Fasl-05 :
Khandan Aur Aulaad Ke Huqooq Ka Bayan
35/909. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Kabira Gunaaho’n Me Se Ek Yeh Bhi Hai Ki Aadami Apne Waaledain Par La’nat Kare. Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah ﷺ! Koi Aadami Apne Waaledain Par Kis Tarah La’nat Karta Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Ek Aadami Dusre Aadami Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Ke Waalid Ko Gaali Deta Hai Aur Jab Koi Kisi Kee Maa Ko Gaali Deta Hai To Woh (Jawaaban) Us Kee Maa Ko Gaali Deta Hai (Yeh Khud Apne Maa-Baap Ko Gaali Dena Hai).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 05/2228, Raqm-5628,
Muslim Fi As-Sahih, 01/92, Raqm-90,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/312, Raqm-1902,
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن صحيح،
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/164, Raqm-6529, 6840,
Bazzar Fi Al-Musnad, 06/445, Raqm-2483,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-792, Raqm-909.]
36/910 . “Hazrat Sa’iyd Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Jo Kuchh Kharch Karte Ho Ki Jis Se Tumhaara Maqsood Raza-e Ilahi Ho To Tumhein Us Par Ajr Diya Jaata Hain. Yaha’n Tak Ki Tum Apni Biwi Ke Moo’nh Me Jo Luqma Daalte Ho (Us Par Bhi Ajr Diya Jaata Hai).”
Muttafaque ‘Alayh
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 01/30, Raqm-56,
Bukhari Fi As-Sahih, 01/435, Raqm-1233,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1006, Raqm-2591, 2593,
Bukhari Fi As-Sahih, 03/1431, Raqm-3721,
Raqm-4147, 5039, 5335, 5344, 6012, 6352,
Muslim Fi As-Sahih, 03/1250, Raqm-1628,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/383, Raqm, 9206,
Malik Fi Al-Muwatta’, 02/763, Raqm-1456,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 09/64,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/292, Raqm-7171,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-792, 793, Raqm-910.]
37/911. “Hazrat Bahaz Bin Hakim Ba Waasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain, Woh Farmate Hain Ki Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hum Apne Satar Me Se Kya Chhupaaye Aur Kya Na Chhupaaye? Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Apni Biwi Aur Loundi Ke Siwa Sab Se Apni Sarmgah Mahfooz Rakho, Unhone Arz Kiya : Agar Mard, Mard Ke Saath Ho To? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Agar Satar Chhupaana Mumkin Ho To Aysa Hee Karo (Ya’ni Na Dikhaawo). Mein Ne Arz Kiya : Insaan Tanha Bhi Hota Hai. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ka Haqq Sab Se Ziyaada Hai Ki Us Se Haya Kee Jaa’e”
رواه الترمذي وأبوداود وابن ماجه وذكره البخاري في الترجمة مختصرا .
وقال أبوعيسى : هذا حديث حسن. وقال الحاكم: هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/97, Raqm-2769,
Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/40, Raqm-4017,
Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/618, Raqm-1920,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/313, Raqm-8972,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 01/199, Raqm-910,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-793, 794, Raqm-911.]
38/912. “Hazrat ‘Amr Bin Shu’ayb Ba Waasta Apne Waalid Apne Daada Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tumhaari Aulaad Saat-07 Saal Kee Ho Jaa’e To Unhe’n Namaz Ka Hukm Do Aur Jab Woh Das-10 Saal Kee Ho Jaa’e To Unhe’n Us (Namaz Na Padhne) Par Maaro Aur (Is Umr Me) Unhe’n Alag-Alag Sulaaya Karo.”
رواه أبوداوود بإسناد جيد والحاكم والدارقطني وأحمد.
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 01/133, Raqm-495,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/311, Raqm-708,
Daraqutni Fi As-Sunan, 01/230, 03, 06,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/187, Raqm-6756,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 02/228, Raqm-3050,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-794, Raqm-912.]
