Posted in Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi SallAllahu ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam, Baab-07 : ﴾Ikhlaas Aur Riqqate Qalb﴿

Qana’at Ikhtiyaar Karne Aur Laalach Se Bachne Ka Bayaan

Fasl-08 :

Qana’at Ikhtiyaar Karne Aur Laalach Se Bachne Ka Bayaan

49/431.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ameeri Kasrate Maal Se Nahin Hoti Balki Asl Amiri Dil Ka Ghani (Aur Amiri) Hona Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 05/3368, Raqm-6081,

Muslim Fi As-Sahih, 02/726, Raqm-1051,

Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/586, Raqm-2373,

Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/386, Raqm-4137,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 02/453, Raqm-679,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/243, Raqm-7314, 7546, 8159, 9050,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/132, Raqm-6259,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-403, Raqm-431.]

50/432.    “Hazrat Hakim Bin Heezaam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Oopar Waala (Ya’ni Dene Waala) Haath Neeche Waale (Ya’ni Lene Waale) Haath Se Behtar Hai Aur (Sadqa Wa Khairaat Kee) Ibtida Apne Ahlo Ayaal Se Karo Aur Behtareen Sadqa Woh Jis Ke Baa’d Istighana Qa’yim Rahe Aur Jo Sawaal Se Bachta Hai Allah Ta’ala Use Sawaal (Karne) Se Bacha Leta Hai Aur Jo Istighana Ikhtiyar Karta Hai Use Allah Ta’ala Ghani Kar Deta Hai.”

Muttafaque ‘Alayh

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/518, Raqm-1361,

Muslim Fi As-Sahih, 02/717, Raqm-1034,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/403, Raqm-15361,

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 02/426, Raqm-10687,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/192, Raqm-3091,

Darami Fi As-Sunan, 01/476, Raqm-1652,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-403, 404, Raqm-432.]

51/433.    “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Miskin Woh Nahin Hain Jo Logo’n Ke Geerd Chakkar Lagaata Rahe, Ek¹ Ya Do² Luqmo’n Ya  Ek¹ Do² Khajhoro’n Ka Laalch Use Ghumaata Phiraata Rahe, Balki Miskin Woh Hain Ki Jis Ke Paas Na To Itna Maal Ho Ki Us Kee Zaroorat Ko Poora Kar Sake, Na Woh (Zaahiran) Miskin Nazar Aata Ho Ki Log Use Sadqa De  Aur Na Ki (Sharm Ke Maare Khud) Khade Ho Kar Logo’n Se Maangta Hai.”

Muttafaque Alyah

[Bukhari Fi As-Sahih, 02/538, Raqm-1409,

Muslim Fi As-Sahih, 02/719, Raqm-1039,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/85, Raqm-2572,

Malik Fi Al-Muwatta’, 02/923, Raqm-1645,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 08/139, Raqm-3352,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/316, Raqm-8172, 10069,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/11, Raqm-12926,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 01/95, Raqm-139,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/220, Raqm-6337,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/334, Raqm-1227,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-4047 Raqm-433.]

52/434.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Par Muflisi Aa Ga’i Aur Us Ne Apni Muflisi (Ko Door Karne Ke Liye Us) Ko Logo’n Ke Saamne Pesh Kiya To Us Kee Muflisi Door Na Hogi Aur Jis Shakhs Ne Apni Muflisi Ko Allah Ta’ala Ke Saamne Pesh Kiya To Allah Ta’ala Use Jald (Ya Ba-Der Apni Hikmat Ke Mutabiq) Rizq ‘Ata Farma’ega.”

رواه الترمذي وأبوداود.

وقال الترمزي : هزا حديث حسن صحيح.

[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/563, Raqm-2326,

Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/622, Raqm-1645,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/407, Raqm-3869,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/13, Raqm-9785,

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/196, Raqm-7658,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/29, Raqm-1078,

Shashi Fi Musnad-ush-Shashi Al-Musamma Bi-‘l-Musnad Al-Kabir, 02/200, Raqm-769,

Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/275, Raqm-5399,

Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/34, Raqm-132,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/337, Raqm-1239,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-405, Raqm-434.]

53/435.    “Hazrat Sauban RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Mujhe Is Baat Kee Zamaanat De Ki Logo’n Se Ko’i Chiz Nahin Maangega To Mein Use Jannat Kee Zamaanat Deta Hoo’n, Mein Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah ﷺ!) Mein Is Baat Kee Zamaanat Deta Hoo’n. Is Ke Baa’d Hazrat Sauban Kisi Se Kuchh Nahin Maanga Karte They.”

رواه أبوداود بإسناد جيد والحاكم.

وقال الحاكم : هزا هديث صحيح على شرط مسلم.

[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/121, Raqm-1643,

Nasa’i Fi As-Sunan, 05/96, Raqm-2590,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/571, Raqm-1500,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 03/272, Raqm-3521,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/98, Raqm-1433,

Ibn ‘Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 04/108,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/329, Raqm-1210,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-405, 406, Raqm-435.]

54/436.    “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar  RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Bila Shub’ha Woh Kamyab Ho Gaya Jo Islam Laaya, Use Hasbe Zaroorat Rizq ‘Ata Hua Aur Allah Ta’ala Ne Use Jo Kuchh Diya Us Par Qana’at Bhi ‘Ata Farmaa’i.”

رواه مسلم والترمذي.

وقال أبو عيسى : هزا هديث حسن صحيح.

[Muslim Fi As-Sahih, 02/730, Raqm-1054, Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/575, Raqm-2348,

Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/168, Raqm-6572, 6609,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/137, Raqm-7149,

وقال الحاكم : هذا حديث صحيح،

Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 04/196, Raqm-7657,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 07/290, Raqm-10365,

Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/136, Raqm-341,

Ibn Dirham Fi Al-Zuhd Wa Sifat-uz-Zahidin, 01/56, Raqm-93,

Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-uz-Zuhd, 01/08,

Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/334, Raqm-1228,

Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-406, Raqm-436.]