Posted in al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam

al-Nūr al-mubīn fī ḥayāṫ al-Nabī al-Amīn ṣallá Allāhu ‘alayhi wa-Ālihi wa-sallam: 06

06.                   “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: (Shabe Me’raj) Allah Ta’ala Ne Meri Ummat Par Pachaas Namazen Farz Kee To Main Un (Namazo’n) Ke Saath Waapas Aaaya Yaha’n Tak Ki Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Se Guzra To Unhone Sawaal Kiya: Allah Ta’ala Ne Aaap Kee Ummat Ke Liye Aap Par Kya Farz Kiya Hai? Main Ne Kaha: Allah Ta’ala Ne Pachaas Namazen Farz Kee Hain. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Waapas Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Is (Adaa’igi)Kee Taqat Nahin Rakhti. Pas Unhone Mujhe Waapas Lauta Diya. (Meri Darkhaast Par) Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Kee Taraf Waapas Gaya Aur Kaha Ki Allah Ta’ala Ne Ek Hissa Kam Kar Diya Hai. Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf (Phir) Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee (Adaa’igi Kee)Taaqat Bhi Nahin Hai. Pas Main Waapas Gaya To Allah Ta’ala Ne Un Ka Ek Hissa Kam Kar Diya. Main Un Kee Taraf Aaya To Unhone Phir Kaha:  Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye Kyun Ki Aap Kee Ummat Me In Kee Adaa’igi Kee Taaqat Bhi Nahin Hai. Main Waapas Lauta To (Allah Ta’ala Ne) Farmaya: Ye (Hain To) JPaanch (Namazen) Hain Aur (Sawaab Kee I’tebaar Se) Pachaas (Ke Baraabar) Hain, Mere Haa’n Ahkaamaat Tabdeel Nahin Huwa Karte. Main Hazrat Moosa ‘Alayh-is-Salam Ke Paas Aaya To Unhone Kaha: Apne Rabb Kee Taraf Jaa’iye (Aur Mazeed Kami Ke Liye Darkhaast Kijiye) Main Ne Kaha:  Mujhe Ab Apne Rabb Se Haya Aati Hai. Phir (Jibra’il ‘Alayh-is-Salam) Mujhe Le Kar Chale Yaha’n Tak Ki Sidrat-il-Muntaha Par Pahonche Jise Mukhtalif Rango’n Ne Dhaanp Rakkha Tha, Nahin Ma’loom Ki Woh Kya Hain? Phir Mujhe Jannat Me Daakhil Kiya Gaya Jis Me Motiyo’n Ke Haar Hain Aur Us Kee Mitti Mushk(Kee Maanind Khushbudaar) Hai.”

          Yeh Hadith Muttafaque ‘Alayh Hai.

[Bukhari Fi As-Sahih, 01/136, Raqm-342,

Bukhari Fi As-Sahih, 03/1217, Raqm-3164,

Muslim Fi As-Sahih, 01/148, Raqm-163,

Al-Noor-ul-Mubin Fi Hayat-in-Nabiyy-il-Amin SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/20_22, Raqm-06.]

Posted in Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam: 26

          “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Ek Taweel Riwaayat Me Marwi Hai Ki RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Apna Safare Me’raaj Bayaan Karte Hu’e) Farmaya : Jibra’il عَلَيْهِ السَّلَام Ne (Bayt-ul-Lahm Ke Maqaam Par) Mujh Se Kaha : Aap Buraaq Se Utarye Aur Namaaz Padhiye. Mein Ne Utar Kar Namaaz Ada Kee. To Unhone Kaha : Kya Aap Jaante Hain Ki Aap Ne Kaha’n Namaaz Ada Kee Hai? Aap Ne Bayt-ul-Lahm Me Namaaz Ada Kee Hai Jaha’n ‘Isa عَلَيْهِ السَّلَام Kee Paida’ish Hu’i Thi.”

Ise Imam Nasa’i, Tabarani Aur Bazzar Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan, 01/222, Raqm-450,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/194, Raqm-341,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/283, Raqm-7142,

Bazzar ‘An Shaddad Bin Aws Fi Al-Musnad, 08/410, Raqm-3484,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 01/73,

Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 07/199,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/63_64, Raqm-26.]