Fasl-01 :
Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Ek¹ Waasta Kee Riwayat Ka Bayan
01/1041. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Ilm Haasil Karna Har Musalman Par Farz Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/83,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/81, Raqm-224,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/223, Raqm-2837,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 01/257, Raqm-320,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/289, Raqm-2008,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/195, Raqm-10439,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/136, Raqm-178,
Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/177,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-873, Raqm-1041.]
02/1042. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Neki Kee Taraf Rahnumaa’i Karne Waala (Ajr-o Sawab Ke Husool Me) Us Neki Karne Waale Kee Tarah Hee Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/85,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Aboo Nu’aym Fi Musnad Abi Hanifah, 01/150, 151,
Ruwayani Fi Al-Musnad, 01/63, Raqm-06,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/41, Raqm-2670,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/357,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/275, Raqm-4296,
Bazzar Fi Al-Musnad, 05/150, Raqm-1742,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/34, Raqm-2384,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/85, Raqm-86,
Aboo Bakr Al-Isma’il Fi Mu’jam-ush-Shuyukh Abi Bakr, 01/466,
Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/184,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-873, 874, Raqm-1042.]
03/1043. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Musibat Zada Kee Madad Karne Waale Ko Pasand Farmata Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/85,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/275, Raqm-4296,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/254, Raqm-1664,
Saydawi Mu’jam-ush-Shuyukh, 01/184,
Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/151,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/42,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/70, Raqm-195,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-874, Raqm-1043.]
04/1044. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Allah Ta’ala Ke Deen Me Tafaqqoh (Samajhboojh Haasil) Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Ghamo’n Ko Kaafi Ho Jaata Hai Aur Use Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Woh Soch Bhi Nahin Sakta.”
–
[Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 03/261,
Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/25,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-874, Raqm-1044.]
05/1045. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Khuloose Dil Ke Saath (ﻻَ إلَهَ إلَّااللهُ) Kehta Hai Woh Jannat Me Daakhil Hoga Aur Agar Tum Ne Allah Ta’ala Par Is Tarah Tawakkul (Bharosa) Kiya Jis Tarah Tawaqqul Karne Ka Haqq Hai To Tumhein Is Tarah Rizq Diya Jaa’ega Jis Tarah Parindo’n Ko Rizq Diya Jaata Hai Woh Khaali Pet Subah Karte Hai Aur Shaam Ko Ser Ho Kar (Waapas Apne Gharo’n Ko) Loutate Hain.”
–
[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/36,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/573, Raqm-2344,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1394, Raqm-4164,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/30, 52, : 05/229,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/11, Raqm-51,
Humaydi Fi Al-Musnad, 01/181, Raqm-369,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/212, Raqm-247,
Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/229, Raqm-2213,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/319, Raqm-1444,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-875, Raqm-1045.]
06/1046. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Oonays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna : Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Kisi Chiz Se Mahabbat Tumhein Andha Aur Bahera Kar Deti Hai (Ya’ni Insan Apne Mahboob Ke Khilaaf Kuchh Dekhna Sun’na Gawaara Nahin Karta).”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/78,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/334, Raqm-5130,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/194,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/334, Raqm-4359,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/99, Raqm-205,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/157, Raqm-219,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 01/368, Raqm-411,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-875, 876, Raqm-1046.]
07/1047. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Abd Allah Bin Oonays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Suna Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Ne Jannat Ke Oofaq Me Surkh Sone (Ya’ni Khaalis Sone) Ke Saath Na Ki Sone Ke Paani Ke Saath Teen³ Satare (Lakeere) Likhi Hu’i Dekhi : Pahali Satar (Lakeer) Mein Likha Huwa Tha (ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ مُحَمَّدُ رَسُوْلُ اللهِ) “Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin, Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Allah Ta’ala Ke Rasool Hain” Aur Dusari Satat Mein Likha Huwa Tha Ki Imaam Zaamin Hain Aur Muazzin Amaanatdaar, Pas Allah Ta’ala A’immah Ko Hidayat De Aur Muazzin Kee Maghfirat Farmaa’e Aur Tisari Satar Me Likha Huwa Tha Ki Hum Ne Jo Amal Kiya (Us Ka Sila) Hum Ne Paa Liya, Hum Ne Jo Kuchh Aage Bheja Us Ka Nafa’ Paa Liya Aur Jo Pichhe Chhod Aa’e Us Ko Hum Ne Kho Diya Aur Hum Rabbe Ghafoor Kee Taraf Aa Ga’e Hain.”
