Fasl : 05
Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hee Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Nasab, Wali Aur Baap Hain
16 “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Har Aurat Ke Beto’n Kee Nisbat Un Ke Baap Kee Taraf Hoti Hai Maasiwaae Fatimah Kee Awlaad Ke, Ki Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n Aur Mein Hee un Ka Baap Hoo’n.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2631,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,
3-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 06/139,
4-San’ani Fi Subul Al-Salam, 04/99,
Is Riwayat Me Bishr Bin Mihran Ko Ibn Hibban Ne ‘(Al-Thikqat, 08/140)’ Me Thiqah Sumaar Kiya Hai.
5-Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/144, Raqam-1314,
6-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/121,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/23, 24, Raqam-16.]
17 “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Qayamat Ke Din Mere Hasab-o-Nasab Ke Siwa’ Har Silsila-E-Nasab Munqata’ Ho Jaaega. Har Bete Kee Baap Kee Taraf Nisbat Hoti Hai Maasiwaae Awlade Fatimah Ke Ki Un Ka Baap Bhi Mein Hee Hoo’n Aur Un Ka Nasab Bhi Mein Hee Hoo’n.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/626, Raqam-1070,
2-Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/145, Raqam-1316,
3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/169,
Mukhtasaran Riwaayat Darj Zail Muhaddithin Ne Riwayat Kiya Hai :
4-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 06/164, Raqam-10354,
5-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/64, Raqam-13172,
6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/357, Raqam-6609,
7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2633,
8-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/272,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/24, Raqam-17.]
18 “Hazrat Jabir Bin Abd Allah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Har Maa’n Ke Beto’n Ka Aabaa’i Khaandaan Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hote Hain Siwaae Fatimah Ke Beto’n Ke, Pas Mein Hee Una Ka Wali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/179, Raqam-4770,
2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/109, Raqam-6741,
3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/44, Raqam-2632,
4-Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli ﷺ Wa Dhaw-ish-Sharaf,/130,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/25, Raqam-18.]
19 “Sayyidah Fatimah Al-Zahra’ سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Har Aurat Ke Beto’n Ka Khaandaan Hota Hai Jis Kee Taraf Woh Mansoob Hote Hain Maasiwaae Fatimah Kee Aulaaad Ke, Pas Mein Hee Un Ka Wali Hoo’n Aur Mein Hee Un Ka Nasab Hoo’n.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/423, Raqam-1042,
2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/109, Raqam-6741,
3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 04/224,
4-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 11/285,
5-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/264, Raqam-4787,
6-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 19/483,
7-Ajlooni Fi Kashf-ul-Khafa’ Wa Muzil Al-Ilbas ‘Ammah Istuhira Min Al-Ahadith ‘Ala Alsinat-in-Nas, 02/157, Raqam-1968,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/25, Raqam-19.]