Ibn Ziyad Basrah Ka Governor Tha, Shi’ane Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Wa Husayn ‘Alayh-is-Salam Ka Zor Todne Ke Liye, Yazeed Ne Use Koofah Ka Bhi Governor Bana Diya Aur Hukm Naama Bhi Bheja Ki Fauran Koofah Pahunch Kar Waha’n Ke Haalaat Ko Qaabu Me Laao.
Jis Din Basrah Me Ibn Ziyad Ko Yazeed Ka Yeh Hukm Naama Mila, Usi Din Basrah Me Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Qaasid Bhi Aap Ka Khat Le Kar Waha’n Pahuncha Magar Woh Giriftar Kar Liya Gaya.
Ibn Ziyad Ne Logo’n Ko Mar’oob Wa Khaufzadah Karne Ke Liye Aik Jalsa-E-Aam Ka Ihtimam Kiya, Jab Log Ikatthe Ho Gaye To Garja !
Aye Logo’n ! Mujhe Pahchan Ne Kee Koshish Karo, Mein Khoonkhaar Saffaak Ka Beta Hoo’n, Aik Zaalim Wa Zaabir Aur Qatl-o-Ghaarat Se Daregh Na Karne Waale Ka Beta Hoo’n Mera Baap Saffaak Tha Aur Mein Bhi Saffaak Hoo’n Jo Shakhs Yazeed Kee Bay’at Aur Hukoomat Se Roogardaani Karega Aur Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Bay’at Karega Mein Us Ke Tukde Tukde Karunga. Us Ko Tabaah Wa Barbaad Kar Ke Rakh Dunga, Safha-E-Hasti Se Mita Dunga, Khabardar ! Sare Dast (Is Waqt) Mein Shahre Basrah Apne Bhaai Ke Supurd Kar Ke Jaa Raha Hoo’n Taa Ki Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ka Safaaya Kar Saku’n Aur Tumhein Tambeeh Kiye Jaa Raha Hoo’n Ki Yazeed Ke Bay’at Se Koi Shakhs Inkaar Na Kare Warna Us Ke Haque Me Achchha Nahin Hoga Phir Us Ne Us Qaasid Ko Bulaaya Jo Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Ka Khat Le Kar Aaya Tha, Majm’a-E-Aam Me Khade Ho Kar Talwaar Be-Niyaam Kar Ke Us Qaasid Ka Sar Qalam Kar Diya Aur Khud Koofah Kee Taraf Rawana Ho Gaya.
Jab Woh Koofah Pahuncha To Us Ke Paas Paanch Sau-500 Aadmiyo’n Ka Lashkar Tha Qaadisiyah Ke Maqam Par Baaqi Logo’n Ko Chhod Kar Sau-100 Afraad Ko Saath Liya, Aur Apna Libaas Utaar Kar Hijaazi Libaas Pahna Chehrah Kapde Me Chhupa Liya, Taa Ki Logo’n Ko Mughaalatah Ho Ki Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aa Gaye Hain Phir Woh Maghrib Aur Isha’ Ke Darmiyan Koofah Me Daakhil Huwa To Us Waqt Log Us Chashm-o-Chiraagh Khanwada-E-Nubuwwat Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Aamad Ke Muntazar They Aur Hasrat Bhari Nigaaho’n Se Un Kee Raah Dekh Rahe They. Jab Shaam Ke Andhere Me Ubaydullah Ibn Ziyad Chehre Par Kapda Daale Aaya To Log Ghalat Fahmi Ka Shikaar Ho Gaye Unhone Samjha Ki Shaayad Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aa Gaye Hain Woh Jauq Dar Jauq Us Ke Paas Aane Lage Koofah Ke Gali Koocho’n Me Aawaazein Buland Huwi Marhaban Bikum, As-Salamu Alayka Ya Ibn Rasool! Aye Rasoole Paak Ke Pyaare Bete Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aap Kee Aamad Mubarak Ho! Har Taraf Shor-o-Ghul Bapa Ho Gaya Hatta Ki Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bhi Samajha Ki Imam Husayn ‘Alayh-is-Salam Aa Gaye Hain Nu’man Ko Yeh Pata Chal Chuka Tha Ki Yazeed Un Ke Qatl Ke Dar Pe Ho Chuka Hai Aur Haalaat Na-Saazgaar Ho Gaye Hain Aur Koofiyo’n Kee Haalat Ka Bhi Unhein Ilm Tha Jab Ubaydullah Ibn Ziyad Sidha Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Mahal Par Pahuncha To Aap Ne Qal’ah Ka Darwazah Band Kar Liya Aur Oopar Se Aawaaz Dee Aye Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma! Tujh Par Salam Ho Raat Ka Waqt Hai Meri Fauj Qal’ah Ke Andar Hai Mujhe Haalaat Kee Na-Saazgaari Ka Ilm Hai, Aap Khudaara Koofah Chhod Kar Madinah Chale Jaaein Yaha’n Ke Haalaat Saazgaar Nahin Hain, Logo’n Ke Dil Aap Ke Saath Hain Lekin Talwaaarein Yazeed Ke Saath Hain. Aur Mein Yeh Nahin Chaahta Ki Meri Hukoomat Me Aap Ka Sare Aqdas Qalam Ho Jaaye Aap Khaamoshi Se Waapas Chale Jaa’iye.
Ibn Ziyad Ne Hazrat Nu’man RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Yeh Baat Suni To Jal Bhun Gaya Kyun Ki Us Me Se Boo-E-Wafa Aa Rahi Thi Garaj Kar Bola ! Darwazah Kholo “Mein Ibn Ziyad Hoo’n”
Hazrat Nu’man Bin Bashir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Darwazah Khol Diya, Us Ne Aate Hee Uhde Ka Charge Le Kar Hazrat Nu’man RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Ma’zool Kar Diya Aur Usi Waqt Apne Jasooso’n Ko Hukm Diya Ki Shahr Me Phail Jaao Aur Jaha’n Muslim Bin Aqil RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Panaah Guzi’n Ho Un Ko Giriftaar Kar Ke Le Aao.
–
[Shahadate Imame Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Haqa’iq Wa Waqe’at Kee Raushni Me, Safha-23_24.]