Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Khud Farmaate Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya Ki Jis Tarah Yahood Ne Hazrat Isa ‘Alayh-is-Salam Kee Shaan Kam Kee Aur Nasaara Ne Badhaa’i Aur Gumraahi Wa Halaakat Ke Haqdaar Thehre Isi Tarah Meri Wajah Se Bhi Do Giroh Halaak Honge.
41.
محب يفرط لي لما ليس في و مبغض مفتر يحمله شناني علي ان يبهتني
“Aik Woh Mahabbat Karne Waala Jo Mujhe Badhaae Aur Aisi Cheezein Mansoob Kare Jo Mujh Me Nahin Aur Dusra Woh Bughz Rakhne Waala Shakhs Jo Meri Shaan Kam Kare.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/160,
2_Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/123,
3_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/407,
4_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/133,
Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/65_66.]