Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 18

18.                   “Hazrat Aboo Humayd Al-Sa’iydi Ya Aboo Usayd Al-Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Daakhil Ho To Use Chaahiye Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Salaam Bheje Phir Kahe: Aye Allah! Mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De Aur Jab Masjid Se Baahar Nikle To Kahe: Aye Allah! Main Tujh Se Tera Fadl Maangta Hoo’n.”

          Is Hadith Ko Imam Aboo Dawud, Ibn Majah Aur Darimi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Aboo Hatim Razi Ne Bayaan Kiya Ki Imam Aboo Zur’ah Ne Farmaya: Hazrat Aboo Humayd Aur Aboo Usayd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Dono’n Se Marwi Riwayat Sahih Tar Hoti Hain. Aur Imam Munawi Ne Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Daakhil Ho To Use Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Salaam Ko Mahboob, Zaroori Aur Laazim Samajhte Huwe Arz Karna Chaahiye Kyun Ki Masaajid Zikr Kar Ne Kee Jagah Hain Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Salam Arz Karna Bhi Zikre Ilaahi Hee Hai.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/126, Raqm-465,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/254, Raqm-772,

Darimi Fi As-Sunan, 01/377, Raqm-1394,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 05/397, Raqm-2048,

Razi Fi ‘Ilal Al-Hadith, 01/178, Raqm-509,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/38, 39, Raqm-18.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 20

20.                   “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Jab Tum Me Se Koi Masjid Me Daakhil Ho To Use Chaahiye Ki Woh Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Salam Arz Kare Aur (Is Ke Baa’d) Yeh Kehe: Aye Allah! Mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaaze Khol De. Aur Jab Masjid Se Baahar Nikle To Tab Bhi Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Khidmat Me Salaam Arz Kare Aur (Is Ke Baa’d) Kahe: Aye Mere Allah! Mujhe Shaytaan Mardood Se Bacha.”

                   “Aur Ek Riwaayat Ke Mutaabiq Farmaya: Use Chaahiye Ki Woh (Salaam Arz Karne Ke Baa’d) Kahe: Aye Allah! Mujhe Shaytaan Mardood Se Dur Rakkh.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn Majah, Nasa’i Aur Bukhari Ne ‘At-Tarikh Al-Kabir” Me Riwaayat Kiya Hai. Aur Imam Hakim Ne Farmaya: Yeh Hadith Imam Bukhari Aur Muslim Kee Shara’it Par Sahih Hai. Imam Kinani Ne Farmaya: Is Hadith Kee Sanad Sahih Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/254, Raqm-773,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/27, Raqm-9918,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 01/159, Raqm-470,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/325, Raqm-747,

Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/97, Raqm-293,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/42_44, Raqm-20.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 22

22.                  “Ek Riwaayat Me Hazrat Alqamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Jab Woh Masjid Me Daakhil Hote They, To Kehte They: “اَلسَّلَامُ عَلَيْکَ أَيُهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اﷲِ وَبَرَکَاتُهُ صَلَّی اﷲُ وَمَـلَاءِکَتُهُ عَلٰی مُحَمَّدٍ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ” (Aye Nabiyye Mohtashim! Aap Par Salaamati Ho Aur Allah Ta’ala Kee Rahmat Aur Barkaat Ho’n, (Hamesha) Allah Ta’ala Kee Taraf Se Rahmat Aur Us Ke Firishto’n Kee Taraf Se Bhi Muhammad Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Wa Barakaat Ho’n.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqm-3417,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/44, 45, Raqm-22.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 23

23.                   “Ek Riwaayat Me Hazrat Ibrahim RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Marwi Hai Ki Jab Woh Masjid Me Daakhil Hote To Kehte: بِسْمِ اﷲِ وَالصَّـلَاةُ عَلٰی رَسُوْلِ اﷲِ (Allah Ta’ala Ke Naam Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Par Durood Bhejne Ke Saath (Main Is Masjid Me Daakhil Hota Hoo’n). Aur Jab Kisi Aise Ghar Me Daakhil Hote Jis Me Koi Bhi Na Hota To Kehte: اَلسَّلَامُ عَلَيْکُمْ (Aap Par Salaamati Ho).”

          Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 01/298, Raqm-3418,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/44_46, Raqm-23.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 24

24.                   “Hazrat Abd-ir-Rahman Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayaan Karte Hain Ki Hum Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath They Ki Un Ka Paao’n Sun Ho Gaya To Main Ne Un Se Arz Kiya L Aye Aboo Abd-ur-Rahman! Aap Ke Paao’n Ko Kya Huwa Hai? Unhone Farmaya: Yaha’n Se Mere Putthe Kheench Ga’e Hain To Main Ne Arz Kiya: Tamaam Logo’n Me Se Jo Hasti Aap Ko Sab Se Ziyaada Mahboob Ho Us Ka Zikr Karen To Unhone Ya Muhammad(SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam)! Ka Na’ra Buland Kiya (Raawi Bayan Karte Hain Ki) Usi Waqt Un Ke A’saab Khul Ga’e.”

          Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne “Al-Adab-ul-Mufrad” Me Aur Ibn Abi As-Sunni Ne Mazkoora Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqm-964,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqm-2539,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqm-168­­,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/46, 47, Raqm-24.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 25

25.                  “Ek Riwaayat Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai, Woh Bayaan Karte Hain Ki Main Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Saath Chal Raha Tha Ki Un Kee Taang Sun Ho Ga’i Aur Woh Baith Ga’e, Phir Unhen Kisi Ne Kaha Ki Logo’n Me Se Jo Aap Ko Sab Se Ziyaada Mahboob Hai, Us Ka Zikr Karo. To Unhone Kaha: Ya Muhammadah! (Aye Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam!) Un Ka Yeh Kehna Tha Ki Woh (Theek Ho Ga’e Aur) Uth Kar Chalne Lage.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqm-964,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqm-2539,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqm-169,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/47, Raqm-25.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 26

26.                  “Ek Riwaayat Me Hai Ki Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Paas Baithe Kisi Shakhs Kee Taang Sun Ho Ga’i To Unhone Us Shakhs Se Farmaya: Logo’n Me Se Jo Tumhen Sab Se Ziyaada Mahboob Hai, Us Ka Zikr Karo, To Us Shakhs Ne Ya Muhammad (SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam) Ka Na’ra Lagaaya To Usi Waqt Us Ke Paao’n Ka Sun Hona Jaata Raha.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqm-964,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqm-2539,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqm-170,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/47, 48, Raqm-26.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 27

27.                  “Ek Riwaayat me Hazrat Haytham Bin Hanash RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai, Unhone Bayaan Kiya Ki Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ke Paas They Ki Ek Aadami Kee Taang Sun Ho Ga’i, To Us Se Kisi Shakhs Ne Kaha: Logo’n Me Se Jo Shakhs Tujhe Sab Se Ziyaada Mahboob Hai, Us Ka Zikr Kar, To Us Ne Kaha: Ya Muhammad SallAllahu ‘Alayka Wa Sallam. Raawi Bayaan Karte Hain: Pas Woh Shakhs Yoo’n Uth Khada Huwa Goya Baandhi Hu’i Rassi Se Aazaad Ho Kar Musta’id Ho Gaya Ho.”

          Is Hadith Ko Imam Ibn As-Sunni Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad,/335, Raqm-964,

Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/369, Raqm-2539,

Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 04/154,

Ibn Sunni Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa Al-Laylah,/141, 142, Raqm-172,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/48, Raqm-27.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 28

