Fasl-02 :
Imam Aboo Hanifah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Do² Waasto’n Kee Riwayat Ka Bayan
17/1057. “Hazrat Jabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Aayate Mubaraka Tilawat Farmaa’i : “Aur Us Ne Achchha’i Kee Tasdiq Kee.” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Kee Tasdiq Karna Hai. “Aur Us Ne Achchha’i Ko Jhutlaaya.” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Is Se Muraad) ﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ Ko Jhutlaana Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/95,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1057.]
18/1058. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Se Ilm Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya Aur Us Ne (Jaante Hu’e Bhi Use) Chhupaaya To Qiyaamat Ke Din Use Aag Kee Lagaam Dee Jaa’egi.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/29, Raqm-2649,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 03/321, Raqm-3658,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/97, Raqm-264,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-883, Raqm-1058.]
19/1059. “Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Neki Jise Tum Khwaah Ameer Ke Saath Karo Ya Gharib Ke Saath Woh Sadqa Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1059.]
20/1060. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Neki Ka Hukm Dena Aur Buraa’i Se Mana Karna Farz Hai. (Raawi Kehte Hain Ki) Mein Ne Poochha : Kya Us Ko Tark Karna Kufr Hai? Unhone Farmaya : Nahin.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/96,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Muslim Fi As-Sahih, 01/498, Raqm-720,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1956,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/26, Raqm-1285,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, Raqm-1060.]
21/1061. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Be Shak Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Gunaah Par) Naadim (Sharminda) Hona Hee Tawbah Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1420, Raqm-4252,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/376,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/377, Raqm-612,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-884, 885, Raqm-1061.]
22/1062. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Neki Kabhi Pooraani Nahin Hoti (Ki Us Ka Ajr Mil Kar Rehta Hai) Aur Gunaah Kabhi Bhulaaya Nahin Jaata (Us Kee Giraft Hoti Hai).”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bayhaqi Fi Kitab-uz-Zuhd Al-Kabir, 02/277, Raqm-710,
Ibn Rashid Fi Al-Jaame’, 11/178,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/33, Raqm-2203,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, Raqm-1062.]
23/1063, 24/1064. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mujh Par Jaanboojh Kar Jhoot Baandha Woh Apna Thikaana Dozakh Me Bana Le.”
Ek Dusari Riwayat Me Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Isi Tarah Marwi Hai.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/99, 103,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bukhari Fi As-Sahih, 01/434, Raqm-1229,
Muslim Fi As-Sahih, 01/10, Raqm-03,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/35, Raqm-2659,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-885, 886, Raqm-1063, 1064.]
25/1065. “Hazrat Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Hamesha Humsaaye (Ke Huqooq) Ke Baare Me Mujhe Wasiyat Karte Rahe Yaha’n Tak Ki Mein Ne Ghumaan Kiya Ki Woh Anqareeb Use Waaris Bana Denge, Aur Jibra’il Mujhe Raat Kee Ibaadat Kee Wasiyat Karte Rahe Hatta Kee Mein Ne Gumaan Kiya Ki Mere (Nek-o Saaleh) Behtareen Ummati Raat Ko Kam Hee Soyege.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/100,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2239, Raqm-5668,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2025, Raqm-2625,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/332, Raqm-1942,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, Raqm-1065.]
26/1066. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Logo’n Ka Shukriya Ada Nahin Karta Woh Allah Ta’ala Ka Bhi Shukr Ada Nahin Karta.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/109,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/339, Raqm-1954,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/255, Raqm-4811,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/198, Raqm-3407,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-886, 887, Raqm-1066.]
27/1067. “Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ne Padha : (اَسْتَغْفِرُ اللهَ الْعظِيْمَ الَّذِي ﻻَ إِلَهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ) “Mein, Allah Buland-o Bartar Se Maghfirat Talab Karta Hoo’n Woh Zaat Jis Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Woh Hamesha Zinda Rehne Wala, Sab Ko Apni Tadbir Se Qayam Rakhne Waala Hai?” Agar Us Ne Ikhlaas (Se Yeh Padha To) Allah Ta’ala Us Ke Saabiqa (Pichhle) Gunaah Bakhsh Dega.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/111,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, Raqm-1067.]
28/1068. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abi Owfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Shakhs Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Bargah Me Haazir Ho Kar Arz Kiya : Mein Qur’an Sikhne Kee Istita’at Nahin Rakhta Lehaaza Aap Mujhe Woh (Kalimaat) Sikhaaye Jo Mere Liye Us Ke Qaa’em Muqam Ho Jaa’e. Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Use Farmaya : To Kaha Kar : (شُبْحَانَ اللهِ وَٱلْحَمْدُ لِلَّهِ وَﻻَ إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَاَللهُ أَكْبَرُ وَﻻَ حَوْلَ وَﻻَ قُوَّةَ إِﻻَّ بِاللهِ عَلِيِّ الْعَظِيْمِ) “Allah Paak Hai, Allah Ke Liye Tamaam Taareefein Hain Aur Allah Ke Siwa Koi Ma’bood Nahin Aur Allah Sab se Bada Hai Aur Qudrat-o Taaqat Sirf Allah Azeem-o Bartar Kee Mashiyyat Se Hee Hai.” Us Ne Arz Kiya : Yeh (Kalimate Hamd To) Mere Rabb Ke Liye Hogi To Mere Liye Kya Hai? Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : To Kaha Kar : (اللهُمَّ ارْحَمْنِي واغْفِرْلِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي) “Aye Allah! Too Mujh Par Raham Farma Aur Mujhe Bakhsh De Aur Mujhe Hidayat Ata Kar, Mujhe Rizq Se Nawaaz Aur Aafiyat Ata Farma.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/117,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Daraqutni Fi As-Sunan, 01/314, Raqm-02,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/381,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/100, Raqm-29797,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-887, 888, Raqm-1068.]
