Namaaze Taraawih Aur Us Kee Ta’daade Rak’aat Ka Bayan
01/297. “Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Marwi Hai Ki Ek Raat Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Masjid Me (Nafl) Namaz Padhi To Logo’n Ne Bhi Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Namaz Padhi. Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Agli Raat Namaz Padhi To Ziyaada Log Jam’a Ho Ga’e Phir Teesri³ Ya Chauthi⁴ Raat Bhi Aa Khade Hu’e Lekin Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf Tashreef Na Laa’e. Jab Sub’h Hu’i To Farmaya : Mein Ne Dekha Jo Tum Ne Kiya Aur Mujhe Tumhare Paas (Namaz Padhaane Ke Liye) Aane Se Sirf Andeshe Ne Roka Ki Yeh Tum Par Farz Kar Dee Jaa’egi Aur Yeh Ramadaan-ul-Mubarak Ka Waaqe’a Hai.”
Muttafaque ‘Alayh
Imam Khuzayma Aur Imam Ibn Hibban Ne In Alfaz Ka Izaafa Kiya : Aur Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Unhe’n Qiyame Ramadaan (Tarawih) Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmate They Chunanche (Targheeb Ke Liye) Farmate Ki Jo Shakhs Ramadaan-ul-Mubarak Me Iman Aur Sawab Kee Niyyat Ke Saath Qiyaam Karte Hai To Us Ke Pichhle Tmama Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain. Phir Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Qiyame Ramadaan Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Yahi Soorat Khilafate Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Khilafate Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Awaa’il Daur Tak Jaari Rahi Yaha’n Tak Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Unhe’n Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Iqtida’ Me Jam’a Kar Diya Aur Woh Unhe’n Namaze (Tarawaih) Padhaaya Karte They, Lehaaza Yeh Woh Ibtida’i Zamaana Hai Jab Log Tarawih Ke Liye (BaaJama’at) Ikat’tha Hote They.”
Aur Imam Asqalani Ne ‘التلخيص’ Me Bayan Kiya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Logo’n Ko Do² Raatein 20 Rak’at Namaz Padhaa’i Jab Teesri³ Raat Log Phir Jam’a Ho Ga’e To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Un Kee Taraf (Huzara Mubarak Se Baahar) Tashreef Nahin Laa’e, Phir Sub’h Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Mujhe Andesha Hua Ki (Namaaze Taraawih) Tum Par Farz Kar Dee Jaa’egi, Lekin Tum Is Kee Taaqat Na Rakhoge.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/380, Raqm-1077,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/708, Raqm-1908,
Muslim Fi As-Sahih, 01/524, Raqm-761,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqm-1373,
Nasa’i Fi As-Sunan, 03/202, Raqm-1604,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 01/410, Raqm-1297,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqm-248,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/177, Raqm-25485,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqm-141,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqm-2207,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 03/43, Raqm-4723,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/492, Raqm-4377,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Sughara, 01/480, Raqm-486,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/21,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-313, 314, 315, Raqm-297.]
02/298. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Unhone Farmaya : Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Hujre Mubarak Se) Baahar Tashreef Laa’e To (Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Dekha Ki) Ramadaan-ul-Mubarak Me Log Masjid Ke Goshe Me Namaz Padh Rahe They, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Daryaft Farmaya : Ye Koun Hain? ‘Arz Kiya Gaya : Ye Woh Log Hai Jinhe’n Qur’an Paak Yaad Nahin Aur Hazrat Ubay Bin Ka’b Namaz Padhaate Hain Aur Ye Log Un Kee Iqtida’ Me Namaz Padhte Hain To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Inhone Durust Kiya Aur Kitna Hee Achchha Amal Hai Jo Inhone Kiya.”
رواه أبوداود وابن خزيمة وابن حبان والبيهقي.
Aur Bayhaqi Kee Ek Riwayat Me Hai Farmaya : Inhone Kitna Ahsan Iqdaam Ya Kitna Achchha Amal Kiya Aur Un Ke is Amal Ko Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Naapasand Nahin Farmaya.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/50, Raqm-1377,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/339, Raqm-2208,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 06/282, Raqm-2541,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/495, Raqm-4386, 4388,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/111,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/455,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-315, Raqm-298.]
