Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-01 : ﴾Iman, Islam Aur Ehsan﴿

Iman Ka Bayan

Fasl-01 :

Iman Ka Bayan

01/01.       “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Iman Kee Sattar Se Kuchh Ziyaada Shaakhein Hain Jin Me Sab Se Afzal (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) (Ya’ni Wahdaniyate Ilahi) Ka Iqrar Karna Hai, In Me Sab Se Nichla Darja Kisi Takleef Waali Cheez Ka Raaste Se Door Kar Dena Hai, Aur Haya Bhi Iman Kee Ek (Aham) Shaakh Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/12, Raqm-09,

Muslim Fi As-Sahih, 01/63, Raqm-35,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/10, Raqm-2614,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/219, Raqm-4676,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/110, Raqm-5005,

Ibn Majah Fi As-Sunan, Al-Muqaddimah, 01/22, 57.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-91, Raqm-01.]

02/02.       “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Jis Shakhs Me Teen³ Khaslatein Ho, Ki Woh Iman Kee Mithaas (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Islam Kee Mithaas) Ko Paa Lega Allah ‘Azza Wa Jalla Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Use Baaqi Tamam Cheezo’n Se Ziyaada Mahboob Ho, Jis Shakhs Se Bhi Use Mahabbat Ho Woh Mahz Allah ‘Azza Wa Jalla Kee Wajah Se Ho, Kufr Se Nijaat Paane Ke Baa’d Dobaara (Haalate) Kufr Me Lautne Ko Woh Isee Tarah Napasand Karta Ho Jaise Woh Khud Ko Aag Me Phainka Jaana Napasand Karta Ho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/14, Raqm-16,

Bukhari Fi As-Sahih, 01/16, Raqm-21,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2546,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2246, Raqm-5694,

Muslim Fi As-Sahih, 01/66, Raqm-43,

Tirmidhi Fi As-Sunan, Kitab : Al-Iman An RasoolAllah ﷺ , Bab : (10),

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/94, Raqm-4987,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/96, Raqm-4988,

Nasa’i Fi As-Sunan, 08/97, Raqm-4989,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/13338, Raqm-4033,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/103, Raqm-12021,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/194, Raqm-2813,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/474, Raqm-238,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/164, Raqm-30360,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-91, 92, Raqm-02.]

03/03.       “Hazrat Sufyan Bin ‘Abd Allah Saqafi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Islam Ke Muta’alliq Mujhe Ko’i Aisee Baat Bata De Ki Phir Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Baa’d (Aur Aboo Usaama Se Marwi Riwayat Mein Hain Ki ‘Arz Kiya, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Siwa) Use Kisi Aur Se Daryaaft Naa Karoo’n. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kaho! Mein Allah Ta’ala Par Iman Laaya, Phir Us Par Pukhtagi Se Qayam Raho.”

رواه مسلم.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/65, Raqm-38,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/458, Raqm-11489,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/413,

Darami Fi As-Sunan, 02/386, Raqm-2710,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 03/222, Raqm-1584,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/286, Raqm-140,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/15, Raqm-21,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-92, 93, Raqm-03.]

04/04.       “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Ko’i Momin Nahin Ho Sakta, Jab Tak Mein Us Ke Waalid (Ya’ni Waaledain), Us Kee Aulaad Aur Tamam Logo’n Se Mehboob Tar Na Ho Jaoo’n.”

Muttafaque ‘Alayh

“Aur Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! (Is Ke Baa’d Saabiqa Alfaze Hadith Hain.)(1)

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/14, Raqm-15,

Muslim Fi As-Sahih, 01/67, Raqm-44,

(01) Bukhari Fi As-Sahih, 01/14, Raqm-14,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-93, Raqm-04.]

05/05.       “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ko’i Banda Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Ki Mein Us Ke Nazdeek Us Ke Ghar Waalo’n, Us Ke Maal Aur Tamam Logo’n Se Mahboob Tar Na Ho Jaoo’n.”

رواه مسلم.

[Muslim Fi As-Sahih, 01/67, Raqm-44,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/162, Raqm-21480,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/06, Raqm-3895,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/129, Raqm-1375,

Ibn Hayyan Fi Al-Azamah, 05/1780, Raqm-2824,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/53, Raqm-6169,

Ibn Mansoor Fi Kitab Al-Sunan, 02/204, Raqm-2443,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-93, 94, Raqm-05.]

