Mein Samajhta Hoo’n Ki Paani Maangne Kee Pur Riwaayat Imame Aali Maqam Kee Ghairat Aur Hamiyyat Munaafi Hai Woh Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Jo Usoolo’n Kee Khaatir Maidaane Karbala Me Apne Shahzado’n Kee Qurbaaniya’n De Sakte Hain, Paani Kee Aik Bund ke Liye Yazeedi Lashkar Ke Saamne Daste Sawaal Daraaz Nahin Kar Sakte They. Husayn Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Kee Ghairat Daste Sawaal Daraaz Karne Kee Ijaazat Nahin Deti. Agar Ali Asghar Ke Liye Paani Maangna Hee Tha To Us Ka Sawaal Yazeedi Lashkar Se Kyun Kiya Jaata? Rabbe Dhu-‘l-Jalaal Kee Izzat Kee Qasam! Agar Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Paani Ke Liye Bargahe Khudawandi Me Haath Uthaate Aur Aasmaan Kee Taraf Ishaarah Karte To Chaaro’n Taraf Se Ghataaein Daud Kar Aati’n Aur Karbala Kee Tapti Huwi Zameen Tak Kee Pyaas Bujh Jaati. Hazrat Isama’il ‘Alayh-is-Salam Kee Aidi Se Zam Zam Ka Chashma Phoot Nikla Tha Agar Nawasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Maidane Karbala Me Aidi Maarte To Karbala Se Laakho’n Chashme Phoot Padte, Magar Nahin Yeh Maqaame Raza Tha ………. Yeh Maqaame Tawakkal Tha ………… Yeh Maqaame Tafweez Aur Maqaame Sabr Tha ………… Yeh Marhala-E-Istiqaamat Tha ……… Yeh Lamha Imtihaan Ka Lamha Tha ………… Imame Aali Maqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aazmaa’ish Kee Us Ghadi Me Dagmaga Nahin Sakte They Kyun Ki Woh Baraahe Raast Huzoor Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Tarbiyyat Yaafta They. Aap Sabr-o-Raza Ke Maqaam Par Istiqaamat Ka Khe Gira’n Bane Rahe Is Liye Ki Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Nigaah Me Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam They Aur Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Saamne Un Ka Khuda Tha. Chashme Falak Husayn ‘Alayh-is-Salam Kee Istiqaamat Ka Yeh Manzar Dekh Rahi Thi. Makeene Gumbade Khazra Ke Saath Fatimah Salamu Allah ‘Alayha Aur Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Nazarein Bhi Azm-o-Istiqlaal Ke Paikar Husayn ‘Alayh-is-Salam Ke Jaala-o-Jamaal Ka Nazaarah Kar Rahi Thi. Fatimah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Zubaane Haal Se Keh Rahi Thi Beta Husayn! Mein Ne Tujhe Doodh Pilaaya Hai. Aaj Mein Karbala Ke Maidaan Me Apne Doodh Kee Laaj Dekhne Aayi Hoo’n. Beta! Mere Doodh Kee Laaj Rakhna. Dekhna Ali Akbar Aur Ali Asghar Kee Qurbani Ke Waqt Tere Qadam Dagmag Na Jaaein, Idhar Ali Murtaza Shere Khuda Farma Rahe They Husayn! Raahe Khuda Me Istiqaamat Se Date Rehna, Apne Baaba Ke Khoon Kee Laaj Rakhna. Udhar Muhabbate Husayn Me Tajdare Ka’inat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Karbala Ke Shaheedo’n Ka Khoon Aik Sheeshi Me Jam’a Farma Rahe They, Husayn! Mere Kandho’n Par Sawaari Kee Laaj Rakhna.
Sawaal Paida Hota Hai Ki Jab Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Le Kar Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Aur Apni Ammi Jaa Fatimat-uz-Zahra Salamu Allah ‘Alayha Ke Muqaddas Chehre Saamne Ho’n To Husayn ‘Alayh-is-Salam Jaise Bahaadur Shakhs Ke Qadam Shaahraahe Shahdat Par Kaise Dagmaga Sakte Hain? Aap Yazeediyo’n Ke Saamne Daste Sawaal Kis Tarah Daraaz Kar Sakte They? Mout kee Aankho’n Me Aankhein Daal Kar Use Lalkaarne Waale Bhala Maut Se Kab Darte Hain. Jo Marna Nahin Jaante Unhein Jeene Ka Bhi Koi Haque Nahin Aur Jo Marna Jaante Hain Woh Allah Kee Raah Me Apni Jaan Ka Nadhraana Pesh Kar Ke Hayaate Jaawidaa’n Paa Lete Hain Isi Liye Kaha Gaya Ki Allah Kee Raah Me Maare Jaane Waalo’n Ko Murdah Na Kaho Woh Zinda Hain Magar Tumhein Un Kee Zindagi Ka Shu’oor Nahin. Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aazmaa’ish Kee Un Ghadiyo’n Me Saabit Qadam Rahe Is Liye Aaj Unhein Dhib’h-E-Isma’il Ka Fidya Dhib’h-E-Azeem Ke Maqaam Par Raunaq Afroz Hona Tha Aaj Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Du’a-E-Ibrahim ‘Alayh-is-Salam Kee Takmeel Ka Baa’ith Banta Tha.
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/109 Ta 111.]