Posted in Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu

Farmane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam : Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n

(٧) بَابٌ فِي قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم : عَلِيٌّ مِّنِّيْ وَ أَنَا مِنْهُ

Baab-07 :

Farmane Mustafa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam : Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n

 

72:             “Hazrat Hubshiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Woh Kehte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Mujh Se Hai Aur Mein Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Hoo’n Aur Meri Taraf Se (Ahd-o-Naqd Me) Mere Aur Ali RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Siwa Koi Doosra (Zimma Daari) Ada Nahin Kar Sakta.”

Is Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Woh Kehte Hain Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3719,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Al-Hadith Raqam-119,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/165,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/366, Al-Hadith Raqam-32071,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/16, Al-Hadith Raqam-3511,

Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 03/183, Al-Hadith Raqam-1514,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/71, Al-Hadith Raqam-72.]

 

 

73:              “Hazrat Abd Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ansaar Wa Muhaajirin Ke Darmiyaan Ukhuwwat Qaa’im Kee To Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rote Hu’e Aa’e Aur Arz Kiya Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Sahaba-E-Kiram Me Bhaai Chaarah Qaa’im Farmaya Lekin Mujhe Kisi Ka Bhaai Nahin Banaya. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Faraya : Tum Dunya Wa Aakhirat Me Mere Bhaai Ho.”

Ise Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Kaha : Yeh Hadith Hasan Hai Aur Isi Baab Me Hazrat Zayd Bin Abi Awfa RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Bhi Riwayat Hai.

[Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/636, Al-Hadith Raqam-3720,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/15, Al-Hadith Raqam-4288,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/72, Al-Hadith Raqam-73.]

 

 

74:              “Hazrat Hubshiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Farmate Hu’e Suna Ki Ali Mujh Se Hai Aur Mein Ali Se Hoo’n Aur Mera Qarz Meri Taraf Se Siwaa’e Ali Ke Koi Nahin Ada Kar Sakta.”

Is Hadith Ko Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Al-Hadith Raqam-119,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/72,73, Al-Hadith Raqam-74.]

 

 

75:              “Hazrat Hubshiy Bin Junadah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Aur Aap Hijjat-il-Wada’ Waale Din Waha’n Maujood They Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Ki Ali Mujh Se Aur Mein Ali Se Hoo’n Aur Mera Qarz Meri Taraf Se Siwaa’e Mere Aur Ali Ke Koi Nahin Ada Kar Sakta.”

Is Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/164,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/73, Al-Hadith Raqam-75.]

 

 

76:             “Hazrat Usamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Ja’far Aur Hazrat Ali Aur Hazrat Zayd Bin Haarithah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Aik Din Ikatthey Hu’e To Hazrat Ja’far RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyaada Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mahboob Hoo’n Aur Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyaada Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Mahboob Hoo’n Aur Hazrat Zayd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya Ki Mein Tum Sab Se Ziyaada Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Pyaara Hoo’n Phir Unhone Kaha Chalo Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Khidmate Aqdas Me Chalte Hain Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Puchhte Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sab Se Ziyaada Pyaara Kaun Hai? Usamah Bin Zayd Kehte Hain Pas Woh Teeno’n Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ijaazat Talab Karne Ke Liye Haazir Hu’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Dekho Yeh Kaun Hai? Mein Ne Arz Kiya : Ja’far Ali Aur Zayd Bin Haarithah Hain. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : In Ko Ijaazat Do Phir Woh Daakhil Hu’e Aur Kehne Lage : Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Sab Ziyaada Mahboob Kaun Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Fatimah, Unhone Kaha : Ya RasoolAllah! Hum Ne Mardo’n Ke Baare Arz Kiya Hai To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Aye Ja’far! Tumhari Khilqat Meri Khilqat Se Mushaabah Hai Aur Mere Khulq Tumhaare Khulq Se Mushaabah Hain Aur Too Mujh Se Aur Mere Shajarah Nasab Se Hai, Aye Ali Too Mera Daamaad Aur Mere Do Beto’n Ka Baap Hai Aur Mein Tujh Se Hoo’n Aur Too Mujh Se Hai Aur Aye Zayd Too Mera Ghulaam Aur Mujh Se Aur Meri Taraf Se Hai Aur Tamam Qaum Se Too Mujhe Pasandidah Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Hakim Ne Riwayat Kiya Hai. Imam Hakim Kehte Hain Ki Yeh Hadith Imam Muslim Kee Shara’it Par Sahih Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/204, Al-Hadith Raqam-21825,

Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/239, Al-Hadith Raqam-4957,

Maqdisi Fi Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 04/151, Al-Hadith Raqam-1369,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/274,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/73, 74, Al-Hadith Raqam-76.]

 

 

77:              “Hazrat Amr Bin Maymoon RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Aik Taweel Hadith Me Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Kisi Ko Soora-E-Tawbah De Kar Bheja Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Us Ke Pichhe Bheja Pas Unhone Woh Soorat Us Se Le Lee. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Is Soorat Ko Siwaa’e Us Aadami Ke Jo Mujh Me Se Hai Aur Mein Us Se Hoo’n Koi Aur Nahin Le Jaa Sakta.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/330, Al-Hadith Raqam-3062,

Kanz-ul-Matalib Fi Manaqibi ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Waj’hahu,/75, Al-Hadith Raqam-77.]