03/299. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Namaaze Taraawih Padhne Kee Raghbat Dilaaya Karte They Lekin Hukman Nahin Farmete They Chunanche Farmate Ki Jis Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Husoole Sawab Kee Niyyat Se Aur Haalate Iman Ke Saath Qiyam Kiya To Us Ke Pichhle (Tamam) Gunaah Bakhsh Di’e Jaate Hain. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Wisaal Mubarak Tak Namaaze Taraawih Kee Yahi Soorat Barqaraar Rahi Aur Khilafate Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Me Aur Phir Khilafate Umar Farooq RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Shuru Tak Yahi Soorat Barqaraar Rahi.”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqm-1905,
Muslim Fi As-Sahih, 01/523, Raqm-759,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/171, Raqm-808,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/49, Raqm-1371,
Nasa’i Fi As-Sunan, 04/154, Raqm-2192,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/113, Raqm-249,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/281, Raqm-7774,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/338, Raqm-2207,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/353, Raqm-141,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/258, Raqm-7719,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqm-4378,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/120, Raqm-9299,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-315, 316, Raqm-299.]
04/300. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin ‘Abd-il-Qari Riwayat Karte Hain Ki Mein Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Saath Ramadan Kee Ek Raat Masjid Kee Taraf Nikla To Log Alag-Alag They Ko’i Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Kisi Kee Iqtida’ Me Ek Giroh Namaz Padh Raha Tha. Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya : Mere Khayaal Me Inhe’n Ek Qaari Ke Pichhe Jam’a Kar Doo’n To Achchha Hoga Phir Unhone Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Pichhe Sab Ko Jam’a Kar Diya, Phir Mein Ek Aur Raat Un Ke Saath Nikla Aur Log Ek Imam Ke Pichhe Namaz Padh Rahr They Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne (Unhe’n Dekh Kar) Farmaya : Yeh Kitni Achchhi Bid’at Hai, Aur Jo Log Is Namaz (Tarawih) Se So Rahe Hain Woh Namaz Ada Karne Waalo’n Se Ziyaada Behtar Hain Aur Is Se Un Kee Muraad Woh Log They (Jo Raat Ko Jaldi So Kar) Raat Ke Pichhle Pahar Me Namaz Ada Karte They Aur Tarawih Ada Karne Waale Log Raat Ke Pehle Pahar Me Namaz Ada Karte They.”
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 02/707, Raqm-1906,
Malik Fi Al-Muwatta’, 01/114, Raqm-650,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/155, Raqm-155,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/258, Raqm-7723,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 12, 493, Raqm-4378,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqm-3269,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-316, 317, Raqm-300.]
05/301. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Bin Awf RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ramadaan-ul-Mubarak Ka Zikr Farmaya To Sab Mahino’n Par Use Fazilat Dee. Is Ke Baa’d Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawab Kee Niyyat Ke Saath Ramadaan Kee Raato’n Me Qiyam Karta Hai To Woh Gunaho’n Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha, Jab Use Us Kee Maa Ne Janm Diya Tha.”
“Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Be Shak Allah Ta’ala Ne Ramadaan Ke Roze Farz Ki’e Hain Aur Mein Ne Tumhare Liye Is Ke Qiyam (Namaaze Taraawih) Ko Sunnat Qaraar Diya Hai Lehaaza Jo Shakhs Iman Aur Husoole Sawab Kee Niyyat Ke Saath Maahe Ramadaan Ke Dino’n Me Roze Rakhta Hai Aur Raato’n Me Qiyam Karta Hai Woh Gunaaho’n Se Yoo’n Paak Saaf Ho Jaata Hai Jayse Woh Us Din Tha Jab Use Ua Kee Maa Ne Janm Diya Tha.”
–
[Nasa’i Fi As-Sunan, 04/158, Raqm-2208, 2210,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/421, Raqm-1328,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-317, 318, Raqm-301.]
06/302. “Hazrat Yazeed Bin Rumaan Ne Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Daur Me Log (Ba-Shumool-Witr) 23 Rak’aat Padhte They.”
رواه مالك والفريابي والبيهقي. وقال الفريابي : إسناده ورجاله موثقون
وقال ابن قدامة في المغني : وهذا كالإجماع.
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/115, Raqm-252,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqm-4394,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqm-3270,
Firyabi Fi As-Siyam, 01/132, Raqm-179,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/253,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Dirayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 01/203, Raqm-257,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/115,
Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/342,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/456,
Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 03/63,
Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/154,
Ibn Rushd Fi Bidayat-il-Mujtahid Wa Nihayat-il-Muqtasid, 01/152,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-318, 319, Raqm-302.]
