Posted in 3 Teesra Khitaab : Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me

Husayniyyat Zindabad Hai

Is Ke Bar-Aks Imam Husayne Pak RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Is Dunya Se Rukhsat Ho Gaye Is Daare Faani Ko Chhod Kar Chale Gaye Aur Qabr Me Tashrif Le Gaye Lekin Aaj Bhi Karodo’n Afraad Un Kee Yaad Me Aansoo Bahaane Waale, Apni Chaahato’n Ka Nadhranah Pesh Karne Waale Aur Un Kee Mad’h-o-Sitaa’ish Karne Waale Maujood Hain Jo Un Ke Kirdaar Ko Saraahte Hain Aur Yaqin Rakhte Hain Ki Imam Husayn Haque Parasto’n Ke Shahanshah Aur Haque Me Jaan Dene Waalo’n Ke Imam They Is Liye Deene Iman Ke Raaste Me Shaheed Hone Ke Baa’ith Woh Aaj Bhi Zinda Hain Aur Hamesha Zinda Rahenge Aur Un Ke Yaadein Isi Tarah Qaa’im Rahengi.

Qatle  Husayn   Asl   Me    Marge   Yazeed  Hai
Islam Zinda  Hota Hai  Har Karbala  Ke Baa’d


[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-67_68.]

۞    ۞    ۞
Posted in Baab-03 : Dhib’he ‘Azeem Kee Takmeel, Dhibhe 'Azeem

Dhib’he Azeem

Imame Aali Maqam Apna Saara Gharaana Allah Kee Raah Me Qurbaan Kar Chuke Hain. Islaam Kee Izzat-o-Hurmat Par Ali Asghar Jaise Ma’soom Farzand Kee Bhi Qurbaani De Chuke Hain. Apni Jaan Ka Nadharaana De Ke Tawheed-E-Ilaahi Kee Gawaahi De Chuke Hain, Aap Maqaame Sabr-o-Raza Par Istiqaamat Se Date Rahe, Qudsiyaane Falaq Mutahayyir Hain Ki Paikaraane Sabr-o-Raza Aise Bhi Hote Hain …………?

 

Imame Aali Maqam Ne Apne Naana Aur Abba Ke Khoon Aur Apni Ammi Ke Doodh Kee Laaj Rakh Lee, Husayn Kaamyaab Ho Gaye. Husayniyyat Zinda Ho Gayi. Waaqe’iy Yeh Khanwada Aur Is Ka Aali Waqaar Sarbaraah…….. Is Dhib’he Azeem Ka Sazaawaar Hai. Aaj Sayyidina Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Rooh Bhi Rashk Kar Rahi Thi Ki Yeh Sharaf Bhi Un Kee Nasl Ke Aik Farde Fareed ke Hisse Me Aaya. Husayn ‘Alayh-is-Salam Is Azeem Kaamyaabi Par Qudsiyaane Falaq Baashindagaane Kura-E-Arzi Ka Salaam Qubool Ho, Husayn Raahe Khuda Me Nadharana-E-Jaan Pesh Kar Ke Aur Mulukiyyat Aur Aamiriyyat Ke Andhero’n Me Apne Khoon Ke Charaagh Raushan Kar Ke Dhurriyyate Ibrahim Kee Muhaafizat Kee Alaamat Ban Gaye, Shahdate Uzma Ne Unhein Wilaayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Nishaana Bana Diya. Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Qiyaamat Tak Ke Liye Islam kee Hifaazat Ka Sutoon Ban Gaye.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/115.]