Fasl : 12
فاطمة سلام الله عليها أحب الناس إلى النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم
Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا …… Roo-E-Zameen Par Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Mahabbat Ka Markaze Khaas
30_ “Hazrat Jumay’ Bin Umayr Tamimi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mein Apni Phuphi Ke Hamraah Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Kee Khidmat Me Haazir Huwa Aur Poochha : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Kaun Ziyaada Mehboob Tha? Umm-il-Mu’minin رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Farmaya : Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا. Arz Kiya Gaya : Mardo’n Me Se (Kaun Ziyaada Mehboob Tha)? Farmaya : Un Ke Shauhar, Jaha’n Tak Mein Jaanti Hoo’n Woh Bohat Ziyaada Roze Rakhne Waale Aur Raaton Ko Ibaadat Ke Liye Bohat Qiyaam Kar Ne Waale They.”
–
[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/701, Raqam-3874,
2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, 404, Raqam-1008, 1009,
3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/171, Raqam-4744,
4_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/77,
5_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/219,
6_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/125,
7_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal, 04/512,
8_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/273,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/47, 48, Raqam-30.]
31_ “Hazrat Buraydah Se رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Aurto’n Me Sab Se Ziyaada Muhabbat Hazrat Fatimat-uz-Zahra سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Thi Aur Mardo’n Me Se Hazrat Ali Al-Murtada كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Sab Se Ziyaada Mehboob They.”
–
[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/698, Raqam-3868,
2_Nasa’i Ne ‘As-Sunan-ul-Kubra ‘(05/140, Raqam-8498)’ Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kee Hai.
3_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/199, Raqam-7262,
4_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/168, Raqam-4735,
5_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/131,
6_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah, 10/274,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/48, Raqam-31.]
32_ “Hazrat Aboo Salamah Bin Abd-ur-Rahman رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwaayat Karte Hain Ki Hazrat Usamah Bin Zayd رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Mujhe Bataaya : Mein Baitha Huwa Tha Ki Hazrat Ali Aur Hazrat Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَاTashreef Laa’e, Unhone Kaha : Usamah! Hamaare Liye Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Andar Aane Kee Ijaazat Maango. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Hazrat Ali Aur Hazrat Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا (Haaziri Kee) Ijaazat Maangte Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jaante Ho Woh Kyoo’n Aa’e Hain? Mein Ne Arz Kiya : Nahin. Farmaya : Mein Jaanta Hoo’n, Unhein Aane Do. Chunaanche Dono’n Hazaraat Anadar Daakhil Huwe Aur Unhone Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Hum Yeh Baat Jaan Ne Ke Liye Haazir Huwe Hain Ki Ahl-E-Bayt Me Se Aap Ko Kaun Ziyaada Mahboob Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Bint Muhammad.”
–
[1_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/678, Raqam-3819,
2_Bazzar Fi Al-Musnad, 07/71, Raqam-2620,
3_Tayalisi Fi Al-Musnad,/88, Raqam-633,
4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, Raqam-1007,
5_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 02/452, Raqam-3526,
6_Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 04/160_162, Raqam-1379, 1380,
7_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/489, 490,
8_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/78,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/48, 49, Raqam-32.]
33_ “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ne (Bargahe Risaalat Ma’aab صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Me) Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم ! Aap Ko Mere Aur Fatimah Me Se Kaun Ziyaada Mehboob Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Fatimah Mujhe Tum Se Ziyaada Pyaari Hai, Aur Tum Mujhe Us Se Ziyaada Aziz Ho.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/343, Raqam-7675,
2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/173)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwaayat Kiya Hai Aur Is Kee Sanad Me Salma Bin Uqbah Ko Mein Nahin Jaanta Jab Ki Baqiyya Rijaal Thiqah Hain.
3_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/202)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwaayat Kiya Hai.
4_Husayni Ne ‘Al-Bayan Wa’t-Ta’rif (02/118, Raqam-12380)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwaayat Kiya Hai Aur Haythami Ne Kaha Hai Ki Is Ke Rijaal Sahih Hain.
5_Manawi Ne ‘Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir (04/422)’ Me Kaha Hai Ki Haythami Ne Is Ke Rijaal Ko Sahih Qaraar Diya Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/49, 50, Raqam-33.]
34_ “Ibn Abi Nujayy Ne Apne Waalid Se Riwaayat Kee Ki Mujhe Us Shakhs Ne Bataaya Jis Ne Mimbare Koofah Par Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ko Yeh Farmaate Huwe Suna : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Hamaare Ghar Tashreef Laa’e Aur Hamaare Sarhaane Baith Kar Paani Ka Bartan Mangwaaya. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Us Me Barkat Kee Du’aa Farmaa’i Aur Hum Par Us Ke Chheente Maare. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Aap Ko Mujh Se Ziyaada Mahabbat Hai Ya Fatimah Se? Farmaya : Mujhe Yeh Tum Se Ziyaada Pyaari Hai Aur Tum Is Se Ziyaada Aziz Ho.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/631, 632, Raqam-1076,
2_Nasa’i Ne ‘As-Sunan-ul-Kubra (05/150, Raqam-8531)’ Me Yeh Hadithe Mubaaraka Mukhtasaran Bayaan Kee Hai.
3_Humaydi Fi Al-Musnad, 01/22, Raqam-38,
4_Shaybani Ne ‘Al-Ahd Wa’l-Mathani (05/360, Raqam-2951)’ Me Ise Mukhtasaran Riwaayat Kiya Hai.
5_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/275, 276,
6_Ibn Athir Ne ‘Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (07/219)’ Me Mukhtasaran Zikr Kiya Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/50, 51, Raqam-34.]