Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-15 : ﴾Aadaab Aur Mu’amalaat﴿

Marhoomeen Aur Janaazah Ke Aadaab Ka Bayan

Fasl-08 :

Marhoomeen Aur Janaazah Ke Aadaab Ka Bayan

88/1022.            “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki (Kuchh Log) Ek Janaza Ke Saath (Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn  Ke Saamne Se) Guzre To Unhone Us (Mayyat) Kee Ta’reef Kee, Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Waajib Ho Ga’i. Phir (Kuchh Log) Doosre Janaze Ke Saath (Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn  Ke Saamne Se) Guzre To Unhone Us (Mayyat) Kee Buraa’i Bayan Kee To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Waajib Ho Ga’i. Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Kya Waajib Ho Ga’i? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Kee Tum Ne Ta’reef Kee Hai To Us Ke Liye Jannat Waajib Ho Ga’i  Aur Jis Kee Tum Ne Buraa’i Bayan Kee To Us Ke Liye Dozakh Waajib Ho Ga’i. Tum Zameen Par Allah Ta’ala Ke Gawaah Ho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/460, Raqm-1301,

Bukhari Fi As-Sahih, 02/934, Raqm-2499,

Muslim Fi As-Sahih,02/655, Raqm-949,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/49, Raqm-1932,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/629, Raqm-2059,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/186, Raqm-12961,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf,03/46, Raqm-11993,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/74, Raqm-6974,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/181, Raqm-5336,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-857, Raqm-1022.]

89/1023.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Janaza Jaldi Uthaawo Kyoon Ki Agar Janaza Nek Aadami Ka Hai To Yeh Ek Khair Hai Jise Tum Bhej Raho Ho Aur Agar Woh Janaza Us Ke Siwa (Ya’ni Kisi Gunahgar Shakhs) Ka Hai To Tum Ek Buraa’i Ko Apni Gardano’n Se Utaar Rahe Ho.”

Aur Muslim Kee Ek Riwayat Ke Alfaz Hain : Tum Us Par Bhala’i Pesh Kar Rahe Ho.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/442, Raqm-1252,

Muslim Fi As-Sahih, 02/651, Raqm-944,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/205, Raqm-3181,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/41, Raqm-1910,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/624, Raqm-2037,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/474, Raqm-1477,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/479, Raqm-11263,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/21, Raqm-6635,

Humaydi Fi Al-Musnad, 02/444, Raqm-1022,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/179, Raqm-331,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-858, Raqm-1023.]

90/1024.            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apne Marne Waalo’n Ko (Ba-Waqt-e Naz’a) (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) Kee Talqin Kiya Karo (Ya’ni Un Ke Paas Kalima-e Tayyiba Ka Wird Kiya Karo).”

رواه مسلم والترمذي.

وقال الترمذي : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/631, Raqm-916,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/306, Raqm-976,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/190, Raqm-3117,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/05, 1826,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/601, Raqm-1952,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/464, 465, Raqm-1444, 1446,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/03, Raqm-1006,

Bazzar Fi Al-Musnad, 06/208, Raqm-2248,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-858, 859, Raqm-1024.]

91/1025.            “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Mayyat Par Bhi Musalmano’n Kee Ek Aysi Jam’a’at Namaaze Janaza Padhe Jin Kee Ta’daad Sau-100 Tak Pahonchti Ho Aur Woh Tamam Us Mayyat Kee Shafa’at (Kee Du’aa) Kare To Us (Mayyat) Ke Haqq Me Un Kee Shafa’at Qubool Hoti Hai.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/654, Raqm-947,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/348, Raqm-1029,

Nasa’i Fi As-Sunan, 04/75, Raqm-1991,

Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/644, Raqm-2118,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/266, Raqm-13830,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/30, Raqm-6694,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/04, Raqm-9248,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/364, Raqm-4398, 08/286, Raqm-4874,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-859, Raqm-1025.]

92/1026.            “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Suna : Jab Tum Mayyat Kee Namaaze Janaza Padh Chuko To Us Ke Liye Khuluse Dil Se (Bakhshish Kee) Du’aa Kiya Karo.”

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/210, Raqm-3199,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/480, Raqm-1497,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/345, Raqm-3076,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/40, Raqm-6755,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-860, Raqm-1026.]

93/1027.            “Hazrat ‘Uthman Bin Affan RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Kisi Mayyat Kee Tadfeen Se Faarigh Ho Jaate To Us Kee Qabr Par Thahrte Aur Farmate : Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur (Allah Ta’ala Se) Us Ke Liye (Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Zaate Aqdas Ke Baare Me Poochhe Jaane Waale Sawalat Me) Saabit Qadami Kee Iltija Karo, Kyoon Ki Ab Us Se Sawaal Ki’e Jaa’enge.”

رواه أبوداود والبزار.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/215, Raqm-3221,

Bazzar Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-445,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/526, Raqm-1372,

Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 01/522, Raqm-378,

وقال : إسناده حسن.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-860, Raqm-1027.]

94/1028.            “Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke (Aazaad Karda) Ghulaam Hazrat Aboo Raafi’ Aslam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Aadami Ne Kisi Mayyat Ko Ghusl Diya Aur Us Ka (Koi Raaz Paaya Aur Phir Woh) Raaz Poshida Rakkha To Allah Ta’ala Chaalis-40 Martaba Us Kee Maghfirat Farma’ega.”

رواه الحاكم والطبراني والبيحقي.

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط مسلم.

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/505, Raqm-1307, 01/516, Raqm-1340,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/315, Raqm-929, 08/281, Raqm-8078,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/09, Raqm-9265, 9267,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 04/174, Raqm-5305,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/21,

وقال : رجاله رجال الصحيح.

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-861, Raqm-1028.]