29/1069. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Allah Ta’ala Ke Farman Ke Baare Me Riwayat Karte Hain : “Yaqinan Aap Ka Rabb Aap Ko Maqaame Mahmood Par Faa’iz Farma’ega (Ya’ni Woh Maqaame Shafa’ate Oozama Jaha’n Jumla Awwalin Wa Aakhirin Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Taraf Rujooa Aur Aap Kee Hamd Karenge).” Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Maqaame Mahmood Se Muraad Shafa’at Hai, Allah Ta’ala Ahle Iman Me Se Ek Qum Ko Un Ke Gunaaho’n Ke Sabab Azaab Dega, Phir Unhein Muhammad SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Shafa’at Ke Waaste Se (Jahannam Se) Nikaalega To Unhein Nahre Hatyaat Par Laaya Jaa’ega. Pas Woh Us Me Gusl Kar Ke Jannat Me Daakhil Honge To (Waha’n) Unhein Jahannami Ke Naam Se Pukaara Jaa’ega, Phir Woh Allah Ta’ala Se (Us Naam Ke Khaatme Kee) Guzarish Karenge To Woh Un Se Us Naam Ko Bhi Khatam Kar Dega.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/147, 148,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2401, Raqm-6198,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/236, Raqm-4740,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/434,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-888, 889, Raqm-1069.]
30/1070. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Har Paida Hone Wala Bachcha (Asl) Fitarat Par Paida Hota Hai Phir Us Ke Waaledain Use Yahoodi, Isaa’i Aur Majoosi Bana Dete Hain. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Jo Bachpan Me Hee Fout Ho Jaa’e (Us Ka Maamla Kya Hoga)? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Sab Se Ziyaada Jaan’ne Waala Hai Jo Woh (Dunya Me Rah Kar) Karne Waale They.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/188,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bukhari Fi As-Sahih, 01/465, Raqm-1319,
Muslim Fi As-Sahih, 04/2047, Raqm-2658,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/447, Raqm-2138,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, Raqm-1070.]
31/1071. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Momin Kee Firaasat Se Daro Kyo’n Ki Woh Allah Ta’ala Ke Noor Se Dekhta Hai Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aayate Mubaraka Tilawat Kee : “Be Shak Us Me Ahle Firasat Ke Liye Nishaniya’n Hain.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/19,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/298, Raqm-3127,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/23, Raqm-7843,
Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/387, Raqm-663,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-889, 890, Raqm-1071.]
32/1072. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ne Chhar⁴ Cheezo’n Me Shifa’ Rakhi Hai : Siyaah Daana (Ya’ni Kalonji), Pachhane Lagawaana (Ya’ni Surgery), Shahad Aur Barish Ka Paani.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/189,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, Raqm-1072.]
33/1073. “Hazrat Aboo Moosa Amir Bin ‘Abd Allah Bin Qays RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Rahmat Se Nawaazi Jaane Waali Ummat Hai, Us Ka Azaabe Dunya Apne Haatho’n Se Hoga.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/294, Raqm-974,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/190, Raqm-537,
Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/38, Raqm-60,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-890, 891, Raqm-1073.]
34/1074. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kafir Saat-07 Aanton Me (Khaana) Bharta Hai Aur Momin Ek Aant Me.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/195,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Bukhari Fi As-Sahih, 05/2061, Raqm-5078, 5079,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/266, Raqm-1818,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1631, Raqm-2060,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1074.]
35/1075. “Hazrat Anas Bin Maalik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hu’e Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Khaadim-o Ghulam Kee Daawat Bhi Qabool Farmate They, Mareez Kee Iyaadat Kiya Karte Aur Daraaz Gosh (Ya’ni Gadhe) Kee Sawaari Kiya Karte They.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/77,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/337, Raqm-1017,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1398, Raqm-4178,
Aboo Ya’la Anl-Musnad, 07/238, Raqm-4243,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-891, Raqm-1075.]
36/1076. “Hazrat Jaabir Bin ‘Abd Allah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Riwayat Karte Hu’e Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Jab Raat Ko Tashreef Laate To (Fiza Me) Khusboo’n Ke Phailne Se Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Pahchaan Hoti.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/98,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/304, Raqm-2632,
Darami Fi As-Sunan, 01/45, Raqm-65,
Ibn Sa’d Fi At-Tabqat-ul-Kubra, 01/399,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1076.]
37/1077. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Safed Shaami Topi Thi.”
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 01/198,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, Raqm-1077.]
38/1078. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Kiya Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Sachcha (Imandaar) Taajir Qiyaamat Ke Din Ambiya-e Kiram, Siddiqin, Suhada’ Aur Saalehin Ke Saath (Un Kee Rafaaqat-o Sohbat Me) Hoga.”
أخرجه في مسنده.
وقال ابو عيسى : هذا حديث حسن.
–
[Khawarizmi Fi Jaame’-ul-Masanid Lil-Imam Abi Hanifah, 02/02,
وأخرج المحدثون هزا الحديث بأسانيدهم منهم :
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/515, Raqm-1209,
Darami Fi As-Sunan, 02/322, Raqm-2539,
Daraqutni Fi As-Sunan, 03/07, Raqm-17, 18,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 04/555, Raqm-23088, 23089,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/07, Raqm-2142,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/299, Raqm-966,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 05/266, Raqm-10196,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/86, Raqm-1230,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 04/221, Raqm-4855,
Tabarani An Ibn Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/243, Raqm-7394,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-892, 893, Raqm-1078.]