 06/06.     “Hazrat ‘Abd Allah Bin Hisham RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath They Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Haath Pakada Hua Tha. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Aap Mujhe Apni Jaan Ke Siwa Har Cheez Se Ziyaada Mahboob Hain, Is Par Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya, Nahin, Qasam Hai Us Jaat Kee Jis Ke Qabza-e Qudrat Me Meri Jaan Hai! Jab Tak Mein Tumhe’n Apni Jaan Se Bhi Mahboob Tar Na Ho Jaoo’n (Tum Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakte). Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Allah Rabbul ‘Izzat Kee Qasam, Ab Aap Mujhe Apni Jaan Se Bhi Ziyaada Mahboob Hain, Chunanche Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya, Aye Umar! Ab (Tumhara Iman Kaamil Hua) Hai.”

رواه البخاري.

[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2445, Raqm-6257,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-94, 95, Raqm-06.]

07/07.       “Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Allah Ta’ala Ke Liye Mahabbat Kee, Allah Ta’ala Ke Liye Adaawat Rakhee, Allah Ta’ala Ke Liye Diya Aur Allah Ta’ala Ke Liye Dene Se Haath Rok Liya, Pas Us Ne Apna Iman Mukammal Kar Liya Hai.”

رواه أبو داود والحاكم.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Abooo Dawud As-Sunan, 04/220, Raqm-4681,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/178, Raqm-2694,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/41, Raqm-9083,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-95, Raqm-07.]

08/08.       “Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe Ufair Naami Gadhe Par Sawaar Tha Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Mu’az! Kya Tumheim Ma’loom Hai Bando’n Par Allah Ta’ala Ka Kya Haqq Hai, Aur Allah Ta’ala Ka Bando’n Par Kya Haqq Hai?
Mein Ne ‘Arz Kiya : Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Behtar Jaante Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bando’n Par Allah Ta’ala Ka Haqq Yeh Hai Ki Woh Sirf Usee Kee Ibadat Kare Aur Us Ke Saath Kisi Ko Shareek Na Banaye, Aur Allah Ta’ala Par Bando’n Ka Haqq Yeh Hai Ki Jo Shakhs Shirk Na Kare Woh Use ‘Azaab Na De. Mein Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Kya Mein Yeh Khush-Khabari Logo’n Ko Tak Na Pahonchaoo’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin. Unhe’n Yeh Khush-Khabari Mat Do Ki Phir Woh Usee Par Bharosa Kar Baith Raheinge (Aur Amal Me Kotahi Karenge).”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 03/1049, Raqm-2701,

Bukhari Fi As-Sahih, 5/2224, Raqm-5622,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2312, Raqm-5912,

Bukhari Fi As-Sahih, 05/2384, Raqm-6135,

Bukhari Fi As-Sahih, 06/2685, Raqm-2938,

Muslim Fi As-Sahih,01/58, 59, Raqm-30,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/26, Raqm-2643,

وقال أبو عيسى : هذا حديث حسن صحيح.

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1435, Raqm-4296,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 03/443, Raqm-5877,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-95, 96, Raqm-08.]

09/09.       “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Mouke Par Jab Ki Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Sawaari Par Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Peechhe Sawwar They, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne (Hazrat Mu’az Se) Farmaya : Aye Mu’az Bin Jabal! Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mein Hajir Hoo’n. Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kehte Hain Ki Teen Baar Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Mu’az Ko Mukhatib Kiya Aur Har Martaba Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yahi Alfaz Dohraye. Teesari Martaba Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya, Jo Ko’i Sachche Dil Se Is Baat Kee Shahadat De Ki Allah Ta’ala Ke Siwa Ko’i Ma’bood Nahin Aur Muhammad Mustafa ﷺ Allah Ta’ala Ke Rasool Hain, Allah Ta’ala Us Par Dozakh Kee Aag Haram Kar Dega. Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne ‘Arz Kiya : Ya Rasool Allah ﷺ! Kya Mein Is Baat Se Logo’n Ko Muttala Na Kar Doo’n Kee Woh Khush Ho Jaa’e’n? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Nahin! Agar Tum Unhe’n Yeh Baat Bata Doge To Woh Isi Par Bharosa Kar Ke Baith Raheinge (Aur Amal Me Kotaahi Karenge) Chunanche Hazrat Mu’az RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yeh Hadith Apne Intiqal Ke Waqt Bayan Kee Taaki Hadith Bayan Naa Karne Kee Wajah Se Gunahgar Na Ho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/59, Raqm-128,

Muslim Fi As-Sahih, 01/61, Raqm-32,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/147, Raqm-125,

Lalaka’i Fi I’tiqad Ahl As-Sunnah,, 04/841, Raqm-1564,

Ibn Mandah Fi Al-Iman, 01/234, Raqm-93,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/266, Raqm-2344,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-96, 97, Raqm-09.]