Fasl-10 :
Ka’enaat Me Huzoor ﷺ Kee Misl Naa Hone Ka Bayan
91/639. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Saume Wisaal (Ya’ni Sahree Wa Iftaari Ke Baghair Musalsal Roze Rakhne) Se Mana Farmaya.
Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap To Wisaal Ke Roze Rakhte Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Hargiz Tumhaari Misl Nahin Hoo’n Mujhe To (Apne Rabb Ke Haa’n) Khilaaya Aur Pilaaya Jaata Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/693, Raqm-1861,
Muslim Fi As-Sahih, 02/774, Raqm-1102,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/306, Raqm-2360,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/241, Raqm-3263,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/300, Raqm-667,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/102, Raqm-5795,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/341, Raqm-3575,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/330, Raqm-9587,
Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/268, Raqm-7755,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/282, Raqm-8157,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-582, Raqm-639.]
92/640. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Saume Wisaal Se Mana Farmaya To Baa’z Sahaba Ne Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se ‘Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Aap Khud To Saume Wisaal Rakhte Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Me Se Kaun Meri Misl Ho Sakta Hai Mein To Is Haal Me Raat Basar Karta Hoo’n Ki Mera Rabb Mujhe Khilaata Bhi Hai Aur Pilaata Bhi Hai.”
Muttafaque
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2512, Raqm-6459,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2646, Raqm-6815,
Muslim Fi As-Sahih, 02/774, Raqm-1103,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/242, Raqm-3264,
Darami Fi As-Sunan, 02/15, Raqm-1706,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/68, Raqm-1274,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-582, 583, Raqm-640.]
93/641. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Par Shafqat Ke Baa’is Unhe’n Wisaal Ke Roze Rakhne Se Mana Farmaya To Sahaba-e Kiram Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ ) Aap To Wisaal Ke Roze Rakhte Hain Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Tum Jaisa Nahin Hoo’n Mujhe To Mera Rabb Khilaata Bhi Hai Aur Pilaata Bhi Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/693, Raqm-1863,
Bukhari Fi As-Sahih, 06/2645, Raqm-6815,
Muslim Fi As-Sahih, 02/776, Raqm-1105,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/153, Raqm-6413,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/286, Raqm-8161,
Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 02/168, Raqm-669,
Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/150,
Ibn Rajab Hanbali Fi Jaame’-ul-Uloomi Wa Al-Hikam Fi Sharh Khamsina Hadithan Min Jawami’ Al-Kalim, 01/437,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-583, Raqm-641.]
94/642. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Maheene Ke Aakhir Me Sahree, Iftaari Ke Baghair Musalsal Roze Rakhne Shuroo Kar Di’e To Baa’z Deegar Logo’n Ne Bhi Wisaal Ke Roze Rakkhe Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Tak Jab Yeh Baat Pahonchi To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Yeh Ramzan Ka Maheena Mere Liye Aur Lamba Ho Jaata To Mein Ziyaada Wisaal Ke Roze Rakhta Taaki Meri Baraabari Karne Waale Meri Baraabari Karna Chhod Dete, Mein Qat’an Tumhaari Misl Nahin Hoo’n Mujhe To Mera Rabb (Apne Haa’n) Khilaata Bhi Hai Aur Pilaata Bhi Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2645, Raqm-6814,
Muslim Fi As-Sahih, 02/776, Raqm-1104,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/124, Raqm-12270, 13035, 13092, 13681,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/325, Raqm-6414,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/330, Raqm-9585,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/36, Raqm-3282, 3501,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/282, Raqm-8160,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/400, Raqm-1353,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-584, Raqm-642.]
