Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 28

Hadith Number : 28

“Mutazakkarih Baala Hadith Ko Doosre Maqaam Par Ibn Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Alfaaz Ke Thode Se Ikhtilaaf Ke Saath Yoo’n Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

Un Logo’n Ko Kya Ho Gaya Hai Jo ‘Ali Kee Shaan Me Gustaakhi Karte Hain! (Jaan Lo) Jo ‘Ali Kee Gustaakhi Karta Hai Woh Meri Gustaakhi Karta Hai Aur Jo ‘Ali Se Juda Huwa Woh Mujh Se Juda Ho Gaya. Be Shak ‘Ali Mujh Se Hai Aur Mein ‘Ali Se Hoo’n, Us Kee Takhliq Meri Mitti Se Hu’i Hai Aur Meri Takhliq Ibrahim Kee Mitti Se, Aur Mein Ibrahim Se Afzal Hoo’n. Hum Me Se Ba’z Ba’z Kee Awlaad Hain, Allah Ta’ala Yeh Saari Baatein Sun’ne Aur Jaan’ne Waala Hai…….. Woh Mere Baa’d Tum Sab Ka Wali Hai. (Buraydah Bayan Karte Hain Ki) Mein Ne Kaha : Ya RasoolAllah ﷺ! Kuchh Waqt Inaayat Farmaein Aur Apna Haath Badhaaein, Mein Tajdide Islam Kee Bay’at Karna Chaahta Hoo’n, (Aur) Mein Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Juda Na Huwa Yaha’n Tak Ki Mein Ne Islam Par (Do Baara) Bay’at Kar Lee.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/49, 50, Raqam-6081,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/128.]

Posted in Baab-02 : Faize Nubuwwat-o-Wilaayat Kee Baqa’ Ka Uloohi Nizaam, Dhibhe 'Azeem

Dono’n Jahaano’n Ke Sayyid

22.

عن ابن عباس رضى الله تعالى عنهما قال نظر النبی صلى الله تعالى عليه وآله وسلم الی علی فقال یا علی انت سید فی الدنیا سید فی الاخره حبیبک حبیبی و حبیبی حبیب الله وعدوک عدوی و عدوی عدوالله والویل لمن ابغضک بعدی

“Hazrat Abd Allah Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Taraf Dekha Aur Farmaya Aye Ali Too Dunya Mein Bhi Sayyid Hai Aur Aakhirat Me Bhi Sayyid Hai, Jo Tera Habib(Dost) Hai Woh Mera Habib Hai Aur Jo Mera Habib Hai Woh Allah Ka Habib Hai, Jo Tera Dushman Hai Woh Mera Dushman Hai Aur Jo Mera Dushman Hai Woh Allah Ka Dushman Hai Aur Barbaadi Hai Us Shakhs Ke Liye Jo Mere Baa’d Tujh Se Bughz Rakkhe.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/128.]

 

Badi Waazeh Hadith Hai Farmaya Ali Too Dunya Me Bhi Sayyid Hai Aur Aakhirat Me Bhi Sayyid Hai Tera Habib Mera Habib Hai Aur Mera Habib Khuda Ka Habib, Tera Dushman Mera Dushman Aur Mera Dushman Khuda Ka Dushman, Aaqa-E-Do-Jaha’n SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Wilayate Ali Ko Wilayate Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Qaraar De Rahe Hain. Sawaal Paida Hota Hai Kyun? Yeh Hadith Is Kee Wazaahat Kar Rahi Hai. Musnad Ahmad Bin Hanbal Me Hazrat Buraydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmaate Hain Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Aik Mauqa’ Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Takraar Ke Saath Farmaya :

 

23.

فانه منی و انا منه وهو ولیکم بعدی

“Ali Mujh Se Hai Mein Ali Se Hoo’n Mere Baa’d Woh Tumhaara Wali Hai.”

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/356,]

 

 

  1. Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Kee Riwaayat Bhi Mulaahza Ho Woh Farmaate Hain Ki :

قال قال رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ادعوا لی سید العرب فقالت عائشة رضى الله تعالى عنه الست سید العرب یا رسول الله فقال انا سید ولد آدم و علی سید العرب

“Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Arab Ke Sardaar Ko Mere Paas Bulaao. Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ne Kaha Ki Kiya Aap Arab Ke Sardaar Nahin Hai Ya RasoolAllah, Aap Ne Farmaya Mein Aulaade Aadam Ka Sardaar Hoo’n Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Arab Ke Sardaar Hain.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/134, Hadith-4626,

2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/116,

3_Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal,11/619,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/54_55.]