Shahadate Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Taarikhe Insaani Ka Aik Ghair Ma’mooli Waaqe’a Hai Ki Paighambar Ke Pairokaaro’n Ne Apne Nabi SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Nawaase Ko Be Dardi Se Shaheed Kar Ke Us Ka Sare Aqdas Neze Par Sajaaya. Yahi Nahin Khandane Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Shahzaado’n Aur As’haabe Husayn Ko Bhi Apne Intiqaam Ka Nishaanah Bana Kar Unhein Mout Ke Ghaat Utaar Diya. Un Ka Jurm Yeh Tha Ki Woh Aik Faasik Aur Faazir Kee Bay’at Kar Ke Deen Me Tehrif Ke Murtakib Nahin Huwe They, Unhone Usoolo’n Par Baatil Ke Saath Samjhote Se Saaf Inkaar Kar Diya Tha. Unhone Aamiriyyat Aur Mulookiyyat Ke Aage Sar Taslime Kham Karne Se Inkaar Kar Diya Tha, Unhone Insaan Ke Bunyaadi Huqooq Ke Ghaasibo’n Kee Hukoomat Kee Tauthiq Karne Kee Buzdili Nahinn Dikhaayi Thi. Husayn Ibn Ali ‘Alayhima-‘s-Salam Aur Un Ke 72 Jaan Nitharo’n Ke Khoon Se Karbala Kee Ret Hee Surkh Nahin Huwi, Balki Us Surkhi Ne Har Cheez Ko Apni Lapet Me Le Liya.
Muhaddithin Bayaan Karte Hain Ki Imame Aali Maqam Kee Shahadat Par Na Sirf Dunya Roi, Zameen Wa Aasmaan Ne Bhi Aansu Bahaae, Shahaadate Husayn Par Aasmaan Bhi Nauha Kuna’n Tha Insaan To Insaan Jinnat Ne Bhi Mazloome Karbala Kee Nohah Khwaani Kee. Muhaddithin Bayaan Karte Hain Ki Nawaasa-E-Rasool SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Shahadat Ke Waqt Bayt Al-Maqdis Me Jo Pat’thar Uthaaya Gaya Us Ke Neeche Se Khoon Nikala, Shahadate Husayn Ke Baa’d Mulke Shaam Me Bhi Jis Pat’thar Ko Hataaya Gaya Us Ke Niche Se Khoon Ka Chashmah Ubal Pada. Muhaddithin Ka Kehna Hai Ki Shahadate Husayn Par Pehle Aasmaan Surkh Ho Gaya. Phir Siyaah Ho Gaya. Sitaare Aik Dusre Se Takraane Lage Yu’n Lagta Tha Jaise Kaa’inaat Takra Kar Khatm Ho Jaayegi, Yoo’n Laga Jaise Qiyaamat Qaa’im Ho Gayi Ho Dunya Par Andhera Chha Gaya.
- Imam Tabarani Ne Aboo Qabil Se Sanade Hasan Ke Saath Riwayat Kiya Hai Ki :
لما قتل الحسين بن علي انکسفت الشمس کسفة حتي بدت الکواکب نصف النهار حتي ظننا أنهاهي
“Jab Sayyidina Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Kiya Gaya To Sooraj Ko Shadeed Gahan Lag Gaya Hatta Ki Do Pahar Ke Waqt Taare Namoodaar Ho Gaye Yaha’n Tak Ki Unhein Itminaan Hone Laga Ki Yeh Raat Hai.”
–
[Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/197, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith -2838.]
- Imam Tabarani Ne Mu’jam-ul-Kabir Me Jamil Bin Zayd Se Riwayat Kee Hai Unhone Kaha :
لما قتل الحسين احمرت السماء
“Jab Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Kiya Gaya To Aasmaan Surkh Ho Gaya.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith-28377,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/197.]
- Isa Bin Haarith Ak-Kindi Se Marwi Hai Ki :
لما قتل الحسين مکثنا سبعة أيام اذا صلينا العصر نظرنا الي الشمس علي أطراف الحيطان کأنها الملاحف المعصفرة و نظرنا إلي الکواکب يضرب بعضها بعضاً
“Jab Imam Husayn Ko Shaheed Kar Diya Gaya To Hum Saat Din Tak Thehre Rahe Jab Hum Asr Kee Namaaz Padhte To Hum Diwaaro’n Ke Kinaaro’n Se Sooraj Kee Taraf Dekhte To Goya Woh Zard Rang Kee Chaadarein Mehsoos Hota Aur Hum Sitaaro’n Kee Taraf Dekhte Un Me Se Baa’z, Baa’z Se Takraate.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith-2839.]
- Imam Tabarani Mu’jam-ul-Kabir Me Muhammad Bin Sirin Se Riwayat Kee Hai. Fartmate Hain :
لم يکن في السماء حمرة حتي قتل الحسين
“Hazrat Imam Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Kee Shahaadat Ke Waqt Aasmaan Par Surkhi Chhaayi Rahi.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith-2840,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/197.]
- Imam Tabarani Sayyidah Ummi Salamah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Bayan Karte Hain. Sayyidah Farmati Hain :
سمعت الجن تنوح علی الحسين بن علی رضى الله تعالى عنه
“Mein Ne Jinno’n Ko Suna Ki Woh Husayn Bin Ali Ke Qatl Par Nohah Kar Rahe Hain.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith-2862, 2867,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/199.]
- Imam Tabarani Ne Zuhri Se Riwayat Kiya Hai Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
لما قتل الحسين بن علی رضى الله تعالى عنه لم يرفع حجر بيت المقدس الا وجد تحته دم عبيط
“Jab Hazrat Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Shaheed Kar Diya Gaya To Bayt Al-Maqdis Ka Jo Pat’thar Bhi Uthaaya Jaata Us Ke Neeche Taaza Khoon Paaya Gaya.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith-2834.]
- Imam Tabarani Ne Imam Zuhri Se Is Qism Kee Aik Our Riwayat Bhi Naqal Kee Hai. Unhone Kaha :
مارفع حجر بالشام يوم قتل الحسين بن علی الاعن دم
“Shahadate Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Din Shaam Me Jo Bhi Pat’thar Uthaaya Jaata To Woh Khoon Aalood Hota.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, Hadith-2835,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/194.]
–
[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/115 Ta 118.]