28.                  “Hazrat Aboo Umamah Bin Sahl Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Chacha Hazrat Uthman Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Karte Hain Ki Ek Shakhs Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Kisi Zaroorat Se Aata Raha Lekin Hazrat Uthman  RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Us Kee Taraf Mutawajjeh Na Hote They Aur Us Kee Haajat Par Ghaur Na Farmaate They. Woh Shakhs (Uthman) Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Mila Aur Un Se Apne Mas’ala Kee Baabat Shikaayat Kee. Uthman Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Us Se Kaha: Lota Laao Aur Wuzoo Karo, Us Ke Baa’d Masjid Me Aa Kar Do Rak’at Namaaz Padho, Phir(Yeh Du’aa) Padho: Aye Allah! Main Aap Se Sawaal Karta Hoo’n Aur Aap Kee Taraf Apne Nabi Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Nabiyye Rahmat Ke Waseele Se Mutawajjeh Hota Hoo’n, Ya Muhammad! Main Aap Ke Waseele Se Apne Rabb Kee Taraf Mutawajjeh Hota Hoo’n Ki Woh Meri Yeh Haajat Poori Farma De. Aur Phir Apni Haajat Ko Yaad Karo. (Aur Yeh Du’aa Padh Kar Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Jaao) Yaha’n Tak Ki Main Bhi Tumhaare Saath Aa Jaa’un. Pas Woh Aadami Gaya Aur Us Ne Wahi Kiya Jo Use Kaha Gaya Tha. Phir Woh Hazrat Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Darwaaze Par Aaya To Darbaan Ne Us Ka Haath Thaama Aur Hazrat Uthmaan Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Le Gaya. Hazrat Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Use Apne Paas Chataa’i Par Bithaaya Aur Puchha: Teri Kya Haajat Hai? To Us Ne Apni Haajat Bayaan Kee Aur Unhone Use Pura Kar Diya. Phir Unhone Us Se Kaha: Too Ne Apni Is Haajat Ke Baare Me Aaj Tak Bataaya Kyun Nahin? Aa’inda Tumhaari Jo Bhi Zaroorat Ho Mujhe Bayaan Karo. Phir Woh Aadami Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Se Chala Gaya Aur Hazrat Uthman Bin Hunayf Se Mila Aur Un Se Kaha: Allah Ta’ala Aap Ko Jaza’e Khayr Ata Farmaae, Agar Aap Mere Mas’ale Ke Baare Me Hazrat Uthman Se Baat Na Karte To Woh Meri Haajat Par Ghaur Karte Na Meri Taraf Mutawajjeh Hote. Hazrat Uthman Bin Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha: Bakhuda Main Ne Un Se Tumhaare Baare Me Baat Nahin Kee. Balki Main Ne Allah Ta’ala Ke Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Dekha Ki Ek Naabina Aadami Aaya Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Apni Binaa’i Khatm Ho Jaane Ka Shikwa Kiya, SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Us Se Farmaya: Too Sabr Kar. Us Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Mera Koi Khaadimm Nahin Aur Mujhe Bohat Takleef Hoti Hai. To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Lota Le Kar Aao Aur Wuzoo Karo (Aur Use Yahi Amal Talqeen Farmaya), Hazrat Ibn Hunayf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha: Khuda Kee Qasam! Hum Log Na To Abhi Majlis Se Dur Huwe Aur Na Hee Hamaare Darmiyaan Lambi Guftagu Hu’i, Hatta Ki Woh Aadami Hamaare Paas (Is Haalat Me) Aaya Ki Goya Use Kabhi Andhaapan Tha Hee Nahin.”

          Is Hadith Ko Imam Tabarani Aur Bayhaqi Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Mundhiri Ne Farmaya: Yeh Hadith Sahih Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/30, Raqm-8311,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/306, Raqm-508,

Tabarani Fi Ad-Du’a’,/320, Raqm-1050,

Bayhaqi Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 06/167,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/23, 274, Raqm-1018,

Subki Fi Shifa’ Al-Saqam Fi Ziyarah Khayr Al-Anam, Aw Shann Al-Gharah ‘Ala Man Ankra Al-Ziyarah,/125,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 02/279,

Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/201,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/49_52, Raqm-28.]

Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 29

29.                  “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu (Taweel Riwaayat Me) Bayaan Karte Hain Ki “(Jange Yamamah Ke Mauqa’ Par Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahaadat Ke Baa’d) Hazrat Khalid Bin Waleed RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Islami Lashkar Ka) Alam Sambhaala Aur Lashkar Se Guzar Kar Musaylamah Kazzab Ke Mustaqar Pahaad Kee Taraf Chal Diye Aur Woh Is Intezaar Me They Ki Musaylamah Tak Pahonch Kar Use Qatl Kar De’n. Phir Woh Laut Aae Aur Dono’n Lashkaro’n Ke Darmiyaan Khade Ho Kar Da’wate Mubaarazat Dee Aur Buland Aawaaz Se Pukaara: Main Waleed Ka Beta Hoo’n, Main Aamir Wa Zayd Ka Beta Hoo’n. Phir Unhone Musalmano’n Ka Murawwaja Na’ra Buland Kiya Aur Un Dono’n Un Ka Jangi Na’ra “Ya Muhammadah SallAllahu ‘Alayka Wa Sallam” (Ya Muhammad! Madad Farmaa’iye) Tha.”

          Is Hadith Ko Imam Tabari Aur Ibn Kathir Ne Mazkoora Alfaaz Ke Saath Riwayat Kiya Hai.

[Tabari Fi Tarikh Al-Umam Wa’l-Mulook Al-Ma’roof Tarikh At-Tabari, 02/281,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 06/324,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/52, 53, Raqm-29.]