–
[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/35, 36,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/521,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-876, Raqm-1047.]
08/1048. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein 80 Hijri Me Paida Huwa Aur Mein Ne Apne Waalid Ke Saath 92 Hijri Me 16 Saal Kee Umr Me Hajj Kiya Pas Jab Me Masjide Haram Me Daakhil Huwa Mein Ne Ek Bohat Bada Halqa Dekha To Mein Ne Apne Waalide Mohtaram Se Puccha : Yeh Kis Ka Halqa Hai? To Unhone Farmaya : Yeh RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaabi Hazrat ‘Abd Allah Bin Jaz’ Zubaydi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ka Halqa(-e Dars) Hai Pas Mein Aage Badha Aur Unhein Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Jo Allah Ta’ala Ke Deen Kee Samajhboojh Ko Haasil Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Ghamo’n Ko Kaafi Ho Jaata Hai Aur Use Waha’n-Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Woh Soch Bhi Nahin Sakta.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/80,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 03/32, Raqm-956,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-877, Raqm-1048.]
09/1049. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Hazrat ‘Abd Allah Bin Haaris Jaz’ Zubaydi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sahabi-e Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Mila Aur To Mein Ne Arz Kiya : Mein Chahta Hoo’n Ki Un Se Sunoo’n To Mere Waalide Giraami Ne Mujhe Apne Kandhe Par Utha Liya Aur Mujhe Un Ke Paas Le Ga’e To Unhone Mujh Se Poochha : Aap Kya Chaahte Hain? Mein Ne Un Se Arz Kiya : Mein Chaahta Hoo’n Ki Aap Mujhe Woh Hadith Sunaaye Jo Aap Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suni Ho To Unhone Farmaya : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Musibat Zada Kee Madad Karna Har Musalman Par Farz Hai Aur Jo Shakhs Deen Me Samajh Boojh Paida Karta Hai Allah Ta’ala Us Ke Ghamo’n Ko Kaafi Ho Jaata Hai Aur Use Waha’n-Waha’n Se Rizq Deta Hai Jaha’n Se Woh Tasawwur Bhi Nahin Kar Sakta.”
–
[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/35,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-877, 878, Raqm-1049.]
10/1050. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Hazrat Aboo Mu’awiyah ‘Abd Allah Bin Abi Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Jo Shakhs Masjid Banaata Hai Chaahe Woh Teetar Ke Ande Dene Kee Jagah Ke Baraabar Hee Kyun Na Ho Allah Ta’ala Us Ke Liye Jannat Me Ghar Bana Deta Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/82,
Qazwini Fi At-Tadwin Akhbar Qazwin, 01/438,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/244, Raqm-738,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/241,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 04/490, Raqm-1610,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/269, Raqm-1292,
Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/62, Raqm-461,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/85, Raaam-4018,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/240, Raqm-1857,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/81, Raqm-2942,
Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/331, Raqm-1046,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-878, Raqm-1050.]
11/1051. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Hazrat ’Abd Allah Bin Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tumhari Kisi Cheez Se Mahabbat (Tumhein Us Ke Baare Me) Andha Aur Bahera Kar Deti Hai Aur Neki Kee Taraf Raahnumaa’i Karne Waala Neki Karne Waale Kee Tarah Hota Hai Aur Buraa’i Kee Taraf Rahnumaa’i Karne Waala Buraa’i Karne Waale Kee Tarah Hota Hai Aur Be Shak Allah Ta’ala Musibat Zada Kee Madad Karne Ko Pasand Farmata Hai.”
–
[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/36,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-878, 879, Raqm-1051.]
