Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Jis Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Jang Kee Us Se Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne E’laane Jang Farma Diya

Fasl : 22

Jis Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Jang Kee Us Se Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne E’laane Jang Farma Diya

 

80              “Hazrat Zayd Bin Arqam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ Se Farmaya : Jis Se Tum Ladoge Meri Bhi Us Se Ladaayi Hogi, Aur Jis Se Tum Sulh Karoge Meri Bhi Us Se Sulh Hogi.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 05/699, Raqam-3870,

2-Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/52, Raqam-145,

3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/434, Raqam-6977,

4-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32181,

5-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/161, Raqam-4714,

6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-20, 2619,

7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/184, Raqam-31, 5030,

8-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/182, Raqam-5015,

9-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/555, Raqam-2244,

10-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/62,

11-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/125,

12-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 13/112,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/69, 70, Raqam-80.]

 

 

81              “Hazrat Zayd Bin Arqam رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Yeh Bhi Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ (Teeno’n) Se Farmaya : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladunga Aur Jo Tum Se Sulh Karega Mein Us Se Sulh Karunga.”


[1-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/434, Raqam-6977,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/179, Raqam-2854,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/53, Raqam-727,

4-Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id(09/169), Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne ‘Al-Awsat’ Me Riwayat Kiya Hai.

5-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban,/555, Raqam-2244,

6-Mahamili Fi Amali,/447, Raqam-532,

7-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/220,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/70, Raqam-81.]

 

 

82              “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ Hee Taraf Dekha Aur Irshad Farmaya : Jo Tum Se Ladega Mein Us Se Ladunga, Jo Tum Se Sulh Karega Mein Us Se Sulh Karunga (Ya’ni Jo Tumhara Dushman Hai Woh Mera Dushman Hai Aur Jo Tumhara Dost Hai Woh Mera Bhi Dost Hai).”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/442,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/767, Raqam-1350,

3-Hakim Ne ‘Al-Mustadrak (03/161, Raqam-4713), Me Is Hadith Ko Hasan Qaraar Diya Hai Jab Ki Dhahabi Ne Is Me Koi Jarh Nahin Kee.

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/40, Raqam-2621,

5-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 07/137,

6-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/122,

7-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/58, 257,

8-Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169), Me Kaha Hai Ki Ise Ahmad Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Raaawi Talid Bin Sulayman Me Ikhtilaaf Hai Jab Ki Is Ke Baqiyya Rijaal Hadithe Sahih Ke Rijaal Hain.

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/70, 71, Raqam-82.]

 

 

83              “Hazrat Aboo Bakr Siddique رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Ne Dekha Ki Rasoole Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Aik Khaime Me Qiyaam Farmaya AurAap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Aik Arabi Kamaan Par Tek Lagaaye Hu’e They Aur Khaima Me Ali, Fatimahm, Hasan Aur Husayn Bhi Maujood They. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Musalmano’n Kee Jama’at Jo Ahle Khaima Se Sulh Karega Meri Bhi Us Se Sulh Ho Gayi Jo In Se Ladega Meri Bhi Us Se Ladaayi Hogi. Jo In Ko Dost Rakkhega Meri Bhi Us Se Dosti Hogi, Un Se Sirf Khush-Naseeb Aur Barkat Waala Hee Dosti Rakhta Hai Aur In Se Sirf Bad-Naseeb Aur Badbakht Hee Bughz Rakhta Hai.”

[Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/154,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/71, 72, Raqam-83.]