Posted in Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Itaa’at Waajib Aur Takzib Kufr Hogi

Daswi’n Fasl

Imam Mahdi ‘Alayh-is-Salam Kee Itaa’at Waajib Aur Takzib Kufr Hogi

١.       عن شهر بن حوشب رضی الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : في المحرم ينادي من السماء : ألا إن صفوة اﷲ فلان، فاسمعوا له وأطيعوا، في سنة الصوت والمعمة.

01.        Hazrat Shahr Bin Hawshab RadiyAllahu ‘Anhu SeRiwayat Hai. Unhone Farmaya Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaad Farmaaya “Muharram (Ke Mahine) Me Aawaaz Dene Waala Aasmaan Se Aawaaz Dega. Khabardaar (Aagaah Ho Jaa’o) Be-Shak Fulaa’n Banda Allah Rabb-ul-Izzat Ka Chuna Hu’a (Muntakhab Karda) Shakhs Hai. Pas Tum Un Kee Baat Suno Aur Un Kee Itaa’at Karo.

[Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 226, Raqm :  630,

Nu’aym Bin Hammadm, Al-Fitan, 01 : 338, Raqm :  980,

Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 76,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 58.]

٢.      عن جابر بن عبداﷲ رضي الله عنه قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : من کذب بالدجال فقد کفر، ومن کذب بالمهدي فقد کفر.

02.        Hazrat Jabir Bin Abd Allah RadiyAllahu ‘Anhu Se Riwaayat Hai Unhone Farmaya Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Irshaaf Farmaaya Ki Jis Shakhs Ne Dajjaal (Ke Aane) Ka Inkaar Kiya Yaqinan Us Ne Kufr (Ka Irtekaab) Kiya. Aur Jis Ne (Imam) Mahdi (Ke Tashrif Laane) Ka Inkar Kiya Yaqinan Us Ne (Bhi) Kufr Kiya.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 73,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 58.]

٣.      عن ابن عمررضي اﷲ عنهما قال : قال رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم : يخرج المهدي و علي رأسه عمامة، فيأتي مناد ينادي : هذا المهدي خليفة اﷲ فاتبعوه.

03.        Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu ‘Anhuma Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki RasoolAllah SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Imam Mahdi Tashrif Laa’enge Aur Un Ke Sar Par Imama Hoga. Pas Ek Munaadi Yeh Aawaaz Buland Karte Hu’e Aa’ega Ki Yeh Mahdi Hain Jo Allah Ke Khalifa Hain. So Tum Un Kee Itteba’-o Pairawi Karo.

[Suyooti, Al-Hawi Lil-Fatawi, 02 : 61,

Tabarani, Al-Musnad Al-Shamiyyin, 02 : 71, Raqm :  937,

Daylami, Musnad Al-Firdaws, 05 : 510, Raqm : 8920,

Tahir-ul-Qadri, Al-Qawl-ul-Mu‘tabar Fi Al-Imam-il-Muntazar, : 59.]