12/1052. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Aaishah Bine Aj’rad RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ko Farmate Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Hai : Zameen Me Allah Ta’ala Ka Ziyaada Ta’daad Me Lashkar Tiddi Dal Hai, Na To Mein Use Khaata Hoo’n Aur Na Use Haraam Thahraata Hoo’n.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/79,
Qazwini Fi At-Tadwin Akhbar Qazwin, 01/438,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/357, Raqm-3813,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1073, Raqm-3219,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/257,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/531, Raqm-8757,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/477, Raqm-2509,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/256, Raqm-6149,
Ibn Qani’ Fi Mu’jam Al-Sahabah, 01/285,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-879, Raqm-1052.]
13/1053. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Waasila Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna : Tum Apne Bhaai Kee Musibat Par Khushi Ka Izhaar Na Karo, Agar Tum Aisa Karoge To Allah Ta’ala Use Musibat Se Najaat De Dega Aur Tumhein Us Musibat Me Daal Dega.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/86,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/662, Raqm-2506,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/111, Raqm-3739,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/53, Raqm-127,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/214, Raqm-384,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 02/77, Raqm-917,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/315, Raqm-6777,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/212, Raqm-3726,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 09/95, Raqm-4679,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-880, Raqm-1053.]
14/1054. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Ne Waasela Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Too Us Cheez Ko Chhod De Jo Tujhe Shak Me Daale, Us Cheez Ke Le Jo Tujhe Shak Me Na Daale.”
–
[Suyooti Fi Tabyid Al-Sahifah Bi-Manaqib Al-Imam Abi Hanifah,36,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/668, Raqm-2518,
Nasa’i Fi As-Sunan, 08/327, Raqm-5711,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/153,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/498, Raqm-722,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/16 : 04/110, Raqm-2170, 7046,
Darami Fi As-Sunan, 02/319, Raqm-2532,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/335, Raqm-10601,
Abd-ur-Razzaq Al-Musanaf, 03/117, Raqm-4984,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/132, Raqm-6762,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/76, Raqm-2711,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-880, 881, Raqm-1054.]
15/1055. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Ne Hazrat Waasela Bin Asqa’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Koi Yeh Gumaan Na Kar Le Ki Woh Un Rak’at Ya’ni Paanch-05 Waqt Kee Farz Namazo’n Se Badh Kar (Deen Ke Ilaawah) Kisi Aur Shai Se Allah Ta’ala Ka Qurb Haasil Kar Sakta Hai.”
–
[Mawafiq Fi Manaqib Al-Imam-ul-Azam Abi Hanifah, 01/36,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-881, Raqm-1055.]
16/1056. “Hazrat Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Sahabi-e RasoolAllah ﷺ Hazrat ‘Abd Allah Bin Abi Habiba RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Tha So Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Aboo Darda’! Jo Shakhs Ikhlaas Ke Saath Yeh Gawaahi Deta Hai Ki “Allah Ta’ala Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Yeh Ki Mein Allah Ta’ala Ka Rasool Hoo’n.” To Us Ke Liye Jannat Waajib Ho Jaati Hai. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Agarche Woh Zina Aur Chori Bhi Kar Le? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Thodi Der Khaamosh Rahe Phir Apne Kalaam Kee Taraf Loute To Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Agarche Woh Zina Aur Chori Bhi Kar Le? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Thodi Der Khaamosh Rahe Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agarche Woh Zina Aur Chori Hee Kyo’n Na Kare Aur Agarche Aboo Darda’ Kee Naak Khaak Aalood Hee Kyo’n Na Ho. Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Har Juma’t-ul-Mubarak Ko Yeh Hadith Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Mimbar Ke Qareeb Bayan Farmate They Aur Apni Ungli Apne Naak Par Rakh Kar Kehte They Agarche Woh Zina Aur Chori Hee Kyo’n Na Kare Aur Agarche Aboo Darda’ Kee Naak Khaak Aalood Hee Kyo’n Na Ho.”
–
[Aboo Yusuf Kitab-ul-Aathar, 01/197, Raqm-891,
Aboo Nu’aym Fi Musnad Al-Imam Abi Hanifah, 01/175,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2193, Raqm-5489,
Muslim Fi As-Sahih, 01/95, Raqm-94,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/392, Raqm-169,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/166,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 01/28, Raqm-36,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 06/276, Raqm-10964,
Bazzar Fi Al-Musnad, 09/354, Raqm-3920,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-881, 882, Raqm-1056.]