95/643. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Rukoo’ Aur Sujood Ko Achchhi Tarah Se Ada Kiya Karo Allah Kee Qasam Bila Shak-Wa-Shub’ha Me Mein Apni Pusht Ke Peechhe Se Bhi Tumhaare Rukoo’ Aur Sujood Ko Dekhta Hoo’n Aur Hazrat Sa’iyd Ke Alfaaz Me Hai Ki Mein Tumhe’n Rukoo’ Aur Sajde Kee Haalat Me Bhi Dekhta Hoo’n.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 06/2449, Raqm-6268,
Muslim Fi As-Sahih, 01/320, Raqm-425,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/216, Raqm-1117,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/235, Raqm-704,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/115, Raqm-12169,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 05/341, Raqm-2971,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/354, Raqm-1170,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-584, 585, Raqm-643.]
96/644. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kya Tum Yahi Dekhte Ho Ki Mera Munh Udhar Hai Allah Kee Qasam Mujh Se Tumhaare (Dilo’n Kee Haalat Aur Un Ka) Khushooa-Wa-Khuzooa Pausheeda Hai Na Tumhaare (Zaahiree Haalat Ke) Rukoo’, Mein Tumhe’n Apni Pusht Peechhe Se Bhi (Usee Tarah) Dekhta Hoo’n (Jaise Apne Saamne Se Dekhta Hoo’n).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/161, Raqm-408,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-708,
Muslim Fi As-Sahih, 01/259, Raqm-424,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/303, 365, 375, Raqm-8011, 8756, 8864,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-585, Raqm-644.]
97/645. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ek Din Hame’n Jam’a’at Karaane Ke Baa’d Rookhe-Anwar Phera, Phir Ek Shakhs Kee Taraf Mutawajjah Ho Kar Farmaya : Aye Shakhs Tum Ne Namaz Achchhi Tarah Kyoo’n Nahin Ada Kee? Kya Namazi Namaz Ada Karte Waqt Yeh Gaur Nahin Karta Ki Woh Kis Tarah Namaz Padh Raha Hai. Woh Mahz Apne Liye Namaz Padhta Hai Khuda Kee Qasam Mein Tumhe’n Apni Pusht Peechhe Bhi Aise Hee Dekhta Hoo’n Jaisa Ki Saamne Se Dekhta Hoo’n.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 01/319, Raqm-423,
Nasa’i Fi As-Sunan, 02/118, Raqm-872,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/303, Raqm-944,
Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 02/105,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/290, Raqm-3398,
Bayhaqi Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/495, Raqm-878,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/134, Raqm-3113,
Mundhiri Fi At-Targhib Wa At-Tarhib, 01/202, Raqm-768,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-585, 586, Raqm-645.]
98/646. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Bayan Kiya Ki Ek Martaba Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hame’n Namaze Zuhar Padhaayi, Aakhiree Safo’n Me Ek Shakhs Thaa Jis Ne Apni Namaz Kharaab Kar Dee. Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Salam Phera To Use Pukaara Aye Fula’n Too Allah Se Nahin Darta? Kya Too Nahin Dekhta Ki Too Kis Tarah Namaz Padh Raha Hai? Tum Yeh Samajhte Ho Jo Tum Karte Ho Us Me Se Mujh Par Kuchh Pausheeda Rah Jaata Hai? Allah Kee Qasam Mein Apni Pusht Peechhe Se Bhi Isee Tarah Dekhta Hoo’n Jis Tarah Apne Saamne Dekhta Hoo’n.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/449, Raqm-9795,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 01/332, Raqm-664,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 02/226,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-586, 587 Raqm-646.]
99/647. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mein Sab Se Pehla Shakhs Hoo’n Jis Kee Zameen (Ya’ni Qabr) Shaq Hogi, Phir Mujhe Hee Jannat Ke Jodo’n Me Se Ek Joda Pehnaaya Jaa’ega Phir Mein Arsh Kee Daayi’n Taraf (Maqaame Mahmood Par) Khada Hoonga, Us Maqaam Par Makhlooq Me Mere Siwa Ko’i Nahin Khada Hoga.”
رواه الترمزي.
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/585, Raqm-3611,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 07/922,
Munawi Fi Fayd-ul-Qadir, 03/41,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-587, Raqm-647.]