tashrif Farma They Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya : Yeh Jibra’il Amin ‘Alayh-is-Salam Hain Jo Mujhe Khabar De Rahe Hain Ki Allah Ta’ala Ne Fatimah Se Tumhaari Shaadi Kar Dee Hai. Aur Tumhaare Nikaah Par (Malaa-E-Aa’la) Me Chaalis Hazaar Firishto’n Ko Gawaah Ke Taur Par Majlise Nikaah Me Sharik Kiya, Aur Shajaraha-E-Tooba Se Farmaya : Un Par Moti Aur Yaqoot Nichhaawar Karo, Phir Dilkash Aankhon Waali Hoorein Un Motiyo’n Aur Yaaqooto’n Se Thaal Bharne Lagi’n. Jinhein (Taqribe Nikaah Me Shirkat Karne Waale) Firishte Qiyamat Tak Aik Doosre Ko Bataure Taha’if Dete Rahenge.”
Is Hadith Ko Imam Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/146,
Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, : 72,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/19, 20, Al-Hadith Raqam-14.]
15: “Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mere Paas Aik Firishte Ne Aa Kar Arz Kiya : Aye Muhammad! Allah Ta’ala Ne Aap Pas Salam Bheja Hai Aur Farmaya Hai : Mein Ne Aap Kee Beti Fatimah Ka Nikaah Mala-E-Aala Me Ali Bin Abi Talib Se Kar Diya Hai, Pas Aap Zameen Par Bhi Fatimah Ka Nikaah Ali Se Kar De’n.”
Is Hadith Ko Muhibb Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muhibb-ud-Deen Ahmad At-Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/73,
Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/20, Al-Hadith Raqam-15.]