07/303. “Hazrat Maalik Ne Dawud Bin Husayn Se Riwayat Kiya, Unhone Hazrat A’raj Ko Farmate Hu’e Suna Ki Mein Ne Logo’n Ko Is Haal Me Paaya Ki Woh Ramadaan Me Kafiro’n Par La’nat Kiya Karte They Unhone Farmaya (Namaaze Taraawih Me) Qaari Soorah Baqrah Ko Aanth-08 Rak’ato’n Me Padhta Aur Ab Baaqi Baarah-12 Rak’atein Padhi Jaati To Log Dekhte Ki Imam Inhe’n Halki (Mukhtasar) Kar Deta.”
“Hazrat Shaah Wali Allah Dahelwi Ne (Is Hadith Kee Sharh Me) Bayan Kiya Ki Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Shawaafe Aur Ahnaaf Ka Mazhab Hai. Isee Tarah Mahalli Ne Imam Bayhaqi Se Bayan Kiya.”
–
[Malik Fi Al-Muwatta’, 01/115, Raqm-753,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/497, Raqm-4401,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/177, Raqm-3271,
Firyabi Fi As-Siyam, 01/133, Raqm-181,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 17/405,
Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 05/70, Raqm-25,
Suyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/105,
Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/342,
Wali-Allah Ad-Dahelwi Al-Musawi Min Ahadith Al-Muwatta’, 01/175,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-319, 320, Raqm-303.]
08/304. “Hazrat Urwah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Ko Maahe Ramadaan Me Tarawih Ke Liye Ikat’tha Kiya. Mardo’n Ko Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Aurto’n Ko Sulayman Bin Hasma RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Tarawih Padhaate.”
–
[Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/493, Raqm-4380,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/252, 253, Raqm-1905,
Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/338, 341,
Suyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/105,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Dirayah Fi Takhrij Ahadith-ul-Hidayah, 01/203,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/24, Raqm-549,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/455,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-320, Raqm-304.]
09/305. “Hazrat Aboo Isa Tirmidhi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apni Sunan Me Farmaya : Aksar Ahle ‘Ilm Ka Mazhab 20 Rak’at Tarawih Hai Jo Ki Hazrat ‘Ali, Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Aur Huzoor Sarwar-e Kaa’enaat SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Deegar Sahaba Se Marwi Hai Yahi (كبارتابعين) Sufyan Sauri, ‘Abd Allah Bin Mubarak Aur Imam Shafi’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ka Qaul Hai Aur Imam Shafi’iy Ne Farmaya : Mein Ne Apne Shahar Makka Me (Ahle ‘Ilm Ko) Bees-20 Rak’at Tarawih Padhte Paaya.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 03/169, Raqm-806,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-320, 321, Raqm-305.]
10/306. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Farmaya Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ramadaan-ul-Mubarak Me Witr Ke Ilaawah Bees-20 Rak’at Tarawih Padha Karte They.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/164, Raqm-7692,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/243, Raqm-798,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/324, Raqm-5440,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/393, Raqm-12102,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqm-4391,
Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/218, Raqm-653,
Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 06/113,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 03/172,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/115,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/254, Raqm-1908,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Dirayah, 01/203, Raqm-257,
Suyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/108, Raqm-263,
Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 01/170,
San’ani Fi Subul Al-Salam, 02/10,
Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 02/149,
Khatib Al-Baghdadi Fi Muwaddihu Awham Al-Jam’ Wa At-Tafriq, 01/387,
Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/153,
Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/342, 351,
Azim Abadi Fi ‘Awn-ul-Ma’boodi Sharh Sunan Abi Dawud, 04/153,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 03/445,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-321, Raqm-306.]
11/307. “Hazrat Saa’ib Bin Yazeed Ne Bayan Kiya Ki Hum Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Zamaane Me Fajr Ke Qareeb Tarawih Se Faarigh Hote They Aur Hum (Ba-Shumool-Witr) Te’is-23 Rak’aat Padhte They.”
–
[‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 04/261, Raqm-7733,
Ibn Hazm Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 02/230,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-321, 322, Raqm-307.]
12/308. “Hazrat Saa’ib Bin Yazeed Se Marwi Hai Unhone Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ahad Me Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Maahe Ramadaan Me Bees Rak’aat Tarawih Padhte They Aur Un Me Sau-100 Aayat Waali Sooratein Padhte They Aur Hazrat ‘Uthman RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ahad Me Shiddate Qiyam Kee Wajah Se Woh Apni Laathiyo’n Se Tek Lagaate They.”
