Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Zameen Par Mu’ashi Adal Ka Woh Nizam Naafiz Farma’enge Ki Ahle Arz-o Sama’ Sab Khush Honge

Teesri Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Zameen Par Mu’ashi Adal Ka Woh Nizam Naafiz Farma’enge Ki Ahle Arz-o Sama’ Sab Khush Honge

١.       عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه قال قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم المهدي مني اجلي الجبهة اقني الانف يملأ الارض قسطا و عدلا کما ملئت ظلما و جورا و يملک سبع سنين.

01.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Mahdi Mujh Se Honge (Ya’ni Meri Nasl Se Honge) Un Ka Chehra Khoob Nooraani, Chamakdaar Aur Naak Sutwaa’n Wa Buland Hogi. Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Denge, Jis Tarh Pehle Woh Zulm-o Jor Se Bhari Hogi. (Matlab Yeh Hai Ki Mahdi Kee Khilaafat Se Pehle Dunya Me Zulm-o Ziyaadati Kee Hukmaraani Hogi Aur Adal-o Insaaf Ka Naam-o Nishaan Tak Na Hoga.)

[Aboo Dawud, Al-Sunan, 04 : 107, Raqm : 4285,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 27.]

٢.      عن ابي سعيد نالخدري رضي الله عنه ان رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم قال تملأ الارض جورا و ظلما فيخرج رجل من عترتي فيملک سبعا او تسعا فيملأ الأرض عدلا و قسطا کما ملئت جورا و ظلما.

قال ابو عبداﷲ هذا حديث صحيح علي شرط مسلم ولم يخرجاه

02.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya (Aakhiri Zamaana Me) Zameen Jor-o Zulm Se Bhar Jaa’egi To Meri Aulaad Se Ek Shakhs Paida Hoga Aur Saat Saal Ya Nau Saal Khilaafat Karega (Aur Apne Zamaana-e Khilaafat Me) Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Bhar Dega Jis Tarh Us Se Pehle Woh Jor-o Zulm Se Bhar Ga’i Hogi.

[Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 03 : 70, Raqm : 11683,

Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 601, Raqm : 8674,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 27_28.]

٣.      عن ابي سعيد رضي الله عنه قال ذکر رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم بلاء يصيب هذه الامة حتي لا يجد الرجل ملجأ يلجأ اليه من الظلم فيبعث اﷲ رجلا من عترتي و اهل بيتي فيملأ به الارض قسطا کما ملئت ظلما و جورا يرضي عنه ساکن السماء و ساکن الارض لاتدع السماء من قطرها شيئا الا صبته مدرارا ولا تدع الارض من ماء ها شيئا الا اخرجته حتي تتمني الاحياء الاموات يعيش في ذالک سبع سنين او ثمان سنين او تسع سنين.

03.      Hazrat Aboo Sa’id Khudri RadiyAllahu ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Badi Aazma’ish Ka Zikr Farmaya Jo Is Ummat Ko Pesh Aane Waali Hai. Ek Zamaane Me Itna Shadeed Zulm Hoga Ki Kahi’n Panaah Kee Jagah Na Milegi. Us Waqt Allah Ta’ala Meri Aulaad Me Ek Shakhs Ko Paida Farma’ega Jo Zameen Ko Adal-o Insaaf Se Phir Waisa Hee Bhar Dega Jaisa Woh Pehle Julm-o Jor Se Bhar Chuki Hogi. Zameen Aur Aasmaan Ke Rehne Waale Sab Un Se Raazi Honge, Aasmaan Apni Tamaam Baarish Mooslaadhaar Barsaa’ega Aur Zameen Apni Sab Paidaawaar Nikaal Kar Rakh Degi Yaha’n Tak Ki Zinda Logo’n Ko Tamanna Hogi Ki Un Se Pehle Jo Log Tangi-o Zulm Kee Haalat Me Guzar Ga’e Hain Kaash Woh Is Samaa’n Ko Dekhte Isi Barkat Ke Haal Par Woh Saat Ya Aath Ya Nau Saal Tak Zinda Rahenge.

[Hakim, Al-Mustadrak, 04 : 512, Raqm : 8438,

Ma’mar Bin Rashid Al-Azdi, Al-Jami’, 11 : 371,

Nu’aym Bin Hammad, Al-Fitan, 01 : 258, Raqm : 1038,

Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1049, Raqm : 564,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 28.]

٤.      عن ابن مسعود رضي الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : لو لم يبق من الدنيا إلا ليلة لطول اﷲ تلک ليلة حتي يملک رجل من أهل بيتي يواطي، اسمه اسمي وا سم أبيه اسم أبي، يملؤها قسطا وعدلا کما ملئت ظلماً و جوراً، ويقسم المال بالسوية، ويجعل اﷲ الغني في قلوب هذه الأمة، فيمکث سبعا أو تسعا، ثم لا خير في عيش الحياة بعد المهدي.

04.       Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaaya “Agar Dunya (Ke Zamaana) Me Sirf Ek Raat Hee Baaqi Rah Ga’i To Bhi Allah Rabbul Izzat Us Raat Ko  Lamba Farma Dega Yahaa’n Tak Ki Meri Ahle Bayt Me Se Ek Shakhs Baadshaah Banega Jis Ka Naam Mere Naam Aur Jis Ke Waalid Ka Naam Mere Waalid Ke Naam Jaisa Hoga. Woh Zameen Ko Insaaf Aur Adal Se Labrez Kar Denge Jis Tarh Woh Zulm-o Ziyaadati Se Bhati Hu’i Thi Aur Woh Maal Ko Baraabar Taqsim Karenge Aur Allah Rabbul Izzat Is Ummat Ke Dilo’n Me Ghina Rakh(Paida Farma) Dega. Woh Saat Ya Nau Saal (Tashrif Farma) Rahenge. Phir Mahdi Ke (Zamaane Ke) Ba’d Zindagi Me Ko’i Khair (Bhalaa’i) Baaqi Nahin Rahegi.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 64,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 10 : 133, Raqm : 10612,

Tabarani, Al-Mu’jam Al-Kabir, 10 : 135, 1034,

Aboo Amr Al-Dani, Al-Sunan Al-Waridah Fi Al-Fitan, 05 : 1055, Raqm : 572,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 29.]