39/913. “Hazrat Muawiyah Bin Haydah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah ﷺ! Hum Me Se Kisi Par Us Kee Biwi Ka Kya Haqq Hai? Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Tum Khao To Use Bhi Khilaao, Jab Tum Pahno Ya Kamaao To Use Bhi Pehnaao, Us Ke Moo’nh Par Na Maaro, Use Bure Lafz Na Kaho Aur Use Khud Se Alag Na Karo Magar Ghar Ke Andar Hee.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/244, Raqm-2142,
Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/373, Raqm-9171, 11104,
‘Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 07/148, Raqm-12583,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/447,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/03,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 07/305, Raqm-14556,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 19/427, Raqm-1038,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/32, Raqm-2968,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-794, 795, Raqm-913.]
40/914. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tauhfon Kee Taqsim Me Apni Aulaad Me Baraabari Rakho Aur Agar Mein Kisi Ko Kisi Par Fazilat Deta To Aurto’n Ko (Ya’ni Betiyon Ko Beton Par) Fazilat Deta.”
رواه الطبراني والبيهقي ذكره البخاري في الترجمة مختصرا.
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/354, Raqm-11997,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 06/177, Raqm-11780,
Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/86,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/153,
Harith Al-Musnd (Zawa’id Al-Haythami), 01/512, Raqm-454,
Bukhari Fi As-Sahih, 02/913,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-795, Raqm-914.]
41/915. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Kee Do² Betiya’n Ho Aur Jab Tak Us Ke Paas Rahein Ya Woh Un Ke Saath Raha Aur (Us Dauraan) Woh Un Ke Saath Husne Sulook Karta Raha To Woh Dono’n Use Jannat Me Le Jaayengi.”
رواه ابن ماجه وابن حبان. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح الإسناد.
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1210, Raqm-3670,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 07/207, Raqm-2945,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/196, Raqm-7351,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/363, Raqm-3424,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/445, Raqm-2571,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 10/337, Raqm-10836,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-795, 796, Raqm-915.]
42/916. “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Teen³ Betiyon Kee Parwarish Kee, Unhe’n Achchha Adab Sikhaaya, Un Kee Shaadi Kee Aur Un Ke Saath Achchha Sulook Karta Raha To Us Ke Liye Jannat Hai Aur Ek Aur Riwayat Me Hain Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Teen³ Bahne Ya Teen³ Betiya’n, Ya Do² Betiya’n Ya Do² Bahne.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/338, Raqm-5147,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/97, Raqm-11943,
Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/342, Raqm-2457,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/216, Raqm-11542,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/221, Raqm-25434,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/162,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-796, Raqm-916.]
43/917. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Rabb Kee Raza Waalid Kee Raza Me Hai Aur Rabb Kee Narazgi Waalid Kee Naraazgi Me Hai.”
رواه الترمذي والحاكم. وقال الحاكم : هذا حديث صحيح.
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/310, Raqm-1899,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/168, Raqm-7249,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-796, 997, Raqm-917.]
44/918. “Hazrat Aboo Darda’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Tum Qiyaamat Ke Roz Apne Namon Aur Apne Baapon Ke Naamon Se Pukaare Jaa’oge, Lehaaza Apne (Aur Apne Bachcho’n Ke) Naam Khubsurat Rakkha Karo.”
–
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/287, Raqm-4948,
Darami Fi As-Sunan, 02/380, Raqm-2694,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/194, Raqm-22035,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 09/306,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 06/393, Raqm-8633,
Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/360, Raqm-2492,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/479, Raqm-1944,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-797, Raqm-918.]
45/919. “Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Riwayat Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam (Jab Kisi Shakhs Ya Bachche Ka Bura Naam Dekhte To Us Ka Woh) Bura Naam Tabdil Farma Diya Karte They.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan,05/135, Raqm-2839,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 05/261, Raqm-25896,
Suyooti Fi Al-Jami-us-Saghiru Min Hadith-il-Bashir-in-Nadhir, 01/344, Raqm-650,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 03/49, Raqm-3033,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-797, Raqm-919.]