رواه البيهقي والفريابي وابن الجعد.
إسناده ورجاله ثقات كما قال الفريابي.
–
[Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqm-4393,
Ibn Hasan Firyabi Fi As-Siyam, 01/131, Raqm-176,
وقال : إسناده ورجاله ثقات ،
Ibm Ja’d Al-Musnad, 01/413, Raqm-2825,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 03/447,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-322, Raqm-308.]
13/309. “Hazrat Khaseeb Ne Bayan Kiya Ki Hame’n Hazrat Suwayd Bin Ghafala Maahe Ramadaan Me Namaaze Taraawih Paanch-05 Tarwiho’n (Ya’ni Bees-20 Rak’aat Me) Padhaate They.”
رواه البيهقي إسناده حسن والبخاري في الكنى.
–
[Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/446, Raqm-4395,
Bukhari Al-Kuni, 01/28, Raqm-234,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-322, 323, Raqm-309.]
14/310. “Hazrat Shutayr Bin Shakal Se Riwayat Hai Woh Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke As’haab Me Se They Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ramadaan Me Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Rak’at Witr Padhaate They.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7680,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqm-4395,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-323, Raqm-310.]
15/311. “Hazrat ‘Abd-ir-Rahman Sulami Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Ramadaan-ul-Mubarak Me Qaariyo’n Ko Bulaaya Aur Un Me Se Ek Shakhs Ko Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaane Ka Hukam Diya Aur Khud Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Unhe’n Witr Padhaate They.”
Yeh Hadith Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Deegar Sanad Se Bhi Marwi Hai.
–
[Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/496, Raqm-4396,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 03/444,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-323, Raqm-311.]
16/312. “Hazrat Abool Hasana Bayan Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Ek Shakhs Ko Ramadaan Me Paanch-05 Tarwiho’n Me Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaane Ka Hukam Diya.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7681,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/497, Raqm- 4397,
Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/115,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 03/445,
San’ani Fi Subul Al-Salam, 02/10,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/456,
وقال : هذا كالإجماع.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-324, Raqm-312.]
17/313. “Ek Riwayat Me Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Unhe’n Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Padhaaya Karte They.”
–
[San’ani Fi Subul Al-Salam, 02/10,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/456,
وقال : هذا كالإجماع.
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-324, Raqm-313.]
18/314. “Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Marwi Hai Ki Unhone Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ki Woh Ramadaan-ul-Mubarak Me Musalmano’n Ko Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaaye Aur Yeh Rak’at Witr Ke Ilaawah Thi.”
–
[Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 08/115,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-324, Raqm-314.]
19/315. “Hazrat Yahya Bin Sa’iyd Bayan Karte Hain Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ki Woh Unhe’n (Musalmano’n Ko) Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaaye.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7682,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 03/445,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-324, 325, Raqm-315.]
20/316. “Hazrat Nafi’ Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Bayan Kiya Hazrat Ibn Abi Mulayka Hame’n Ramadaan-ul-Mubarak Me Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaaya Karte They.”
رواه ابن أبي شيبة. إسناده صحيح.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7683,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-325, Raqm-316.]
21/317. “Hazrat ‘Abd-il-Azeez Bin Rafi Ne Bayan Kiya Ki Hazrat Abi Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Madinah Munawwarah Me Logo’n Ko Ramadaan-ul-Mubarak Me Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Padhaate They.”
رواه ابن أبي شيبة. إسناده مرسل قوي.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7684,
Mubarkfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jaame’ At-Tirmidhi, 03/445,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-325, Raqm-317.]
22/318. “Hazrat Haaris Se Marwi Hai Ki Woh Logo’n Ko Ramadaan-ul-Mubarak Kee Raato’n Me (Namaaze Taraawih) Me Bees-20 Rak’atein Aur Teen³ Witr Padhaaya Karte They Aur Rukoo’ Se Pehle Du’a-e Qunoot Padhte They.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7685,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-325, Raqm-318.]
23/319. “Hazrat Abool Bukhtari Se Riwayat Hai Ki Woh Ramadaan-ul-Mubarak Me Paanch-05 Tarwih (Ya’ni Bees-20 Rak’at) Aur Teen³ Witr Padha Karte They.”
رواه ابن أبي شيبة. إسناده صحيح.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7686,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-325, 326, Raqm-319.]
24/320. “Hazrat ‘‘Ata’ Farmate Hain Ki Mein Ne Logo’n Ko Dekha Ki Woh Ba-Shumool-Witr 23 Rak’at Tarawih Padhte They.”
رواه ابن أبي شيبة. إسناده حسن.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163,
Raqm-7688,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-326, Raqm-320.]
25/321. “Hazrat Sa’iyd Bin Ubayd Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Ali Bin Rabi’ Unhe’n Ramadaan-ul-Mubarak Me Paanch-05 Tarwih (Ya’ni Bees-20 Rak’at) Namaaze Taraawih Aur Teen³ Witr Padhaate They.”
رواه ابن أبي شيبة. إسناده صحيح.
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/163, Raqm-7690,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-326, Raqm-321.]
26/322. “Hazrat Hasan (Basari) RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Ko Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Iqtida’ Me Qiyame Ramadaan Ke Liye Ikat’tha Kiya To Woh Unhe’n Bees-20 Rak’at Tarawih Padhaate They.”
–
[Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubala’, 01/400,
Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir, 02/21, Raqm-540,
Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 01/456,
Malik Fi Al-Mudawwanat-ul-Kubra, 01/222,
Suyooti Fi Tanwir-ul-Hawalik Sharh’Ala Muawatta’ Malik, 01/104,
Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’ Imam Malik, 01/338,
Ibn Taymiyyah Majmu’ Fatawa, 01/401,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-326, 327, Raqm-322.]
27/323. “Hazrat Za’farani Umam Shafi’iy RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Unhone Farmaya : Mein Ne Logo’n Ko Madinah Munawwarah Me Untaalis-39 Aur Makkah Mukarrama Te’is-23 Rak’at (Bees-20 Tarawih Aur Teen³ Witr) Padhte Dekha.”
–
[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari,04/253,
Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 03/64,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-327, Raqm-323.]
28/324. “Hazrat Rushd Qurtubi Ne Farmaya Ki Imam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Apne Do² Qaul Me Se Ek Aur Imam Aboo Hanifah, Imam Shafi’iy, Imam Ahmad Aur Imam Dawud Zaahri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Ajma’iyn Ne Bees-20 Tarawih Ka Qiyam Pasand Kiya Hai Aur Teen³ Witr Is Ke Ilaawah Hain…..Isee Tarah Imam Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Yazeed Bin Rumaan Se Riwayat Bayan Kee Farmaya Ki Hazrat ‘Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Zamane Me Log Te’is-23 Rak’at (Tarawih Ba-Shumool Teen³ Witr) Ka Qiyam Kiya Karte They.”
–
[Ibn Rushd Fi Bidayat-il-Mujtahid Wa Nihayat-il-Muqtasid, 01/152,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-327, Raqm-324.]
29/325. “Shaykh Ibn Taymiyyah Ne ‘Apne. Fatawa’ (Majmooa Fatawa) Me Kaha Ki Saabit Hua Ki Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ramadaan-ul-Mubarak Me Logo’n Ko Bees-20 Rak’at Tarawih Aur Teen³ Witr Padhaate They To Aksar Ahle ‘Ilm Ne Ise Sunnat Maana Hai. Is Liye Ki Woh Muhaajireen Aur Ansaar (Tamaam) Sahaba-e Kiram (Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn) Ke Darmiyan (Un Kee Maujoodagi Me) Qiyam Karte (Bees-20 Rak’at Padhaate) Aur Un Sahaba Me Se Kabhi Bhi Kisi Ne Unhe’n Nahin Roka.”
–
[Ibn Taymiyyah Fi Majmoo’ Fatawa, 01/191,
Isma’il Bin Muhammad Al-Ansari Fi Tas’hih Hadith Salat-ul-Tarawih ‘Ishrin Rak’ah, 01/35,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-327, 328, Raqm-325.]
30/326. “Majmoo’ Fatawa Najdiya Me Hai Ki Shaykh ‘Abd Allah Bin Muhammad Bin ‘Abd-il-Wahhab Ne Tarawih Kee Kul Rak’ato’n Se Muta’alliq Sawaal Ke Jawaab Me Bayan Kiya Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Logo’n Ko Hazrat Ubay Bin Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Iqtida’ Me Namaaze Taraawih Ke Liye Jam’a Kiya To Woh Unhe’n Bees-20 Rak’at Padhaate They.”
–
[Isma’il Bin Muhammad Al-Ansari Fi Tas’hih Hadith Salat-ul-Tarawih ‘Ishrin Rak’ah, 01/35,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-328, Raqm-326.]